Saturday 29 June 2013

RAJNITI MAIN VISWAS KI KAMI SE KATUTA

Bharatiya Rajniti main aj-kal itani katuta kyon hai?kya koyi kisi ke khet khalihan ka jhagada chal raha?uttarakhand ki apada rastriya apada hai.wah sabh rajnitik dal apane rajnitik hit sadhane ka prayas kar rahe.koyi bhi pidit nagarikon ke dard ko nahi bant raha.loktantra main katuta ki jagah nahi hoti.waha mat bhed hota hai man bhed nahi hota.byakti,rastra,samaj sabaka hai.puri rajniti rastra ko sabal banana ke liye hi hoti hai.byakti ka kalyan ho yahi loktantra ka uddeshya hai.kya apasi katuta se kyan sambhav hai?loktantriya rajniti main abhadrata ko koyi jagah nahi hoti.sabhi rajnitik dal apane virodhiyon par jahreela war karate hain.jase soniya ne 'modi ko maout ka soudagar kaha'.congressiyon ne modi ko FENKU  kaha.B.J.P. ne Rahul ko PAPPU kaha.kya yahi bhasha hai?aj ke neta oyi darshanik nahi.unaki baton se koyi Sikh nahi milati.Atal ji jase netawon se we Sikh bhi nahi lete.jinhone apane P.M. kasha main Nehru aour Indira ko photo lage rahne di thi.lok tantra ka adhar hai udarata,dweshpurn bywahar nahi.rajnitik dlon main viswas ka ghor sankat hai.apasi viswas ki kami se samvaidhank sansathaye apana kam pura nahi kar pa rahi.Excutive,legislature,judiciary main bhi viswas ka sankat hai.judiciary jis tarah excutive par kataksha kar rahi usase to yahi jhalakata hai.midiya jise desh ke loktantra ka choutha khambhakaha jata hai,wah rajnitik dalon main nafarat ko aour badhawa de raha.anek aise mantra hain jo apana kam thik se nahi karate.unhe midiofobiya hua hai.we t.v. par apana chehara dikhane main hi byast hain.midia ko dalon main nafarat badhane se arthik labh milata hai.har neta aour rajnitik dalon ke apane-apne patrakar hain.jo paid hain.tab midia main pawitrata kaha rah gayi?midia nispaksh kaise rah gayi? janata janati hai koun sa channel kis dal ka samarthan karati hai.bartaman main bharatiya rajniti ka jo dustatapuran mahoul hai wah bharatiya rajniti main kabhi nahi raha.2014 ka chunav ate ate to sthiti bad se badtar hogi.kya isame sudhar ke koyi upaya hain?shalinata aour sabhyata ki kami se rajniti badabudar ho rahi.rajniti main anaitikata hi naitikata ban gayi.kase chalega loktantra?janata ka shasaktikaran is maoul main nahi ho sakata.loktantra ko bachane ke liye desh ki janata ko koyi kathor nirnay lena hi padega

No comments:

Post a Comment