Sunday 2 June 2013

JANATA KE MUDDE UTHAYE JAY TO ACHA

Aj kal cricket par bahut bahas ho rahi.jitana bahas sriniwasan par midia kar raha utani bahas bhukh mari par karata to log bhukhe na marate.cricket to aj kal stardom ka pratk bana hua hai.jahan stardom hoga waha brastachar bhi hoga hi.soniya,rahul,modi, sabhi fail hain is samaya srniwasan ke age.bahas keval yahi ho rahi ki we istifa denge ki nahi.pawan bansal  ke bhanje ne rail main chori ki,unake istife main to itani bahas nahi huyi?rajiv shukla ne istifa diya unake liye to bahs nahi huyi.to ye srinawasan kis khet ki muli hain ki unake liye iteni bahs midia kar rahi.shayad isliye ki unake pas apar paisa hai.midia to unhi ko age badhati hai jinake pas paisa hota hai.kisi gareeb kisan,majdoor ko age nahi badhata jinake pas futi koudi bhi nahi.aj kal naya samantwad chal raha.samajwadi samantwad ise kah sakate hain.jinake pas paisa hai we nalayak hote huye bhi age badh rahe.budhi ki puja nahi keval paise ki hi puja hai.desh ka koyi midiya ghrana  kya jhopadi aour rajmahal ko barabar manae ko taiyar hai? kisi desh ke fakir aour punjipati ko saman adar dene ko taiyar hai?kishi bhikhmange aour punjipati ko yek sath samman dene ko taiyar hai?kisi film bade star aour yek chote tv ke kalakar ko sath bithane ko taiyar hai?isaka uttar nahi hai.to midia kyon barabari ki bat karti hai?usaka dhakosala aam adami samajhata hai.sriniwasan isliye jaruri hain ki midia ko khel ka labh chahiye.kya matalab hai  bhukh se marate huye bharat ke aam adami ka sriniwasan se?we istifa den ya chulhe bhad main jaye,usase bhukh,ya am adami ki samasya hal hone wali to nahi?aam adami cricket nahi jivan ki awasyakata puri karane ka awasr chahiye.dal roti chahiye.pine ko pani chahiye.rog ke liye ilaj chahiye.usake bachon ko siksha aour rojgar chahiye.chamachamati gadi se istifa dene aour na dene ke khel se na desh ka koyi matalab hona chahiye na desh ke aam logon ka.midia ko chahiye ki wah aam logon ki jaruri samasyawon par khoob bahs kare.ho sakata hai isase T.R.P. na badhe,lekin isase desh ki aam janata ko sukun jarur milega.

No comments:

Post a Comment