Monday 3 June 2013

B.J.P. MAIN GRIH YUDH HAI KYA?

Adawani ne M.P. ke C.M. ki prashans kya kar di midia ne halla gulla shuru kar diya.are adawani b.j.p. ke bade neta hain.unake liye kya modi?kya raman singh?kya shivaraj?kya parikkar?sab unake samane bache hi to hain.adawani b.j.p. ke nayak hain.atal ji ke sath ke hain.unki bat par kyon halla macha rahe?unhe to is bat ki khushi hai ki b.j.p. ke 4-4 c.m. bahut acha kam kar rahe.janata unase khush hai.we apane rajya ka vikas teji se kar rahe.rol model ban rahe.isase koyi chota ya bada thode hi ho jata hai.congress chillane lagi ki b.j.p. main grih yudh hai.jab ki congress wale hi congress walon ki hatya kara rahe,ise koun sa yudh mana jaye?b.j.p main satta ka sangharsh hai yah to dikhayi hi padata.satta kaha hai ki sanghrash hoga?9 sal se jisake pas satta hogi usi main na sangharsh hoga?congress main sab yek dusare ko mar rahe marawa rahe,yah to aise hi hai jase gita main Krishna ne kaha ki main hi mar raha,main hi marawa raha,main hi sab kar raha.byarth sab chilla rahe.kya congress krishan hai?andhra main kya ho raha?sabhi congress chod rahe.sankat main to congress hi hai.b.j.p. kyon sankat main rahegi?state main usake koyi sankat nahi.karanatak ka sankat paida kar ydurappa bhog rahe.b.j.p. ko satta nahi mili yahi na,lekin 2014 main waha kya congrees jit jayegi?yadurappa ab b.j.p. main aane ko tadapada rahe.kalyan singh ka hasra dekh hi gaya.kaha b.j.p. main grih yudh?is sabhi rajanitik uthapatak main Rahul baba kaha gum hain?unhe koyi puch hi nahi raha,na nam le raha.manmohan aour soniya ka sangharsh sabake samane aa gaya.congress safai deti fir rahi.khadya suraksha bill sansad main pass kaise hoga is par mathapach ho rahi.pas hone main dar hai isliye adhyades lane ki bat ho rahi.matalab desh main sab gdamgadd hi hai.kuch bhi anushasit nahi.kya loktantra main rajnitik anushasan ka koyi mahatwa nahi hai?

No comments:

Post a Comment