Monday 24 June 2013

PURAKHO KI THATI- - - - PALAN KAREN

'Ganayanti na ye surayam vristim shitam cha karshakah,yatante sasyalabhaya tai sakam hi vasami aham'- - - -we krshak jo dhup varasha,tatha thand ki parawah kiye bagair nirantar anaj utpadan ki chesta main lage rahate hain,main[paramatama] unhi ke sath rahata hoyn.- - - - Upanishad.  .........'Grarvay par pidayai durjanasya dhanam balam, sujanasya tu danaya rakshanay cha te sada'.- - - - - -dust byakti ka dhan tatha bal ya to ahankar ke pradarshan hetu hota hai athawa dusaron ko pidit karane hetu.jabaki sajjan byakti ka dhan aour bal sarvada dan aour dusare ki raksha ke liye hota hai.- - - Upanishad.- - - - - - - -'Gunairutungatam yati no  tungenasanen vai, Prasad- shikharashtopi kako na garudayate'.- - - -byakati keval unche asan se hi nahi apitu apane guno se mahanata prapt karata hai,waise hi jaise bhawan ke shikhar par baith jane matra se kaouwa garun tulya nahi ho jata.

No comments:

Post a Comment