Thursday 31 October 2013

SHUBHKAMANA

SABHI MITRON KO DHANTERAS,DHANWANTARI JAYANTI,AOUR DEPAWALI KI DHER SARI SHUBHKAMANA. APAKE JIVAN MAIN JYOTI KA PRAKASH HAMESHA HOTA RAHE.SUKH AOUR SAMRIDHI KI DHARA PRAWAHIT HOTI RAHE.

Sunday 27 October 2013

BIHAR MAIN BAM VISFOT KI GHATANA SWARTHVAD KA PARINAM; LOKTANTRA KHATRE MAIN

Aj patana ke gandhi maidan main jo ghtana ghati wah bharat ke rajnitik itihas main kabhi nahi ghati.B.J.P. ke P.M. pad ke ummidawar Narendra Modi ki Hunkar rallyi thi.Nitish ke ghar main modi pahali bar hunkar karane ja rahe the.J.D.U se B.J.P. ka sath chutane ke bad b.j.p. ki yah pahali rajnitik show tha.3 mahene se isaki taiyari chal rahi thi.B.J.P. bihar main jansamarthan dikhane ko utawali thi.Gandhi maidan main 5 lakh se upar logon ke ane ka anuman tha.is rally ko b.j.p. aitihasik banana chahati thi.gandhi maidan main isase pahale bhi badi badi ralliyan huyi hain.1974 main j.p. ki sampurn kranti rally aour lalu ki sabase pahali pariwartan rally tatha ram janm bhumi andolan ki rally vishal rally main gini jati thi.b.j.p. in ralliyon ka record todana chahati thi hunkar rally ke madhyam se.b.j.p. ki ummid ke anusar wah rally huyi bhi.lagabhag 5 se 7 lakh log aye.is rally se desh ki rajnitik disha badalane ki ummid b.j.p. ne ki thi.lekin rally ke pahale aour rally main kul 9 bam dhamake huye.6 logo ki jan gayi. 80 log ghayal huye.is ghatana ke bad bhi rally huyi.modi khoob bole.nitish par rajnitik hamala kiya.cong. par shbdon ke teer chalaye. lekin kisi rajnitik rally main bam visfot ki ghatana pahali bar hua.sawal yah utha ki kya modi ki rally ko flop karane ki yah suniyojit sajish thi?kya yah modi ko marane ke liye atankvadi ghatana thi?kya desh main dahsat failane ke liye is ghatana ko anjam diya gaya?kya is ghatana ke liye cong.aour j.d.u. jimmedar hai? 1 din pahale cong. ke janardan dwiwedi ne modi ko shahjada kahne par dhamaki di thi.kya yah muslim tusti karan ka parinam tha?is ghatana ne desh ki rajnitik sthiti ko badal diya.kya loktantra itana kamjor ho gaya ki satta ki prapti ke liye hnsatmak upayon ka sahara liya jane laga?yah to sach hai ki bhart main loktantra ki jaden kamjor pad rahi hain.muddon ki jagah swarthvad aa gaya hai.unmad faila kar satta hathyane ki hod chal padi hai.alpsankhyak-bahusankhyak main desh ki janata ko bant kar vote ka jugad kiya ja raha.NItish ke good goernence ki pol is ghatana khol di.akhir kyon b.j.p. ke satta se hatane ke bad bihar main atankvadi ghatanayen ghat rahi.kya bihar vote ke chakkar main atankvadiyon ka adda ban raha?desh main 4 rajyon main vidhan sabha ke chunav chal rahe.is ghatana ka is par kya prabhav padega?desh ki janata pariwartan chahti hai.b.j.p. virodhi janata ke pariwartan ke bhav ko hinsatmak gatividhiyon se rokane ka prayas kar rahe.modi agar p.m. ban hi jate hain to kya ho jayega?akhir modi se dar kin logon ko hai?modi koyi videshi nahi hain.isi desh ke saput hain.bihar ki ghatana ne desh ki janata ko sochane ko majboor kiya hai ki apane vote ka sahi upayog kare.jativad ya samoradayvad ki jagah rashtravad ko age badhaye.nahi to yah desh gahare sankat main fansane ja raha.

Wednesday 2 October 2013

DAGI ADHYADESH PAR YEK NATAK KA PATAKSHEP HUA,JITI TO JANATA

Aj cabinet ne peples represetation bill wap[as lene ki ghoshana kar di.cong. ne rahul ko age kar ke itana natak karawaya.unhe hero banane ki koshis ki.cong. is tarah ka kam hamesha karati rahi hai.indira gandhi ke samaya main minarwa mill wala case,previparse wala case,rajiv gandhi ke samay postal bill wala case isaka udaharan hai.har p.m. sidhe tour par isase jude the.aisa kabhi nahi hua ki kisi ne p.m. ko dabaw dal kar unhe apmanit karake kisi bill ko wapas karawaya gaya ho. hamare p.m. bhi aise hain ki apaman sah kar bhi unhone pappu ki bat man li.desh yah samajh raha tha ki p.m. itane ahata honge ki apane swabhiman ki raksha ke liye apana pad chod denge.lekin unhe to apane swabhiman ki koyi chinta nahi.we to gandhi pariwar ke sevak ki bhati jo kaha gaya wahi kar rahe the.desh ka samman p.m. ke sath juda hota hai.agar rahul ne p.m. ko apamanit kiya ko kya isase desh apamanit nahi hua?samvidhan aour kanoon apamanit nahi hua?kalapana kariye ki agar pranav mukharjee bill par dastkhat kar dete to kya tab bhi rahul yah natak karate?cong. ko yah samajh aa gaya tha ki rastrapati bill par dasrkhat nahi karenge.tab ja kar apani ijjat bachane aour rahul ko hiro banane ke liye yah natak khela gaya.janata yah natak nahi samajh rahi?is natak se kya cong. ki wapasi ho jayegi?cong. ke sab pap dhul jayenge?log kahate hain ki ki rahul ki antratma jagi tab aisa hua.jab bill  cabinet main rakha ja raha tha tab kyon nahi antratma jagi?jo galat tha wah tab bhi galat hi tha.B.J.P. ne isaka virodh kiya.pahale B.J.P. bhi bill ke muddo ke sath thi.lekin jab lalu ko bachane kasawal aya to b.j.p. ne apane kadam piche khich liye.wah rastrapati ke pas tak pahuch gayi.modi ne is mudde ko utha diya.desh ki janata ne muddo par bahas shuru kar di.b.j.p. ko isaka sreya na mile isliye yah sab natak kiya gaya.isase koyi vote bank nahi taiyar hoga.lekin cong. ke sahyogi naraj honge.lalu ki r.j.d. ne cong.par hamala shuru kar diya.kyonki lalu ki loksabha ki sadasyata ab nahi rah payegi.lalu ke hatane se cong. ab nitish ko sath lene ka prayas karegi.natish kah hi rahe ki bill ko wapas lene se cong. ki pratistha nahi jayegi.yani nitish aour rahul main jugalbandi shuru ho gayi.lekin isase na bihar main nitish ko fayada hoga na cong. ko.cong. itani hadabadi main hai ki kis tarah 2014 main use fir se satta mil jaye.agar rahul hero ho gaye to cong.ko ab rahul p.m. ka apana ummidawar ghoshit kar dena chahiye.

Sunday 29 September 2013

DESH KI RAJNITI MAIN HASYASPAD STHITI:KYA YAHI SARAKAR HAI?

Rahul Gandhi ne desh main rajnitik naitik aour kanooni sankat paida kar diya. unhone dagi netawon ko bachane wale adhyadesh ko nonsence aour use fadane ka bayan de kar puri sanmvaidhanik sarakar ko kathghare main khada kar diya.unake bayan ka arth yah hai ki adhyadesh ke sath sath puri cabinet nonsence ki jamat hai usame p.m. bhi shamil hain.maja dekhiye jo cabinet mantri cabinet ki baithak main adhyadesh ke samarthan main muhar laga ke aye the rahul ke bayan ke bad sabhi apane hi nirnaya ke virodhi ho gaye.jab loksabha main dagiyon ko bachane wala vidheyak ayatha to usake paksh main rahul aour soniya ne bhi vote kiya tha.soniya aour rahul ki jankari main hi adhyadesh aour vidheyak aya.fir rahul ne virodh kyon kiya?president ne is adyadesh ke bare main jab sibbal se puchtach ki aour is par apani asahahmati byakt ki cong. ke kan khade huye.anan fanan main main rahul ko hero banane ke liye yah natak khela gaya. nadan congressiyon ko yah samajh hi nahi aya ki is natak se sarakar ke chahre par kya asr padega?rahul sarkar main kuch nahi hain.lekin we apani hi sarakar ke khilaf bagawat karate najar aye.sandesh yah gaya ki rahul soniya ke chatukaron se nakhush hain.ab cong. soniya aour rahul ke do gut ban gaye hain.cong. ko samajh hi nahi aa raha ki adhyadesh ko kya karen.wapas lete hain to puri sarkar ki chavi kharab hoti hai. nahi lete to rahul ki bat katati hai. Delhi main modi ne kaha ki rahul p.m. ki pagadi uchal di hai.sarakar main p.m. ki nahi chalati rahul ki chalati. hai.waise p.m. ne pahale kah diya ki we rahul ke netritwa main kam karana chahate hain.kya rahul ne p.m. ka apaman nahi kiya?jab we ammerica se loutenge to apani ijjat bachane ke liye istifa dene ke atirikt kya rasta bachega?nahi denge to kya unaki sthiti aour kamjor nahi hogi?yek kamjor p.m. ka tohamat unake upar pahale hi hai.kya isase yah nahi sidh hoga ki wastawa main we bahut kamjor hain?we p.m. nahi soniya aour rahul ke robote hain. asali p.m. to to rahul hi hain?manmohan ki koyi sthiti nahi hai?kya itani kamjor sarakar desh ko age le ja payegi?pakostan aour chaina ko jabab de payegi?desh ki arth byawawstha ko sankat se nikal payegi?desh ki rajniti main hasyaspad sthiti ban chuki hai.naye chunav se hi sthiti main badalawa aa payega.

Sunday 8 September 2013

u.p. sarakar puri tarah asafal

u.p. ke mujaffar nagar ke dange ne tathakathit dharmnirpekshata ki pol khol di.yah samradarik danga dharmnirpekshahvadiyon ki suniyojit chal hai.taki yek sampradaya ka vote bantane na paye.24 logo ka akhir kya gunah tha ki unhe anayas hi mout ke ghat utar diya gaya.u.p. ki sarakar danga rokane main puri btarah nakam rahi.ap andaja lagayiye kidanga kitana bhishan tha ki 10000 jawano ko ise rokane ke liye lagana pada.danga kaise shuru hua yah alag kahani hai.lekin isame krurata bahut huyi yah sach hai.yek patrakar ko bhi apane jan se hanth dhona pada.u.p. main sarakar ne kanoon byawastha ko puri tarah se barbad kar diya hai. log puri tarah asurakshit hai.sarakar keval laptop bant kar vote chah rahi.u.p. main danga,badh,kubyawastha ka bolbala hai.s.p. sarakar kendra maincong. ka samarthan kar rahi.to kya u.p. main hone walw pap ka bhagi cong. nahi hogi?yuwa c.m. ki shuru main khoob prashansha ki ja rahi thi.yuwa c.m. to'bandar kae hanth main ustara jaise hi dikhe'.yaisa lag hi nahi raha ki u.p. maim
n koyi c.m. hai.u.p. ko yek pita pita mulayam singh 3 chacha ram gopal,shiv pal aour azam khan mil kar chala rahe.puri sarakar kuntha ki shikar hai.use samajh hi nahi aa raha ki u.p. ko kaise chalaye.akhir jati ke gathbandhan par adharit sarakar to aisi hi hogi na....

Thursday 25 July 2013

KRPAYA GAREEBON KA MAJAK UDANA BAND KAREN

Desh main gareebi rekha par bahas ho rahi.Tendulakar committee ne kaha pichale 9 sal main desh main 17 karod gareebi rekha se upar aa gaye hain.yani U.P.A.sarakar ne desh  main gareebi hatane ka kam kiya hai.mujhe lagata hai ki ankado ki bajigari se cong.vote kamane ke jugad main lagi hai.kya desh ka gareeb in ankadon ko samajh payega?jise do joon ki roti bhi thik se nahi milati.kya badhati mangayi se gareebi ka koyi rista nahi hai?shahar main 33 rupaye kamane wala aour ganv main 28 rupaye kamane wala ameer ban gaya?akhir gareebi ka majak kkyn udaya ja raha?kya congg. cahati hai ki deshse gareebon ko hi samudra main baha diya jaye?isi ke sath cong. ne gareebi ke sath yek aour mjak udaya.Cong. ke prawakta Raj babbar ne kaha ki kaha hai gareebi?we to aj bhi Mumbai main 12 rupaye main bhar pet khana dal chawal sabji sahit khate hain.unase bhi age badhkar yek aour prawakta Rashid masood ne kah diya ki delhi mai jama masjid ilake main aj bhi 5 rupaye main bhar pet khana mil jata hai.we isase bhi kam main bhar pet kha lete hain.kya apako nahi lagata ki desh ki rajniti manasik diwaliyepan ka shikar ho chuki hai.raj babbar to balatakari abhineta rahe hain.balatkar karana unaka abhnaya hai.we gareebon ki asmita ke sath bhi balatkar kar sakate hain.lekin rasheed masood sahaeb kya 5 rupaye main yek boti bhi kha sakate hain?akhir kisako khush karane ke liye jhuth aour fareb ka sahara le rahe?kya soniya ji bhi chahti hain ki desh main greebon ka majak udata rahe?desh main gareebon ka koyi swabhman hai ki nahi?unake swabhman se khelane ka haq in congressiyon ko kisane diya?noutanki baj prawakatawon ki fouj khadi karane se kya satta mil jayegi?Indira ji ke jamane se hi gareebon ke sath majak kiya jata raha.greebi hatawo ka nara majak ke siva kuch nahi tha.Rajeev Gandhi ne bhi gareebon ka majak udaya tha.ab soniya aour Rahul ki congress bhi gaeebon ka majak udane main lag gayi hai.mahgayi se trast janta ko usase nijatdilane ki jagah sarakar geebi ko paribhashit karane par juti huyi hai.33 rupaye roj pane wala tathakathit ameerkya apane bachon ko thik se shiksha bhi dila payega?thik se usaka ilaj bhi kar payega?jab 5 rupaye main bhojan mil hi raha to khadya suraksha ke liye itana mara mari kyon?

Wednesday 17 July 2013

BIHAR KE BACHO KA KYA DOS THA?

Bihar main kitana dardnak hua.Mid day meal kha ke 30 bache mar gaye.19 ki halat bahut kharab hai.kya pata unaka kya hoga?khane main jahar milane se ghtana ghati..24 ghanta nahi bita ki madhubani main bhi mid day meal kha kar 50 bache bimar ho gaye.Bihar main jab se purn secular sarakar ayi hai tab se sushasan ka kushasan dikhayi padane laga.itani jaldi Bihar ki gati kyon badal rahi?kya Bihar main sushaan B.J.P. ke karan tha?usake hatate hi bodh gaya main atankvadi ghatana hoti hai,kuch hi din bad bechare garrebon ke bache marane lagate hain.yekayek apa radh badh jata hai.jo nitish danke ki chot par chillate the bhigi billi bane patane main dubake huye hain.unaki himmat bhi midia ke samane ane ki nahi ho rahi.koyi aparadhi pakada nahi ja raha.chapar,patana ki sadakon par hinsa ka tandav hone laga.janata sadak par utarane lagi.congress wale jo nitish ka secularism par unaki prasansa karate the unhe hi dosi karar dene lage.jis lalu ki arajakata ke khilaf we satta main aye the,nitish swayam bhi arajakata ke shikar ho gaye.kitana dukhad hai ki 30 bache marate hain c.m. ki himmat nahi ki bacho ke pariwarwalon se mil sake unake ansu poch sake.kitani kayarata aour samvedanheenata hai yah.kya nitish itane krur hain?kya nitish ab bhi modi ko gali denge?wastawa main desh.kal,patra,mulya aour byawahar ka fark padata hi hai.jab se Bihar sarakar congress ke jal main fansi waha kaliyug ka agaman shuru ho gaya.congress to khud hi desh ke liye kaliyug ke roop main khadi hai.sat yug lane ke liye pariwaetan karana hoga.janata pariwartan chahati hai.wah isake liye taiyar bhi hai.ab kya hoga nitish ke 2014 ke mission ka?ye bache unhe mar dalenge.tab we kaise secular sarakar banawayenge?rajniti main ahankar ghatak hota hai.jidd khatarnak hota hai.viswas agar tutata hai to sab kuch khatam ho jata hai.KYA NITISH KO NAHI LAGATA KI WE HI AKELE BIHAR KE NIRDOSH BACHO KI HATYA KE JIMMEDAR HAIN?

Tuesday 16 July 2013

MULAYAM KI BADALATI RAJNITI

Nehru-Gandhi ke vanshvad ke khilafniti shuru karane wale lohiawadi mulayam ssingh yadav ab dewsh ke sabase bade rajnitik dal ke mukhiya hain.Beta C.M. hai,khud P.M. banana ki chat hai.Lohiya to kahi gum ho gaye. pariwar ke kam se kam adha darjan sadasya sansad main hain.jo paida ho rahe we bhi sansad main jane ki chah lekar paida ho rahe.bharat ke rajnitik itihas main itana bada rajnitik pariwar koyi nahi hai.lagata is pariwar ka udyog hi rajniti hai.ghar ki mahilayen bhi rajniti main hain.jo koyi bacha hai wah 2014 ke chunav main sansad banana ka sapana pal rakha hai.Yadav biradari ke logo ke liye yah pariwarvad koyi mayane nahi rakhata. unaka parwarvad sangharsh ka pariwarvad hai.ab satta ka parwarvad ban chukka hai.pidhi dar pidhi rajniti main kud rahi.rajniti main vanshvad koyi naya nahi hai.wastawa main bharatiya loktantra hi vanshvadi lok tantra hai.Gandhi pariwar main keval 2 sansad hain.karunanidhi ke pariwar main1 ex c.m.,ex.dupity c.m.,ex.minister,saansad hain. badal pariwar main 3 sansad hain.amarindar ke pariwar mainex.c.m. sahit 2 sansad hain.abdulla pariwar main 2 neta hain.sindhia pariwar main 5 log rajniti main hain.veerbhadra ke kunabe main 2 log hain.iname se koyi bhi mulayam ko chunouti nahi de pa raha.mulayam ne apane parwar ke logo ko khoob age badhaya.usake bad bacha to karykarta age aye.yah samajhane ki jarurat hai ki janata kyon inhe samarthan deti hai.jativad ke samikaran ke adhar par rajniti karane wale mulayam o.b.c.- muslim gathjod ke adhar par age badhate hai.ab we hindu card bhi khelane lage.unhone ramjanm bhumi andolan main karyakartawon par jo golo chalawyi usake liye khed pragat kar rahe.kya we b.j.p. ke sath mil kar p.m. banana ka sapana pal rahe?adawani ki prasansa ko kya mana jaye?mulayam ko sarvoch shikhar par puchana hai.isake liye we kuch bhi kar sakate hain.ab we mulla mulayam bane rahana nahi chahte.we sarv manya neta banana banana chahte hain.isake liye sampradayikata koyi chij nahi hai.vote jaise mile wah wahi karana chahte hain.yah rajniti ki bidambana hai.

Monday 15 July 2013

MAYAVATI KA COURT PAR GUSSA KITANA JAYAJ?

Mayavati ne court dwara jatigat ralliyon par lagi rok ka virodh kiya hai.unhone kaha ki jati par rok nahi dharm par rok honi chahiye.isliye r.s.s. aour viswa hindu parishad par rok lage.lekin unhone islami sangathan par rok ki bat nahi ki.we chahati hain ki hindu dharm par rok lage islam dharm par nahi.kya yah vibhajankari bat nahi hai?hindu dhram par rok lag jaye lekin islam dharm ke log unhe vote dete rahe yahi na unaki samajh hai?kyon nahi boudh dharm par rok lage?agar rok lagana hi hai to sabhi dharm par rok lagawayiye mayavati ji.keval hinduwon se hi apaka virodh kyon hain?yek taraf ap brahamano se shankhbajawa kar natak karati hain,dusari taraf ap hindu dharm par rok ki bat karati hain.koun apaki bat sunega?ap jati ka samarthan isliye karati hain ki apaki sari rajniti jatiya gathjod par adharit hai.jatigat rally band hone se kaise bhayi-chara ke nam par rally karengi?jativadi rajniti atamkvad se bhi adhik khatarnak hai.jativad hi sampradayikata aour muddon ko bhatakane ka maouka dei hai.unaka janm hi jativad par hua.ap yad kariye jab B.S.P. ne nara diya tha-TILAK,TARAJU AOUR TALWAR INAKO MARO JUTE CHAR' tab kya yah jativadi nara nahi tha?apane nara diya-BRAHAMAN SHNAKH BAJAYEGA HANTHI DOUDA JAYEGA' tab kya tha yah.mayavati keval daliton ko murkh bana kar apana ullu siddha karati rahi.anya jatiyon ko jod kar social engeniaring ka nam diya.unhone jatigat pronnati ki bat ki.dalit utpidan ke nam par sawarno ko jail bhijawaya.ab we court ko bhi chunouti dene lagi.kya bharatiya loktantra jatigat hai?ab we sarv samaj rally karengi.usame kya sarv samaj ke log jayenge?kya waha ydava jayenge?kurmi jayenge?ab kya savarn jatiyan jayengi?kase hoga sarv samaj?keval dalit samudaya ke log hi shayad jayenge.lekin dalit bhi to hindu hi hai.wh bhi wahi dharm apanata hai jo anya log.sabhi dalit boudh ya ambedakarvadi to hain nahi.sarv samaj bhi to jativadi hi hoga.kyonki waha keval yek hi jati ke log rahenge.B.S.P.jati nirapeksha ho kar kaise chal sakati hai?jab ki usaka sara adhar hi jatigat hai.Mayavati ka court par gussa isiliye jayaj hai.mayavati ki sari rajniti hi gadbad ho jayegi.jatigat rally par rok laga kar court ne desh ke loktantra par bada upakar kiya hai.yah yek krantikari kadam hai.isase rajniti main shudhata ayegi.
Mayavati ne court dwara jatigat ralliyon par lagi rok ka virodh kiya hai.unhone kaha ki jati par rok nahi dharm par rok honi chahiye.isliye r.s.s. aour viswa hindu parishad par rok lage.lekin unhone islami sangathan par rok ki bat nahi ki.we chahati hain ki hindu dharm par rok lage islam dharm par nahi.kya yah vibhajankari bat nahi hai?hindu dhram par rok lag jaye lekin islam dharm ke log unhe vote dete rahe yahi na unaki samajh hai?kyon nahi boudh dharm par rok lage?agar rok lagana hi hai to sabhi dharm par rok lagawayiye mayavati ji.keval hinduwon se hi apaka virodh kyon hain?yek taraf ap brahamano se shankhbajawa kar natak karati hain,dusari taraf ap hindu dharm par rok ki bat karati hain.koun apaki bat sunega?ap jati ka samarthan isliye karati hain ki apaki sari rajniti jatiya gathjod par adharit hai.jatigat rally band hone se kaise bhayi-chara ke nam par rally karengi?jativadi rajniti atamkvad se bhi adhik khatarnak hai.jativad hi sampradayikata aour muddon ko bhatakane ka maouka dei hai.unaka janm hi jativad par hua.ap yad kariye jab B.S.P. ne nara diya tha-TILAK,TARAJU AOUR TALWAR INAKO MARO JUTE CHAR' tab kya yah jativadi nara nahi tha?apane nara diya-BRAHAMAN SHNAKH BAJAYEGA HANTHI DOUDA JAYEGA' tab kya tha yah.mayavati keval daliton ko murkh bana kar apana ullu siddha karati rahi.anya jatiyon ko jod kar social engeniaring ka nam diya.unhone jatigat pronnati ki bat ki.dalit utpidan ke nam par sawarno ko jail bhijawaya.ab we court ko bhi chunouti dene lagi.kya bharatiya loktantra jatigat hai?ab we sarv samaj rally karengi.usame kya sarv samaj ke log jayenge?kya waha ydava jayenge?kurmi jayenge?ab kya savarn jatiyan jayengi?kase hoga sarv samaj?keval dalit samudaya ke log hi shayad jayenge.lekin dalit bhi to hindu hi hai.wh bhi wahi dharm apanata hai jo anya log.sabhi dalit boudh ya ambedakarvadi to hain nahi.

Sunday 14 July 2013

DESH KI SURAKSHA KHATARE MAIN

Vote bank ki rajniti ne ab dseh ki antarik suraksha ko hi khatare main dal diya.Isharat jaha case mainI.B. adhikariyon ka nam ane se I.B. ne C.B.I. kosuchanaye dena band kar diya.dono ka samanwaya lagabhag tut gaya.ab atankvadi ghatanaon ki suchana agar i.b. c.b.i. ko nahi degi to kaise sarakar atankvadi ghatanawon se par payegi?desh ki antrik suraksha tabhi thik rahegi jab dono ka santulan rahega.dono hi Kendra sarakar ke adhin hai.ab dekhiye Kendra sarakar vote ke liye anrik suraksha se kitana khilawad kar rahi?desh ki antrik suraksha jaruri hai ki vot bank yah sawal kyon nahi uthaya ja raha?ishar kand ko desh se bada mana ja raha.abhi secular dal tathakathit ishar par to bol rahe lekin suraksha par moun hai.china lagatar ghuspaith kar raha is par chppi kyon hai?china ke jasus pakade ja rahe is par moun kyon hai?satta pane ki hod main desh ki suraksha byawastha se sarakar aour rajnitik dal sabhi khilwad kar rahe. Bihar ke bodh gaya main atankvadi ghatana huyi.abhi tak usak surag nahi mila.i.b. ne isase apana palla jhad liya.c.b.i. kuch kar nahi parahi.c.b.i. keval rajnaitik tour par hi sakriya ho pa rahi.grih mantrlaya ki itani arajak isthiti hogi to desh kaise surakshit rahega?chunav main isharat ko mudda banana ki kawayat chal rahi.lekin khataranak hoti desh ki suraksha ko mudda nahi banaya ja raha.jab tak desh surakshit nahi rahega tab tak rajniti ka kya matalab hoga?c.b.i. ne apane adhikariyon ko bachane ke liye i.b. ko hi vivad main dal diya hai.kya isaki jankari desh ke grihmantri ko nahi hai?p.m. is par hastaksep karane ki sthiti main nahi hain. kyonki unaki kuch nahi chalati.rahul aour soniya ko desh ki suraksha se matalab nahi,we game changer yojanawon ko le kar pareshan hain.unhe har hal main fir satta chahiye.satta ke liye we desh ki suraksha ko bhi danv par lagane ko taiyar hai.kya hoga desh ka?janata ko is par vichar karana chahiye.

SECULARSM KE LIYE SAF MAN CHAHIYE

Aj Narendra Modi ne yek vivad ko fir janm de diya.unhone 'BURAKA SECULARISM' ki bat pune main uthayi.Be-padhe likhe patrakar aour bina dimag ke neta ise mudda banana main jut gaye.Ab ap hi batayiye BURKA,PARDA,GHUNGHAT main kya antar hai?kya vote ke lalachi logon ke liye shabd bhi secularism aour non-secularism ki seema main ane lage?tab to pura sahitya hi non-cecular ho gaya.kyonki hindi aour sankrit shabd communal ho gaye Urdu shabd secular ho gaye.buraka to Urdu shabd hai.. tab?desh main kya majal chal raha.midia ke bina padhe likhe aj ke log agar tab hote to patel.nehru,gandhi,tilak,vivekanand,dayanand,arvind,malviya ji,koutilya,manu,adi sabhi unake liye communal ho chuke hote.apani t.r.p. badhane ke liye midia kya khel kar rahi?we to khud hi sampradayikata faila rahe?modi virodhi to khiud hi hindu-muslim ko bant rahe?modi kya bol rahe log arth ka kya anarth laga rahe?Desh ki janata in murkhatawon par hans rahi.T.V. main chaehara dikhane ko hod machi hai.kya t.v. se hi vote milenge?aam janata modi ke bhasano ko kaisa le rahi is par bhi to dhyan dena chahiye.vote keval midiawale ya t.v. par anewale neta hi nahi dete,desh ki karodo janata deti hai.isase koyi vote-bank bhi nahi an raha.janata masakharon ka tamasha dekh rahi.Modi yek maje huye nirnayak neta hain.unhe pata hai ki unake yek-yek shabd par tufan machaya jayega.unhe apani bat janta tak pahuchane main madad milegi.so we yek yek shabd dicsenory se koj kar la rahe use we janata main paros de rahe.midia aour modi virodhi chillane lag rahe.bina kisi mehanat ke we janata ke dilpahuchate ja rahe.Rajnitik prachar ki yah vidhi bharat main bahut purani hai.ise sastrarth kaha jata tha.pahale sastrarth vidwonon main hota tha.ab yahyek bharatya atma ko samajhanewale rajnitik byakti aour murkhon main ho raha.janata manoranjan ho raha.kitane sirfire log midia aour rajniti main aa gaye yah dikhayi padane laga.Modi ke kahane ka arth yah tha ki secularism koyi chupa hua darshan nahi hai.use burka,para ya ghunghat main nahi rakha ja sakata.secularism jine ki yek kala hai.use jiya jata hai.use keval vote bank ke roop main nahi samajha ja sakata.secularism ko samajhane ke liye sf man chahiye.

चुनाव में एक विवाद

Aj Narendra Modi ne yek vivad ko fir janm de diya.unhone 'BURAKA SECULARISM' ki bat pune main uthayi.Be-padhe likhe patrakar aour bina dimag ke neta ise mudda banana main jut gaye.Ab ap hi batayiye BURKA,PARDA,GHUNGHAT main kya antar hai?kya vote ke lalachi logon ke liye shabd bhi secularism aour non-secularism ki seema main ane lage?tab to pura sahitya hi non-cecular ho gaya.kyonki hindi aour sankrit shabd communal ho gaye Urdu shabd secular ho gaye.buraka to Urdu shabd hai.. tab?desh main kya majal chal raha.midia ke bina padhe likhe aj ke log agar tab hote to patel.nehru,gandhi,tilak,vivekanand,dayanand,arvind,malviya ji,koutilya,manu,adi sabhi unake liye communal ho chuke hote.apani t.r.p. badhane ke liye midia kya khel kar rahi?we to khud hi sampradayikata faila rahe?modi virodhi to khiud hi hindu-muslim ko bant rahe?modi kya bol rahe log arth ka kya anarth laga rahe?Desh ki janata in murkhatawon par hans rahi.T.V. main chaehara dikhane ko hod machi hai.kya t.v. se hi vote milenge?aam janata modi ke bhasano ko kaisa le rahi is par bhi to dhyan dena chahiye.vote keval midiawale ya t.v. par anewale neta hi nahi dete,desh ki karodo janata deti hai.isase koyi vote-bank bhi nahi an raha.janata masakharon ka tamasha dekh rahi.Modi yek maje huye nirnayak neta hain.unhe pata hai ki unake yek-yek shabd par tufan machaya jayega.unhe apani bat janta tak pahuchane main madad milegi.so we yek yek shabd dicsenory se koj kar la rahe use we janata main paros de rahe.midia aour modi virodhi chillane lag rahe.bina kisi mehanat ke we janata ke dilpahuchate ja rahe.Rajnitik prachar ki yah vidhi bharat main bahut purani hai.ise sastrarth kaha jata tha.pahale sastrarth vidwonon main hota tha.ab yahyek bharatya atma ko samajhanewale rajnitik byakti aour murkhon main ho raha.janata manoranjan ho raha.kitane sirfire log midia aour rajniti main aa gaye yah dikhayi padane laga.Modi ke kahane ka arth yah tha ki secularism koyi chupa hua darshan nahi hai

Thursday 4 July 2013

ISHARAT KE BAHANE RAJNITI

9 sal pahale ke isharat jaha muthbhed kand ka ab yekayek itana prachar kyon ho raha?desh main hajaron muthbhed hoti rahi hai.koyi farji to koyi sahi usaka itana prachar to kabhi nahi hua.jab koyi aparadhi ya atankvadi farji ya sahi muthbhed main mara jata hai to koyi ho halla nahi machata.ise kyon V.V.I.P.  muthbhed bataya ja raha?apako lagata nahi ki isake piche kuch pak raha ya paka hua rakha hai?kya is muthbhd ka rajnitik nihitarth hai?c.b.i. ne arop patra dakhil karane main 9 sal kyon laga diye? ishrat ke liye teesta jaisi manvadhiakarvadi kyon apni jan lagaye huye hain?itane logon ki hatya hoti hai kyon nahi teesta khadi hoti hain?kya isame c.b.i. ke durupayog ki bhi jhalak aa rahi?ishart agar atankvadi nahi thi to atankvadiyon ke sath kya kar rahi thi?kya atankvadiyon ke sath rahane wale bhi nirdos ho sakate hain?yek arop patra to dakhil ho gaya,dusare ko dakhil karne ki kya jarurat hai?yek hi main sab kuch kyon nahi?dusare main kya kusi aour ka nam bhi dala ja sakata hai?ye sabhi sawl hawa main tair rahe.gujarat ko har keemat par badanam karane ki purjor koshis ho rahi.is muthbhed se vote bank sadhane ki bhi koshis hai.gujarat ko muslim viroid karar dene ka bhi prayas hai.lekin isharat kand main muslim sangathan kyon chup hain?desh main I.B. aour police ka isase manobal nahi tutega?kyon koyi police adhikari atankavadi ya aparadhi se loha lega?desh main isharat kand ke bahane khoob rajniti ho rahi hai.yah thik nahi.yah yek tarah se aparadh ka rajnitikaran hai.desh bada hai ki isharat?is par vichar karne ki jarurat hai.'kante se kanta nikalana' rajya ki niti honi cahiye.isame koyi burayi nahi hai.kanoon bina bhaya se kam nahi kar sakata.agar ishrat atankvadiyon ke sath thi to wah nirdos kaise ho sakati hai? koyi aam adami ka deshdrohiyon ke sath kaise sambandh hoga?is tarah ki rajniti desh ke liye khatarnak sabit hoga.

Monday 1 July 2013

DESH KE LIYE KURBAN HOTE SENA KE JAWAN

Bharatiya sena ke jawan isliye apni jan kurban kar dete hain ki unake desh ke log khushahal jivan byatitkar saken.we apada mai desh ke logo ko rahat pahuchachte hain,unaki suraksha karate hain.sema par koyidushaman desh ke upar ankh na utha sake usake liye kuraban honeko tatpar rahate hain.kya koyi yah sochata hai ki we kaise jeete hain?hajaro jawan hamare desh ki azadi aour izzat bachane ke liye  jan ki baji laga deten hain.uttarakhand main sena ke jawano ne apni niswarth seva bhav ko dikhya.unake jajbe ko desh ne salam kiya.apani jan de kar bhi unhone logo ko marane nahi diya.sarakaron ki asfalata ke bawjood bhi unhone apane dayitwa ka purn nirwah kiya..lekin jo we tyag apane desh ,aour usake vasiyon ke liye karate hain kya usaki keemat koyi samajhata hai?sena we jawan hamare hi ghar ke bête hain.kahi bahar se ayat nahi kiye gaye hain.jab koyi jawan shaheed hota hai to usaki vedana usake ghar wale hi janate hain.usake mata.pita,bahan,bhayi,aour patni ya usaki santan hi janate hain.kya hum unake ansu poch pate hain?we jawan jo china,pakistan,ya atankvad se ladate shaheed huye,lekin apani bharat mata ka gourav kam nahi hone diya,we jawan jo kargil ki unchi pahadiyon barf ki chadar main dafan ho gaye,unhe sarkar aour desh ki janata kya de rahi?aj agar hum in jawano ki chinta nahi karenge to kya hum samvedanheen nahi mane jayenge?desh ke bhrast neta apane ko amar banana ke liye kya-kya chonchale karate hain.pakhandvad main ky kya natak rachate hain, samman pane ke liye fir bhi hame wah samman nahi milata.sena ke jawano ko desh itana samman aour suvidha de ki we apane ke liye sab kuch karane ka utsah pa sake.kayi log yah kahate sune jate hain chunki yahi unaki noukari hai isliye unhe yah sab karana hi padega.jo yah kahate hain we desh ke liye kya kurban hone ko taiyar hain?kya koyi neta seema par goli khane ja sakega?kya koyi udyogpati desh ke liye apana sab kuch kurban kar sakane ki himmat juta payega?kadapi nahi.sena main jane se aj ke yuwa parhej kyon kar rahe?kya desh ka yuwa veerata chod kar napunsakata ka jama hi pahanana chahta hai?desh main logo ke manovritti badalane ki jarurat hai.

Saturday 29 June 2013

RAJNITI MAIN VISWAS KI KAMI SE KATUTA

Bharatiya Rajniti main aj-kal itani katuta kyon hai?kya koyi kisi ke khet khalihan ka jhagada chal raha?uttarakhand ki apada rastriya apada hai.wah sabh rajnitik dal apane rajnitik hit sadhane ka prayas kar rahe.koyi bhi pidit nagarikon ke dard ko nahi bant raha.loktantra main katuta ki jagah nahi hoti.waha mat bhed hota hai man bhed nahi hota.byakti,rastra,samaj sabaka hai.puri rajniti rastra ko sabal banana ke liye hi hoti hai.byakti ka kalyan ho yahi loktantra ka uddeshya hai.kya apasi katuta se kyan sambhav hai?loktantriya rajniti main abhadrata ko koyi jagah nahi hoti.sabhi rajnitik dal apane virodhiyon par jahreela war karate hain.jase soniya ne 'modi ko maout ka soudagar kaha'.congressiyon ne modi ko FENKU  kaha.B.J.P. ne Rahul ko PAPPU kaha.kya yahi bhasha hai?aj ke neta oyi darshanik nahi.unaki baton se koyi Sikh nahi milati.Atal ji jase netawon se we Sikh bhi nahi lete.jinhone apane P.M. kasha main Nehru aour Indira ko photo lage rahne di thi.lok tantra ka adhar hai udarata,dweshpurn bywahar nahi.rajnitik dlon main viswas ka ghor sankat hai.apasi viswas ki kami se samvaidhank sansathaye apana kam pura nahi kar pa rahi.Excutive,legislature,judiciary main bhi viswas ka sankat hai.judiciary jis tarah excutive par kataksha kar rahi usase to yahi jhalakata hai.midiya jise desh ke loktantra ka choutha khambhakaha jata hai,wah rajnitik dalon main nafarat ko aour badhawa de raha.anek aise mantra hain jo apana kam thik se nahi karate.unhe midiofobiya hua hai.we t.v. par apana chehara dikhane main hi byast hain.midia ko dalon main nafarat badhane se arthik labh milata hai.har neta aour rajnitik dalon ke apane-apne patrakar hain.jo paid hain.tab midia main pawitrata kaha rah gayi?midia nispaksh kaise rah gayi? janata janati hai koun sa channel kis dal ka samarthan karati hai.bartaman main bharatiya rajniti ka jo dustatapuran mahoul hai wah bharatiya rajniti main kabhi nahi raha.2014 ka chunav ate ate to sthiti bad se badtar hogi.kya isame sudhar ke koyi upaya hain?shalinata aour sabhyata ki kami se rajniti badabudar ho rahi.rajniti main anaitikata hi naitikata ban gayi.kase chalega loktantra?janata ka shasaktikaran is maoul main nahi ho sakata.loktantra ko bachane ke liye desh ki janata ko koyi kathor nirnay lena hi padega

Friday 28 June 2013

2014 KA DILCHASP CHUNAV;DEKHIYE KYA HOTA HAI?

Modi ko fansane ki puri taiyari kar di gayi hai.Rajniti ke liye aour satta ke liye nyayik prakriya ka upayog yah yek nayi vidha hai.Jis tarah Isharat jahan case ko midia utha rahi.usase lagata hai ki koyi naya shadyantra ho raha.yah case bahut purana hai.ia case ke bad Gujarat vidhan sabha ka chunav hua.modi par kya asar pada?midia ke dimag main hai ki kisi rarah isharat jaha case main modi ka kahi se nam aa jaye bas.isake bad to dhunadhar bahas shuru hoga, modi ko muslim virodhi karar diya jayega. muslim vote congress ko mil jayenge.U.P.A.-3 ka rasta hul jayega.U.P.A.-3 sarakar banwane ke liye midia sahit sabhi modi virodhi lag gaye hain.midia ko pata hi nahi ki rajnitik noutanki se ab kuch hasil nahi hoga.Modi ki charcha ab ganv-ganv hone lagi hai.Jab Atal ji pure shabab par the tab bhi Atal ji ki charcha ganv-ganv nahi huyi thi.Desh main Atal banam anya ki rajaniti nahi chali thi. bas yah tha kiAtal ji ache neta hain.udarvadi hain unhe mouka milana chahiye.is tarah ka jhanjhawat A tal ji ke samaya nahi hua tha.Atal ji ka khouf vipakshiyon par nahi tha.Atal ji ka chamatkar yah tha ki unhone apane vaktritwa kshamata se logo ka dil jit liya tha.Atal lahar jaisi koyi bat nahi thi.us samay bhi Atal ji ko 182 loksabha ki seate mili thi.varataman main to modi hi rajniti ke Kendra ban gaye hain.jo bhi rajniti ho rahi usake Kendra main modi hi hain. modi ko raste se hatane ka har mumkin pryas ho raha.unhe badnam aour puri tarah sampradayik ghosit karane ka intajam ho raha.modi ne isharat jaha ko marane ke liye golo chalayi nahi.lekin aisa pose karane ka prayas ho raha ki jaise modi ne hi hatya ki ho.modi ko hatyara aour aparadhi ghoshit karane ka prayas ho raha.aisi nakaratmak rajniti pahale nahi hoti thi.sabh ko pata hai ki desh main yek modi-lahar chal raha.yuwa varg jati ki seemaon ko tod kar modi ka diwana ban gaya hai.agar desh ka yua vote dene nikal padega tab isharat jaha case ka kya asr hoga?modi kisi ke khilaf nahi bol rahe.we chpchap vikas aour management ki bat kar rahe.modi ki shalinata se virodhiyon ki sans chadh rahi.sabhi chahte hain ki modi koyi nakaratmak rajniti kar jaye.lekin modi ne tay kiya hai ki we nakaratmak bolenge hi nahi.desh ke log manhagayi se trast hain.gais,petrol ke dam lagatar badhaye ja rahe.congress keval muslim vote par focus kar rahi.kya desh main anya koyi vote ahi hain?modi chahte hain ki unhe har kimat par 200 seaten pani hai.isi ranniti ke tahat we kam kar rahe.2014 ka chunav bahut dilchasp hoga.

Thursday 27 June 2013

DHARI DEVI KA APAMAN SHIV SAHAN NA KAR SAKE TABHI PRALAY HUA

Bhagirathi ke tat par prasidh Dhari Devi ka aitihasik mandir tha.14-15 jun ko Bhagirathi hidro-project ke liye mandir aour pratima ko sthantrit karane ka faisal hua. Dhari Devi ki pratima ko wha se hata kar anyatra le jaya gaya.16-17 june ko Uttaranchal main pralya aya.Dhari Devi ki pratima aour pralaya ka kya samandh hai?yah janana avashyak hai.Dhari Devi ki pratima ki sthapana 800 sal pahale adi  shankarachaya ne ki thi.kedar nath ji jate samay unhe swapn hua tha ki kedar nath ki yatra ka punya tabi hoga jab Shakti aour shiv ka sanyog hoga.Dhari Devi kali ka roop hain.Kali Shiv  ki Shakti hain.skandh puran main kaha gaya hai ki shiv tabhi prasann hote hain jab kali ki aradhana ki jati hai.dono yek dusre ke bina adhure hain.kali bhi khappdwali hain.shiv bhi khappad wale hain.skandh puran main Dhari Devi ka varanan aya hai.Adi shankarcharya ne is pratima ki sthapana isliye ki thi ki pahado ki raksha ho.charo dhmki rsha ho. jo bhakt charo dham ki yatra Karen,devi unaki raksha Karen.kyon yah yatra tab bahut kathin thi.tab se aj tak dhari devi ki bagut manyata rahi.uttranchal sarakar ne Bhagirathi hidro pariyojana ke liye bina salah mashvera kiye mandir aour pratima ko sthanantrit karane ka faisala kiya.sadhu santo.,bhakat jano,shankarachaya ne isaka virodh kiya.lekin sarakar ki nirankusata ne yek na suni.wastatv main yah daivi prakop tha.dhari devi ki pratima ko sthanantarit karane se shiv ki narajagi swabhawik hai.yah parlay shiv ka hi prakop hai.ise ab desh ki pragaisheel midia aour sthaniya log bhi mukhar ho kahane lage hain.dhari devi ki ratima ko hatane ka krodh badh raha.hajaron logo ki jan gayi. sara ka sara kedar ghati tabah ho gaya.keval bachi shiv ki jyotirling aour Nandi ki pratima. yaha tak ki pandawon ki pratima bhi bah gayi.dev bhumi main devi ka apaman shiv nahi sahan kar sake.vigyan aour adhyatmikata main kabh kabhi vigyan purn asfal ho jata hai.vigyan tabhi tak safal hai jab tak devata aprasanna nahi hote.daiv Shakti vigyan se bhi badi sakti hai.vigyan jaha samapt hota hai daiv Shakti waha se shuru hoti hai.dhari devi bhi vgyan hi hain.we apada se Uttaranchal ki hamesha raksha karti rahi.aj se 130 sal pahale yek raja ne bhi dhari devi e mandir ki chat banawana chaha tha.devi ko chunouti di thi,us samaya bhi yahi hua tha.hum itihas ko nahi dekhate.itihas ki ghatanaon se sabak nahi lete.vikas ki andhi doud main hum adhyatmik shaktiyon ko bhul jate hain. parnam sabake samane hai.ab bhi cheen. dhari devi ki pratima jaha thi wahi sthapit kare.abhi puri barasat baki hai.kahi yah sthiti agar fir duharayi gayi to kya hoga.bharat adhyatmikata se alag hat kar vinash ko hi nimantran dega.

Wednesday 26 June 2013

ARTHBYAWASTHA KA GIRATA DOUR; AB CHARWAK DARSHAN NAHI CHALEGA

Bharat ki economy main girawat ka dour jari hai.MANMONOMICS fail ho raha.Globalization ka bhram tut raha.Udarikaran ka ku-prabhav dikhayi dene laga.Bharat main vikas dar jise 10% karane ki kalpana ki gayi thi wah 4-5% tak simat gaya.aisa nahi lagata ki vikas dar itani jaldi gati pakad payega.Desh main lagbhag mandi ka dour hai.Bajar ki gati atyant dhimi hai.Rupaye ki record girawat ne desh ke manthe par chinta ki lakeeren khich di hain.Pichale 2 maheene se rupaye ki kimat girani shuru huyi,Doller ke mukabale rupaye ki keemat 60.72 rah gayi.1 doller ki keemar ab 60 rupaye ho gaya.Rupaye ka yah mano vaigyanik girawat hai.kya jaldi hi doller ki keemat kya 100 rupaye ho jayegi?Rupaya itana kamjor ho raha isaki chinta sarakar ko kitani hai?kya kadam uthaye ja rahe? sona manhaga ho chukka hai.vitta mantri ko kahana pad raha ki log sone ka prayog kam Karen.kya desh ho gaya? sarkari nitiyan asfal hone lagati hai to sarakar janata par hi niyantran lagane lagati hai.jaise janta hi sabhi rogon ki dawa aour karan hai.tab sarakar kyon hai?sarakar ka koyi dayitwa nahi hai kya?Berojgari badh rahi.banks ammerica ke banks ki tarj par chal pade.udyogpati bankon ka karj utarane main fail ho rahe. 'rinam kritwa gritam pivet' ka charwak darshan bharat main kitana chalega?yah bhoutikvad ka charm hai.bhrat ka vikas keval bhoutikvad se nahi hoga.Adhyatmikata ka niyantran bahut jaruri hai.Globalization ne desh main bhrastachar ko khoob badhaya. Anaitikata ko naitik bana diya.jhuth sach banana laga.Arthbyawastha nakal ka shikar ho rahi.Nijikaran se siksha byawastha nast ho rahi. Angutha chap log viswavidyalay khol shiksha de rahe.Siksha byawasay ho gaya.berojgaron ki fouj paida kar rahi.Yek samaya tha ki M.B.A. ke college behaya ki tarah ug rahe the.har yuwa m.b.a. karana chahta tha.sabhi sadak par gum rahe.unake pas hunar hi nahi.paise ke bal par hunar kaise paya ja sakata hai? yahi sthiti I.T. main bhi hai.sabhi log paise ke bal par enginniyar banana chahta hai.Hunar nahi hoga to kya karenge?sab kuch videshi nakal par ho raha.desh main sarakar arth byawastha ko sudharane ke har tareeke apana chuki.sankat ka samadhan nahi ho par raha?Apne moulik chintan se desh kabhi 'sone ki chidiya' thi.nakalchi chuntan se desh bhikh mangane ke kagar par khada hai.Duniya main globalization ki arth byawastha se bahar nikalane ka pryas ho raha. Bharat abhi bhi globalization ke moh pash main pada hai.Girate rupaye ko khada karane ke liye jis 'RAJNITIK ARTHSHASTRA' ki jarurat hai use khojana padega.nahi to desh ko tabah hone se koun rok payega?

Tuesday 25 June 2013

SO GAYI SAMVEDANA

Bech dali maliyon ne,khoob surat kyariyan,gandh ke soudagaron ne round di fulawariyan, foul murajhane lage hain aour patte ro rahe,bech kar ghode nigode,astbal main so rahe nyay baitha dur sahama,maoun hai alochana,mundkar ankhe siyasi, so gayi samvedana,kanpati anjan bhaya se bag ki lachariyan,gandh ke soudagaron ne round di fulwariyan,.bharaar bhi kunthit hua ab kast main madhumas hai, chahta dhumil ruhansi,mar rahi wah pyas hai, madbhari madak baharen fans gayi hain jam main,aj wah sahas nahi hai,ladakhadate aam main, maliyon ne tham hanth apane ariyan gandh ke soudagaron ne round di fulwariyan.,ho gaye itane ujale rat bhi soti nahi,chandani se chand ki bhi bat ab hoti nahi,gandh ghayal ho gayi hai,dard ki amarayiyan, ho gayi dushit suhani bhor ki purawayiyan,dhank li hai nak apani chait ki mahuariya,gandh ke soudagaron ne round di fulawariyan., round dale we bhale hi daliyon ko panv se,musakarayi kopale gahari jado ke ganv se,waqt ne iname bhari hain,jujhane ki bhawqana,pidhiyan karati rahengi afaton se samana,khinch li talawar dekho,myan se mat wariyan, gandh ke soudagaron ne bench di fulawariyan., gaa basanti rag bhoure vedana ke saj par,khil uthe shayd kali fir, gunguni awaj ar,chatpatahat shesh hai to jindagi hogi abhi, hum samajhate the khatam par yah shuru hogi abhi, as ka sambal mila to.mit gayi dushwariyan,gandh ke soudagaron ne round di fulawariya.- - - - -

UTTARANCHAL MAIN RAHAT KE LIYE SANGHARSH

Uttarakhand main aj 10 din bad bhi hajaron log fanse huye hain.sena ke athak parisram ke bad bhi logon ki jindigiyan sankat main hain.vrasha ne rahat kam ki gati dhimi kar di hai.sena ke jawan logo ko bachane main shaheed ho rahe.lekin sena ke jajbe ko salam karata houn. we'surya hope; ke mission par kam kar rahe.fanse huye log bimari aour bhojan ki samapti ke sankat se jujh rahe.kayi to bhukhe mar rahe.kayi jagah abhi bhi rahar kam naho ho saka hai.uttarakhan lagabhag tabah ho cuka hai.use fir se khada hone main bahut samaya lagega.waha ka parytan is bar lagabhag khatam hai.dharmik ytrayen nahi hongi.raja sarkar ab pura samay punarnirman main hi lagayegi.vikas ki gati dhimi hogi.pryvaran par fir se vichar ki awashyakata hogi.yah to sabak mila hi ki prakriti se ched chad khatarnak hai.Kasmir main soniya ne isaka sanket diya.vikas ke sath sath prakriti sarankshan ki jarurat hai.rahat par rajniti bhi tej hai.sabhi dal chunav ko madde najar badh chadh kar bate bol rahe.Keval Mayavati hi yek aisi neta hain jo ab tak is apada par munh nahi khola hai.shayad unake vote bank par is apada ko koyi asr nahi hai.uttaranchal ki lagabhag adhikansh sadake tut chuki hain.kam chalau raste se hi kam chalaya ja raha.vikas ke nam par pahado ko visfoton se todane par pahad kam jor ho chuke hain,sankat hamesha hi bana rahega,nadiyon ko bandhane nadiyyan ab apana rasta talash rahi hain.unaka veg sab kuch baha sakata hai.ganga nadi ko rokana aour kahtara hai.Tihari par bhi kam sankat nahi hai.tihar bandh main pani bharane se jab usaki nikasi ki jayegi to desh ke anya bhagon main badh ka khatara badhega.bilali se dhan kamane ki lalach se pryavaran nast karana kitana jayaj hai?bijali ki bhi jarurat hai,usake anya upaya kiye jane chahiye.keval bijali niraman se bhi kam to nahi chalega.logon ki jndagi bhi jaruri hai.akhir bijali ka upabhog koun karega?jab log hi nahi rahenge.sabhi rajnitik dalon ko paryavaran ke muddon par gambhir hon hi hoga.yah samay ab aa gaya hai.

DESH KE DO BETON KI KAHANI


Aj Uttaranchal main do mahatwapurn ghatana ghati.yek to 9 din bad kisi tarah chirouri minnat par 'PAPPU' arthatRahul Gandhi ji Uttaranchal padhare wha ke bpatti main pade logon ka kathit dukh bantane.Dusare logo ko bachane aour rahat karya main gaye sena ke chopper ka crasha hona jisame 19 sena ke adhikari aour jawan shaheed ho gaye.yek rajniti karane gaye the.apana vote bank snbhalane gaye the dusare nihswarth seva ke bhav se apni jan dekar logo ko shayata karane gaye hain.Abap dekhiye sena ke jo log shaheed huye,we kisi mata ke bête hain,kisi bahan ke bhayi hain,kisi suhagan ke suhag ke sindur hai,kisi dadi maa ke ladale tutalate nati hain,kisi baba ke ankho ke noor hain.unhone logi ke liye apani kurabani di.unhone apni suhagan ke suhag ki cjinta nahi ki,apani mata ke ansuwon ki chinta nahi ki,apane bahan ke rakhi ki chinta nahi ki,apane dadi ke budhi ankhon ke pratiksha ki chinta nahi ki,apane baba ke intajar ki chinta nahi ki.unhe chinta thi hamare desh ke log sankat main unaki jan bachani hai. hamara esh sankat main hai use surakshit rakhana hai.jan to ayegi jayegi desh ke log aour desh ko har hal main bachana chahiye.unhe naman ,unhe sachi sradhanjali.unake parti samrpan.Dusare yek 'PAPPU' bête hain jo yek rajkumar ki tarah aye.puri sarakar ko apane kadamo main jukate huye.unake liye sare niyam kanoon khatam kar diye gaye.we is tarah aye jaise we apada main fanse logo.aour desh ki kisi sarakar se bhi bade hain.kedar nath ji mein utere tabahi dekha ki nah nahi pata,lekin jins ki pant aour kurate ki safedi par koyi dag nahi lg paya.mitti main dabe saikado logon ke shavo ki sadandh mahasoos ki ki nahi nahi maloom.lekin we aoupcharikata nibha aye.apana vote bank dekh aye.koyi sanvedana huyi ki nahi nahi mallom.lekin midia pe chahara dikha aye.desh ke do beton ki kahani hai yah.koun sa beta hame chahiye yahi tay karana hai.

Monday 24 June 2013

PURAKHO KI THATI- - - - PALAN KAREN

'Ganayanti na ye surayam vristim shitam cha karshakah,yatante sasyalabhaya tai sakam hi vasami aham'- - - -we krshak jo dhup varasha,tatha thand ki parawah kiye bagair nirantar anaj utpadan ki chesta main lage rahate hain,main[paramatama] unhi ke sath rahata hoyn.- - - - Upanishad.  .........'Grarvay par pidayai durjanasya dhanam balam, sujanasya tu danaya rakshanay cha te sada'.- - - - - -dust byakti ka dhan tatha bal ya to ahankar ke pradarshan hetu hota hai athawa dusaron ko pidit karane hetu.jabaki sajjan byakti ka dhan aour bal sarvada dan aour dusare ki raksha ke liye hota hai.- - - Upanishad.- - - - - - - -'Gunairutungatam yati no  tungenasanen vai, Prasad- shikharashtopi kako na garudayate'.- - - -byakati keval unche asan se hi nahi apitu apane guno se mahanata prapt karata hai,waise hi jaise bhawan ke shikhar par baith jane matra se kaouwa garun tulya nahi ho jata.

'Ganayanti na ye suryam vristim shitam cha karshakah,yatante sasyalabhaya taih sakam hi vasami.- - arthat,we krishak jo dhup,varsha tatha thand ki parawah kiye bina nirantar anaj utpadan ki chesta main lage rahate hain main arthat paramatama

Sunday 23 June 2013

KYA HOGA KANOON BANA KAR................?

Kya hoga kanoon bana kar,palan karane wala koun? Andhi hai kanoon byawastha aour prakriya bahari moun. Kahate hain azadi ayi aour sabhi azad ho gaye,is azadi ke sab matalab lage lagane naye-naye, andhi andhi naitikata ka path padhane wala koun?kya hoga kanoon bana kar,palan karane wala koun?Satta ke thekedaron ke, kaise kritya ghinoune hain, inako to kanoon kayade lagate sirf khiloune hain, swekshachari mustandon ko mushk lagane wala koun?kya hoga kanoon banakar,palan karane wala koun? Kalam ho gayi swekshachari aour dand lachar hai, samajik sadbhav ban gaya kothe ka byapar hai, in soudebajon ki harakat band karane wala koun?kya hoga kanoon bana kar palan karane wala koun? Kumbhkarn shsak,shsak anuyayi duhshasan ban baithe ain,prajatantra ke rakshak hi jab bhakshak ban kar baithe hain,ayisi brasht lijliji satta,path padhane wala koun? kyahoga kanoon bana kar palan karane wala koun? kya dilli kya rajya sabhi halat yek se hain,kursi ki khatir jangi shah mat yek se hain, bahari,gungi,bhrast byawastha,chul hilane wala koun? kya hoga kanoon bana kar,palan karane wala koun?

CONGRESS KO MODIYAMIYAN ROG

Modi ke Uttaranchal  main logo ka dard bantane par bhi apatti hai.modi ne kedar nath ji ke punarnirman ki bat kya kah di diggi raja ubal pade.unhone kaha ki kedar nath ji ke punarnirman ki bat sabase pahale Maharashtra ke c.m. ne ki thi.kitana jhuth?we waha gaye bhi nahi,kah kab diya?kisase kaha diggi se?ab sakaratmak bat ko bhi batangad banana main congressi ulajh rahe.modi ne kah diya ki unhone 15000 gujaratiyon ko bahar nikalwaya,kya galat kiya?is par raj babbar bigad gaye kaha ki modi jhuth bolate hain.we apani parachahi ko apane se upar manate hain.gujaratiyon ko sena ne nikala.han bhayi sena chod kya ap kisi ko nikal rahe congrssjan?sena ne hi nikala modi ne bataya aour use apane copter se Gujarat bheja.kya yah kam hai.koun c.m. apane Pradesh ke logo ko sena ki madad se nikal kar apane copter se apane Pradesh bheja?kya u.p. ne?kya maharshtra ne?kya Bihar ne?kya delhi ne?isame jhuth kaisa?modi pthan kot main b.j.p. ki rally main bol rahe the.bhari bhid ko sambodhit kar rahe the.to Manish Tiwari bifar pade.kaha modi ka pathankot main bolana n.d.a. ke patan ki shuruat hai.kya ho gaya hain in congress ke logo ko.modi ko kya samudra main fenk diya jaye tab unaki pareshani khatam hogi?ab Rahul Gandhi ka koy atapata nahi hai,inani badi desh par apada ayi hai.we p.m. banana ko taiyar baithe hain.janta sankat main hai Rahul baba maja le rahe. yah to sahi hi hai,ki yah bhi galat?is par swal puchane par congrssi modi ko gali de rahe.ab isame modi ka kya dosh hai.Rahul modi se puch kar to kahi gaye nahi.agar we palayanvadi neta ki tarah pith dikha rahe to modi ka kya dosh hai.modi kah rahe ki bharat nirman vigyapan pichale dino se nahi dikhaya ja raha,kyon ki modi ko shak hai ki bharat ka nirman ho bhi raha hai ki nahi.is par congress chilla rahe ki Gujarat ka nirman kaha ho raha?aisa lagata hai ki congress ko MODIYAMIYAN ho chukka hai.is rog ka kya ilaj hai yah pata nahi lekin janta to is rog ka ilaj janati hi hai.mout ka soudagar khane wali soniya Gandhi bh yah janti hain ki modi ko rokana ab bahut kathin hai. kyon ki janta hi namo namo namo chlla rahi.

Saturday 22 June 2013

MODI NE UTTARANCHAL KA DARD BANTA

Narendra Modi aj Uttaranchal ke doure par the.we desh ke pahale c.m. the jinhone Uttaranchal ke logon ka dard banta.Nitish nahi gaye,Akhilesh nahi gye,Myavati ko koyi matalab nahi,unhone to kuch bola hi nahi,Navin patanaiyak nahi gaye,Mamata nahi gayi.jitane bhi tathakathit secular C.M. the kisi ne bhi pidit janta ka dard nahi banta.kya desh main ab pida secular aour communal ho gayi hai?waha Hindu hi jyde mare hain,to kisi muslim sanghtan ne bhi mdad ka hanth nahi badhya.agar yahi kisi muslim tirth main hota to dekhate kya hota?desh main pida aour dard bhi bhi vote-bank ke adhar par toula jane laga hai.kaise hoga desh main yekata?Congress bhi adhe adhure man se kam kar rahi.chunki waha usaka c.m. hai isliye karana pad raha.soniya,manmohan keval rasm adaygi hi kar rahe.Rahul Gandhi ka abhi tak kuch pata nahi hai.unhe desh ki janata se kya matalab?unhe to bas P.M. bana dijiye.sena ke jawan dev dut ki tarah waha logo ke sankat ke sath hain.we na rahate to abhi hajaron jane aour jati.sena apani jan hantheli par rakh kar logo ko bacha rahi.sena ke sath R.S.S.,V H P ,AOUR BAJARNG DAL KE SWAYAMSEVAK  ji jan se lage huye hain.niswarth desh prem ka isase acha namoona aour kya ho sakata hai?isiliye J.P. aour NEHRU ne r.s.s. ko sacha desh bhakt kaha tha.abhi bhi waha 50000 se adhik log fanse huye hain.tej barish ki bhavisyavani 48 ghante main ki gayi hai.kya hoga?log bhukh se bhi dam tod rahe kayi jagah abh bhi rahat nahi pahunch payi hai.lekin log bachaye ja rahe.Modi ne kedar nath ji ki tabahi dekha. we ro pade.swabhavik hai.jo desh se prem karega wah royega hi.jo desh ki janata se pyar karega wah unaki madad ke liye age ayega hi.Modi ne c.m. Bahuguna se mulakat ki.unhone peshkash ki ki kedar nath ji ke punarnirman ke liye Gujarat age rahega. kedar nath ji ke punarnirman mai jo bhi kharch ayega wah Gujarat sarakar degi,puri taraha.kya bat haidil itana bada hona hi chahiye.kedar nath ji desh ke sanskritik dharohar hain.unka samman hona hi chahiye.modi ne mahilawon aour bacho ki madad ke liye Gujarat sarakar ka hawayi jahaj dene ki bat bhi ki.yahi hona chahiye.sakaratmak roop yahi hai.

Thursday 20 June 2013

PRAKRITI KA GUSSA HAI UTTARANCHAL KA JALJALA

Uttarakhand main marane walon ki snkhya 15000-20000 hai.yah sach samane aa raha.jis samaya kedar ji main bipatti ayi us samaya waha kareeb 35000 log the.dharmshalawon main jagah jagah.keval sarakari ankado ke anusar 10,000 log nikale ja sake.25ooo log kaha gaye?jahir hai ki sabhi dab ke mar gaye.kyonki waha se nikalane apne ap to koyi rasta  nahi hai.sarakar ke mantra neharak rawat ne bhi hanth khade kar diye.unhone kaha ki sarkar sthiti ko nahi sanbhal sakati.sawal hai ki jab sarakar janta aour Pradesh par par ayi bipatti ko nahi sanbhal sakati to sarakar kis kam ki?sarakar ke mantra kis kam ke?we kyon bane rahe?uttaranchal main sarakar ko barkhast kar Kendra sab kam apane hanth main le.rajya sarakaron ke lalachipan se hi yah durgati huyi hai.pichale 15 varshon main bijali aour vikas ke nam par paryavaran se khob chedchad huyi.majak hua.paryavarn ko loota gaya.har sarkar isame dosi hai.sarakar ke sabhi yojanawon ki janch ke liye waha c.b.i. jhanch honi chahiye. desh bhar ke hajaro pariwar nast ho gaye.uttaranchal tabah ho gaya.sarakar hanth khadi kar rahi,apana pap janta ke sir thop rahi.kedarnath ji main ab lashon se badabu ana shuru ho gaya.malbe main hajaro log dafan hain.jab tihari ban raha tha tabhi kaha gaya ki bijali ki lalach main paryvaran se khilawad uttaranchl ko bhari padega.wahi hua.Vikas ke nam par purine dev mandir tode gaye.Dhari devi mandir ko hataya gaya.sabhi mandiron ka sambandh pryvaran ki suraksha se tha.Devata naraj huye.Daivi bhumi Bajar bhumi ho gaya.is pap purn bajarikaran main Daivi prkop to ana hi tha.Pap sarkar kar rahi,bhog janta rahi.Kedar nath ji jaise pawitra sthal ko paryatan ke nam par khuli chut mili.wah sthan tapasya aou sadhana ka tha.ab waha mouj-masti ka Kendra banaya gaya.kabhi Amar nath main bhi yahi sthiti ho sakati hai.kyon ki waha bhi sarakaren paisa kamane ke liye pakhand kar rahi.itani unchayi par rahat ka kam bhi thi dhang se nahi ho sakata.yah prakriti ki abhi chetawani hai.ab bhi nahi sudhare to pure desh main hi jaljala aa jayega.tab kya karegi sarakar?uttaranchal  main ab ab sarakar kaise paisa kamayegi?jo jan-mal ka nukasan hua usaki bhar payi kaise kar payegi?neta kevl hawayi sarve kar rahe.unaki samvedanshilata mar chuki hai.abhi to yah suruat hai.pura barast abhi baki hai.is bar prakriti ka kahar kuch jayede hi hoga.satark rahane ki jarurat.

Wednesday 19 June 2013

KU YOJANAWON KA PRABAHV HAI YAH

Uttarakhand ki sthiti main abhi koyi sudhar nahi hua.lashon ko dekh D.M. ko heart attac ho raha. c.m. keval press conference kar rahe.sena ji jan se lagi huyi hai.pradesh sarakar ki mashinari fail hai.abhi bhi 65000 log sanakat main hai.R.S.S aour sangh pariwar ne apana sab kuch jhonk diya hai.C.M. apada prabandhan main asafal sabit ho rahe.sarakar kah rahi ki kedar nath ki yatra ab sambhav nahi hai.yah bayan hindu tirthyatriwon ko chot pahucha raha.kya pawitra kaba ki tirth yatra ko rokane bayan sarakar de sakati hai?hajaro log mare hain yah suchana aa rahi.sarakar kah rahi ki 140 log hi mare hain.marane par bhi rajniti ho rahi.kya desh samvedana shuny ho chukka hai?uttarakhand main jitani tabahi huyi hai usaka ankalan kathin hai.prakriti se ched-chad ka yah natija hai.wah koun sa vikas hai jisame parlay hi aa jaye?Desh ke sath vikas ke nam par majak hi ho raha.vikas main jine ki tammanna liye log mar rahe.waha loot pat bhi machi huyi hai.5 rupaye ka biskit 100 main bik raha.kya kar rahi sarakar?kitane fanse log bhukh se tadap rahe.pani bhi nahi hai.kya we bhukh se hi mar jayenge?waha abhi tak sahayata nahi pahunch payi hai.1-2 din nahi pahuchegi to sabhi jinda nahi bachenge.desh main apada ayi hai Rahul baba apana janm din lndan main mana rahe.kya ayise hi netritwa denge?desh ko is apada se ubarane ke liye yekjut hona chahiye,to desh communal aour secular main fansa hua hai.200 sal pahale bhi isi taraha ki apada kedarnath ji mai ayi thi.tab bahut nukasan nahi hua tha.log kam the bajarikaran nahi hua tha.jab tirthon ka bajarikaran hoga.to is tarah ki apada to ayegi hi,ise jhelana mushkil hoga.tirthon ko tirth hi rahane de.use parytan na banayen to acha.adhyatmikata koyi majak nahi.use chedenge to nast hi honge.DESH MAIN ANEK PARIWAR APANE LOGO KI PRATIKSHA MAIN HAIN UNHE KOYI SUCHANA NAHI MIL PA RAHI.bijali ke bajar ke liye sarakar ne sabhi nadiyon par bandh bana diya hai.ab bandh ka pani band bacane ke liye chodenge to pure desh main hahakar hoga hi.abh jun hai badh se desh ke anek nagar trast hai,age kya hoga aya to aour kathin hai.lagata is bar anek jagah badh ki sthiti banegi.naddiyon ko jodane ki yojana isaka hal tha.lekin rajnitik karano se ise thande bistat main dal diya gaya.

YAD AUNGA JARUR

MAIN TO CHIRAG HOUN TERE AASHIYANE KA,KABHI NA KABHI TO BUJH JAUNGA,AJ SHIKAYAT HAI TUJHE MERE UJALE SE,KAL ANDHERE MAIN BAHUT YAD AUNGA.

UTTARAKHAND KI TABAHI

Uttarakhand main varsha aour prakriti ke prakop se bhari tabahi huyi hai.saikado log mare gaye hain.hajaro ghar bah gaye hain.janjivan astbyast hai.Uttarakhand is samay puri taah sankat main hai, yah dev bhumi dev ke prakop ke age lachar hai.KEDAR ji ko prakriti ne bas bacha diya hai.sabhi rajya apani taraf se madad ke liye khade huye hain.kendra sarakar ne bhi madad ki ghoshana ki hai.lekin kya apko nahi lagata prakriti ke sath ched chad ka yah natija hai.Agar kahi tihari bnadh ko sankat hua to kya hoga?nadiyon ke sath khilawad thik nahi hai.HUM UTTARAKHAND KE SANKATGRAST PARIWARON KE SATH PURI SANJIDAGI SE KHADE HAIN.JO HO SAKEGA MADAD BHI KARENGE/desh ki janata se apele hai ki we abhi sab chod kar uttarakhand ki janta ki madad Karen.itana bhayawah manjar is pidhi ne nahi dekha hai.uttarakhand ko fir s khada karane main hanth batayen.sarakar ko yah yek chetawani bhi prakriti ne diya hai.hum mritak ki atama ki shanti ki prarthana bhi karate hain.

Tuesday 18 June 2013

SECULAR YA PAKHAND

Secular shabd ab koyi sidhant nahi rah gaya.yah rajnitik swarthvad ka parinam ban gaya.Bharat Dharmik desh hain yaha adhikansh log Apane Dharm ke prati kattar hain. kya hindu,kya muslim,,kya Sikh,,kya isayi,kya jain,,kya boudh, sabhi apne dharm ko manate hain.isi main jab dharm pariwartan hota hai to vivad paida hota hai.inhi dharmom ke log sarakar aour rajnitik sansthaye chelate hain.kya rajnitik hone aour sarakar main hone matra se sab dharm se nirpeksh ho jate hain?Rajya sabhi Dharm ka samman kare kisi dharm ko age na badhaye,dharm nahi kanoon ke adhar bar byawastha chale yahi secular ka arth hai.Lekin jab B.J.P. se J.D.U. alag hua to P.M. ne Nitish ko secular hone ka certificate de diya.isaka matalab aj tak nitish secular nahi the,jab b.j.p. se alag huye tab secular huye.yah secularvad ka pakhandikaran hai.jo congress ke syh rahe wah secular jo na rahe wah communal.yah nayi paribhasha ayi hai.kya secular ab satta ki parbhasha se chalegi?tab to P.M. kud hi nahi secular hain kyon ki we Sikh dharm ka palan karate hain.soniya ji kaha secular hain kyon ki we isayi dharm ka palan karati hain.sabhi apane dharm ko age badhate hain.kya yek dhram ko neecha dikha kar dusare dharm ki bat karana secularity hai?vote ke liye to sahi ho sakata hai.jitani bhi tathakathit secular dal hain sabhi muslim dharm ko age badhate hain,hinduwon ki sampradayik kahate hain.jo hindu dharm ki bat karata hai wah communal ho jata hai.jo muslim ya isayi dharm ki bat karata hai wah secular ho jata hai.kya yahi secularvad hai?bharat ko secular ke nam par alagawavadi banaya ja raha.janta bhi is roop main bibhramka shikar ho jati hai.jati aour communalism hi rajnitik dalon ka vote prapt karane ka rasta hai.isase bhara ki rajniti gandi ho rahi.alagawa badh raha.samanwaya nahi ban pa raha.satark rahane ki jarurat.desh bachane ki jarurat.
Secular shabd ab koyi sidhant nahi rah gaya.yah rajnitik swarthvad ka parinam ban gaya.Bharat Dharmik desh hain yaha adhikansh log Apane Dharm ke prati kattar hain. kya hindu,kya muslim,,kya Sikh,,kya isayi,kya jain,,kya boudh, sabhi apne dharm ko manate hain.isi main jab dharm pariwartan hota hai to vivad paida hota hai.inhi dharmom ke log sarakar aour rajnitik sansthaye chelate hain.kya rajnitik hone aour sarakar main hone matra se sab dharm se nirpeksh ho jate hain?Rajya sabhi Dharm ka samman kare kisi dharm ko age na badhaye,dharm nahi kanoon ke adhar bar byawastha chale yahi secular ka arth hai.Lekin jab B.J.P. se J.D.U. alag hua to P.M. ne Nitish ko secular hone ka certificate de diya.isaka matalab aj tak nitish secular nahi the,jab b.j.p. se alag huye tab secular huye.yah secularvad ka pakhandikaran hai.jo congress ke syh rahe wah secular jo na rahe wah communal.yah nayi paribhasha ayi hai.kya secular ab satta ki parbhasha se chalegi?tab to P.M. kud hi nahi secular hain kyon ki we Sikh dharm ka palan k
Secular shabd ab koyi sidhant nahi rah gaya.yah rajnitik swarthvad ka parinam ban gaya.Bharat Dharmik desh hain yaha adhikansh log Apane Dharm ke prati kattar hain. kya hindu,kya muslim,,kya Sikh,,kya isayi,kya jain,,kya boudh, sabhi apne dharm ko manate hain.isi main jab dharm pariwartan hota hai to vivad paida hota hai.inhi dharmom ke log sarakar aour rajnitik sansthaye chelate hain.kya rajnitik hone aour sarakar main hone matra se sab dharm se nirpeksh ho jate hain?Rajya sabhi Dharm ka samman kare kisi dharm ko age na badhaye,dharm nahi kanoon ke adhar bar byawastha chale yahi secular ka arth hai.Lekin jab B.J.P. se J.D.U. alag hua to P.M. ne Nitish ko secular hone ka certificate de diya.isaka matalab aj tak nitish secular nahi the,jab b.j.p. se alag huye tab secular huye.yah secularvad ka pakhandikaran hai.jo congress ke syh rahe wah secular jo na rahe wah communal.yah nayi paribhasha ayi hai.kya secular ab satta ki parbhasha se chalegi?tab to P.M. kud hi nahi secular hain kyon ki we Sikh dharm ka palan karate hain.soniya ji khud secular nahi hain kyonki we isayi dharm ka palan karati hain.kya ab lalu ydav secular nahi rahe?bharatya samvidhan ne secular ko paribhasit kiya hai.kya bhartiya samvidhan ka palan ho raha?secularism kya tustikaran bhi hai?nitish ne secular p.m. ke kahane par unhe dhanyvad diya.lagata hai ki unhe bahut badi safalata mil gayi.kya natak hai yah?kya janata ise samajh nahi rahi?ab secular shabd vote-bank ka adhar hai.koyi pawitra bhav nahi.bharatiya rajniti main jati aour secular itana mi gaye hain ki inka shudh roop ana kathin hai.

Sunday 16 June 2013

BIHAR KE RAJNITIK NIHITARTH

Akhir jo hona tha hua.B.J.P.-J.D.U. gathbandhan tut gaya.bechare sharad yadav ki kuch nahi chali.acha hi hua.gathbandhan banate hi hain tutane ke liye.gathbandhan ki rajniti ka arth hi hota hai tod-fod ki rajniti.Lekin yah tutan yek byakti ke nam par hua.wah na hai Narendra Modi ka.pata nahi kyon logo ke man main modi ke nam ka itana khaouf hai ki log apana astitwa hi bachane main lag gaye.mulayam kah rahe ki u.p. main modiko koyi nahi janata.nitish kah rahe ki modi ke nam ki koyi andhi thode hi chal raha ki n.d.a. ko 272 seaten mil jayengi.kayi dal alpsankhyakvad chalane lage.lagata hai ki druwikaran ka khatara hai.j.d.u. ne jaldibaji main kadam uthaya hai.isaka use nukasan hoga.nitish ke ahankar ne tut kiya.main nitish ko 20 varasho se janata houn.we thode se safalata ain ahankari ho jate hain.unhe lagata hai ki we ab lalu ko khatam kar chuke hain..Bihar main ab do hi dal rahenge.j.d.u. aour b.j.p..nitish manate hain ki congress unaka hi anusaran karegi.we itana chate the ki b.j.p. unake adesh par chle.koyi dal dusare ko hastkshep kyon karane dega?nitish ko modi ke kad se chidh hai.we nahi chahte ki modi Bihar main n.d.a. ka prachar Karen.kya modi ko Bihar ane se roka ja sakata hai?nitish ko dar tha ki modi ke sath rahane se muslim voye sarak jayega.lekin modi-modi itana Bihar main ho gaya hai ki modi jab bhi Bihar jayenge hiro sabit honge.bihar ki janata ne is tutan ko apana apaman man liya to kya karenge nitish?b.j.p. ko ab labh yah hoga ki wah mukhya vipakshi dal rahega.lok sabha main wah apane 39 ummidawar utarega.nitish ke sath use kewal 12-15 seaten hi milati thi.modi factor ne agar kam kiya to b.j.p. ko adhik seaten mil sakati hain.nukasan nitish ka hi hona hai.kaise jtenge ab sharad yadav? b.j.p. ne apana kadam sahi uthaya.use loksabha dekhana hai .Bihar ki satta ka abhi koyi matalab nahi hai.lok sabha main 200 ka ankada pana b.j.p. ka lakshya hai.cong.sarakar ki girati stithi se labh kisako hoga?madhyam varg ka yua modi ke liye pagal hai.wahi is bar nirnayak bhumika main hai.agar modi ka jadu chala to kya hoga?dar asal yah rajniti igo ki ladayi ki rajniti hai.isame janata ko tay karana hai ki kya wah gathbandhan chahti hai ki nirnayak bahumat.chahe congress ko de ya b.j.p. ko.desh gathbandhan ki rajniti se ub chuki hai.

Friday 14 June 2013

BIHAR MAIN BADALATI RAJNITI:DEKHE KYA HOTA HAI?

Pichale 3-4 din se Bihar mainJ.D.(U)-B.J.P.gathbandhan ke tutane khabar ko bade jor shor se chalayi ja rahi thi.Dono taraf se katutapurb bayan aa rahe the.lagbhag sabhi ne man liya tha ki yah gathbandhan tut jayega.cong.khush thi.lalu khush the.lekin aj lagata hai sabake ashawon par tusharapat ho gaya.B.J.P ne kaha ki- hum dua bhi dete hain dawa bhi dete hain,jisase dosti karate hain use daga nahi dete hain.nitish kumar ne apane sabhi mantriyon ko 17 jun ko baithak main bulaya hai.isame b.j.p. ke mantra bhi shamil hai.j.d.u. ki baithak 15-16 ko hai.matalab j.d.u. ki baithak main gathabandhan par abhi koyi faisala nahi hona hai.dono main sangharsh modi ko hi le kar nahi haiadawani ko lekar bhi hai.maharaj ganj chunav main j.d.u. isaliye hari ki b.j.p na sath nahi diya,yah kahana hai j.d.u. netawon ka.modi Bihar main j.d.u. ki shart par ayen.modi p.m. na bane.p.m. ka faisala n.d.a. ke sansado ki baithak main ho.lalu ke khilaf sajha abhyan chale.ye sabh prashn j.d.u. utha raha hai.matalab formula nikalane ki taiyari chal rahi hai.nitish ko pata ho gaya ki federal front ka koyi matalab nahi hai.s.p.-b.s.p. jaisi partiyan unaka sath nahi dengi. modi ki lahar tham nahi raha.desh modi ka diwana ho raha.sarvekshan bata rahe ki modi ke chunav prabhari banana ke bad b.j.p. ke paksh main 15 se 20 % ka swing ho raha.kahi gathbandhan se ubi janta nirnayak parinam na dede.midia gathbandhan ko todane par kyon tula hua?jaram Ramesh ne modi ko khatara kyon bataya?u.p. main amit shah ke ane se khalbali kyon mach rahi?ye sabhi sawal gathbandhan todanewalon ke dimag main aa gaya.astitwa to nitish ka fansa hua hai.b.j.p. ke astitwa ka kya sawal?wah satta main rahegi ya mukhya vipaksgi dal.cong. ko hatana keval b.j.p. ka hi dayitwa nahi sabhi congress virodhi dalon ka bhi dayitwa hai.jis tarah food security bill par cong. piche hati usase usaka bhaya samane aa gaya.cong. ko lag raha ki ab koyi loklubhawankadam use fayada dega kya?manarega jaise labh pane ki sthiti main wah kitana hai?.yah sabh sawal dono dalo ko sath rahane ko majboor kar sakate hai.dono ko dar hai ki kahi alag hone se lok sabha chunav main ghata na ho jaye.so dono ke sur naram pade hain.

Wednesday 12 June 2013

PURAKHON KI THATI- - - SAMAJHIYE

' GUNI GUNO VETTI NA VETTI NIRGUNO, BALI BALAM VETTI NA VETTI DURBALAH, PIKO BASANTASYAH GUNAM NA WAYASAH, KARI CHA SINGHASYA BALAM NA MUSAKAH'- - - - -arathat gunwan byakti hi dusaron ke guno ki mahatta samajhata hai,gunheen byakti nahi,usi prakar jaise koyal hi ritu ki mahatta samajhati hai,kouwa nahi,balawan kisi dusare ke bal ko samajh sakata hai durbal nahi.hanthi hi singh ke bal ko samajh sakata hai,chuha nahi. to chuha banana ka nahi singh banana aour guni banana ka prayas kariye.

NITISH ASAMANJAS MAIN KYA KARE?

Agar B.J.P.-J.D.U. gathbandhan tutata hai to kya hoga- - - - - J.D.U. ke 118 vidhayak hain,B.J.P. ke 91 vidhayak hain.22 lalu ke hain.4 cong. ke hain. 6 nirdaliya hain.kul vidhan sabha 243 ki hai.nitish ko nirdaliyon ko milana padega.jisame sabhi bahubali hain.tan nitish ke saf sudhare chavi ka kya hoga?agar cong. ko milate hain to lalu aour nitish yek sath honge.tab  sharad ydav ka kya hoga.b.j.p. to har kimat par vipakshi dal rahegi hi.lok sabha main kya lalu-nitish-cong.ka gathbandhan hoga?agar bj.p. apani seat 122 karana chahegi to nitish ke party main jo virodhi hai wah kya karenge?nitish jise bhi milayenge use mantra banana padega.agar lalu sath dete hain to janata main lalu virodhi janmat ka kya hoga?abhi to Bihar sarkar bahut majboot hai.lekin gathbandhan tutane par awasaevadita badhegi.nitish sarakar bachane ke liye bargen ke shikar honge.tab Bihar ki chavi ka kya hoga?kul ankada 122 ka hai.sarkar bachane ke liye wah jaruri hai.maharajganj harane se nitish dabav main hain.lalu ka manobal badha hai.lalu nitish ke sath kyon jana chahege?cong.kuch karane ki sthiti main nahi.ho sakata hai ki cong. ke sare vidhayak satta ke lobh main nitish ki party main mil jaye.tab cong.ki sthiti kya hogi?lagata hai nitish asamanjas main pade huye hain.adawani se bat jo huyi hai usaka kya parnam hoga yah kahana mushkil hai.nitish navin patnayak nahi hain.yah to sahi hai.mamata kitana sath dengi yah kuch nahi kaha ja sakata.tutan hone par b.j.p. ko hi labh hoga yah to sahi hai loksabha main.n.d.a. ko todane ka kuchakra chal raha.lekin modi ke badhate deshbyapi samarthan se cong.ko koyi labh nahi hoga.ho sakata hai ki desh ki janata gathbandhan ki rajniti se ub kar koyi chamatkarik parinam de de.

DESH KA RAJNITIK BHAVISHYA

Modi ke chunav abhyan se  J.D.U ghabara gaya.usane N.D.A. se nata todane ka man bana liya.Bihar main B.J.P. mukhya vipakshi dal ho jayegi.j.d.u. kuch nirdaliya vidhayako ko mila ke sarakar chalayegi.2014 main b.j.p. sabhi seaton par chunav akele ladegi.tab 2014 main waha cong.,j.d.u..lalu,paswan,b.j.p. sab alag-alag chunav ladenge.waha modi ka khula prachar hoga.b.j.p. ko 10 ki jagah 20 seaten milengi.nitish ka hal maharajgan jaisa hi hoga.lalu ki seare kuch badh jayengi.cong.ko bahut labh nahi hoga.kyon kijo seaten lalu aour nitish payenge wah bhi to congress ki hi hogi.shushil modi Bihar mainnitish ke saman bade neta honge.tab nitish ke good-governance ka kya hoga?bihar ke sthayitwa ko khatara paida hoga.tab shard ji kaise jitenge?cong.pahale hi special state ka sagufa de chuki hai.nitish ki jidd se j.d.u. ka astitwa hi samapt ho jayegaanya rajyon main inaki koyi khas sthiti to ha nahi .rajasthan,gujarat,m.p.,delhi,chattisgarh,jharkhand,u.p.main lagabhag 200 seaten hain.waha nitish kya karenge?un rajyon main congress ki halat kharab hai.agar b.j.p.2009 ke 136 seaton ke  mukabale  174 seaton se adhik pa gayi tab kya karenge?koyi devgouda ya gujaral ki tarah p.m. hoga.fir chunav hoga aour desh arajakata ke dour main jayega.congress ke ghotalon se to janata ubi huyi hai.Agar Modi ka jadu thik se chala to kahi janata party wali sthiti ho gayi tab kya hoga?is par vichar kijiye.

Tuesday 11 June 2013

MODI KA CHUNAV ABHIYAN SHURU

Narendra Bhai Modi ne chunav prabhari banate,Adawani prakaran ke samapt hote hi chunav ke nare,aoue chunav ki prakriya shuru kar di.we twarit nirnaya lene wale neta hain.unhone nara diya'SARVSRESTH BHARAT AOUR YEK BHARAT'.yah nara na sampradayik hai na jatiya gathjod par adharit hai.Modi ki jati par bahs karane wale netawon aour jativadiyon par yah tagada humala hai.unhone chunav abhiyan bhi shuru kar diya.Desh ke 5 lakh ganvon se loha manga.we chahte hain ki pura desh Gujarat se jud jaye.5 lakh ganvon se ikatha huye lohe se SARADAR BALLABH BHAI PATEL ki 184 feet unchi pratima Gujarat main lagegi,jo America ke STATU OF UNITY se dugani badi hogi.matalb bharat ki mahanata aour sanskriti ko duniya main sarv sresth ghoshit karane ki yojana.Patel sache louh purush the to pure desh ne unhe louh purush banaya tha.tab pure desh se prapt lohe se hi unaki murti banana chahiye.Ab modi desh ke 5 lakh ganvon ka doura karenge.desh ke kisano,majdooron,gareeb -amir logon se samanata ke adhar par loha mangenge,taki desh ki yekjutata ka pradarshan ho.modi ki is ran niti ka koyo kat nahi.koun isaka virodh karega ki patel ki pratima nahi banana chahiye?Aj tak swarth netawon ne patel ko jatiwadi bana diya tha.unhe kurmi biradari ka neta ghoshit kar unhe bouna bana diya tha.patel kisi jati ke the kya?we desh ke yekikaran ke Pratik the.modi ke bahane pure desh ke b.j.p. karyakarta ganv-ganv ghumenge.logon se loha mangenge.yah usi tarah hai jaise Ram janm bhumi andolan main 5 lakh ganvon se inte ikathi ki gayi thi.Ram mandir to abhi tak nahi bana,lekin modi Patel ki pratima bana kar hi dam lenge.isame hindu-muslim ka koyi jhgada bhi nahi hai.har bharatiya thoda sa loha de hi dega.isase desh yek hoga.koyi vivad bhi nahi hoga.Dharmnirpekshata jaisa swal bhi nahi uthega.Nitish bhi kuch nahi bol payenge,kyon ki we krmi hain aour Patel ko apana adarsh mante hain.Congress bhi is par kya kahegi?Patel to congress ke hi neta the.kya cong. kahegi ki patel ki pratima nahi lagani chahiye?is prayas main sari jativad dal bhi chup ho jayenge.modi ka virodh koyi nahi kar payega.yek naya samikaran banega.

Monday 10 June 2013

COAL SCAM MAIN NAYA MOD

Coal scam main naya mod aa gaya.cong.M.P. Navin Jindal ke upar f.i.r. lodge huyi hai.matalab coal scam main cong. ka hanth taya ho gaya.udhar b.j.p. main ghamasan idhar coal scam main tufan.lekin dekhiyega.ise midia nahi uchalegi.kyon ki isase t.r.p. nahi badhegi.wah abh adawani prakaran main hi ulajhi rahegi.jindal Rahul ganghi ke yua team ke sadasya hai.yua rajniti ka bhrastachar khul raha ab.kya f.i.r. lodge karane ke bad c.b.i. unhe giraftar bhi karegi.jab chattisgadh ke naxali hatyakand main congress ke hi logo ka nam aya,to midia khamosh ho gayi.kya ab coal scam main Jindal ka nam ane ke bad midia fir khamosh ho jayegi?jindal to bahut bade udyogpati hai.kya ab sriprakash jaisawal ke khilaf bhi karywahi ki taiyari chal rahi?coal ke gande khel main kisaka kisaka hanth hai yah to ujagar hona hi chahiye.isame kya rajniti huyi isaka pata chalana hi chahiye.maheena nahi bit raha ghotale ki parat khulane lag rahi.

ADAWANI JI KO ISTIFA WAPAS LENA CHAHIYE

B.J.P.ke desh main lakho karyakarta hain.kal unaka kitana utsah tha.Adawani ji ne aj unaka manobal tod diya.we sabhi dukhi hain.unhe yah viswas hi nahi ho raha ki adawani ji jaisa kaddawar neta itane sankirn mansikata se kam kar baithega.keval p.m. ki kursi ke liye unhone b.j.p. ka mano bal tod diya?jab apaki is karani se b.j.p. satta main ayegi hi nahi to p.m. kaise banenge adawani ji ap?lakho karyakratawon ke khoon pasine se sinchi gayi is party ke sath adawani ji ap kyon anyay kar rahe?ap to p.m.ke roop main ghosit ho kar 2009 ka chunav lade the.janata ne apako p.m. nahi mana.manmohan ko apaki tulana main tarjih di thi.ab apamain koun sa jadu aa gaya ki janata apako fir p.m. man legi?mana ki apne hi b.j.p. ko khada kiya,lekin kya koyi apane banaye ghar ko girata hai kya?akhir ap chahte kya hain?yah to spast bata nahi rahe.adarsh ke mudde utha rahe.desh ki koun si party vichardhara par chal rahi?kam se kam b.j.p. ke pas yek vichardhara to hai.kal tak apako b.j.p. main sab thik lag raha tha aj yekayek isame sabhi burayi dikhane lagi.kya yah swarthvad nahi hai?apako apana istifa tatkal wapas lena chahiye kyon ki karyakartawon ne hi apako bhi banaya hai.ab karyakrta modi ko chahte hain to apako kast kyon ho raha?b.j.p. karykaratawon ki party hai kisi gharane ki party nahi hai.jo karyakarta chahenge wahi hona chahiye.kya ap karykartawon ke ummidon par booldoger chalane ka kam nahi kar rahe?ab apaki koun si vichardhara bachi?jab apane apani sankirnata ko jahir kar diya?apake karan b.j.p. ki imege kharab ho rahi?kya isaki jimmedari ap lenge?agar kisi karykarta ne bhawavesh main kuch kar diya to ap jimmedari se kaise bachenge?apake prati krayakartawon main asantosh badh raha.kya apko samjh nahi aa raha?apake madyam se virodhi b.j.p. ko tidane ka kuchakra chal raha.kya ap ise nahi samajh pa rahe?b.j.p. virodhi sabhi apako ukase kar b.j.p. ko satta main ane se rokane ka prayas kar rahe.is khel ko samajhiye.apki vinamrata wali chavi ab kaha gayi?koyi bhi louh purush is tarah ka kayarana harkat kaise kar sakata hai?apane b.j.p. ke liye atmghati kadam uthaya hai.sabhi ka nivedan hai ki ap ab apana istifa tatkal wapas le aour b.j.p. ke lakho kartakartawon ke swabhiman ka samman kare.

B.J.P. KO ADAWANI KA TYAG CHAHIYE

B.J.P. ka yah roop pahale kabhi nahi dekha gaya tha.Adawani jaise neta jo 86 sal ke ho chuke hain unaka yah frustration samajh nahi aa raha.Adawani ka jaldibaji main uthaya gaya yah kadamunake byaktitwa ke khilaf hai.we to hamesha samarpit adami rahe hain.satta ki itani bhukh uname kaha se paida ho gayi?lagata hain adawani ke kandhe pe banduk rakh kar koyi chala raha,taki b.j.p.ko chunavi labh nahi mil sake.adawani usame yek mohara ban gaye.waise adawani ke istife se b.j.p. par kya prabhav padega?2009 main adawani ko p.m. project karake b.j.p. ne chunav lada tha kya hua?bajpeyee bina adawani ji kokitani unchayi mil payegi?jab desh ne yek bar adawani ji ko p.m. nahi mana to dubara unhe kyon manegi?modi jitana is samay lokpriya hain utana kya adawani ji hain?yug badal raha hai.ab adawani kaug nahi hai. nayi pidhi modi ko chahati hai.are adawani ji ko abhi jhallane ki koyi jarurat nahi thi.modi ke hanth keval chunav ki Kaman hai,desh ki nahi.jab n.d.a.puran bahumat main aa jati to ho sakata hai unhe hi p.m. banaya jata.ab agar adwani ji chunav ladenge to Gujarat ki janata to unhe hara degi.tab we kaha se chunavladenge?u.p. se ki Bihar se?anushasan ka path padhate-padhate adawani khud hi anishsan tod rahe.kya b.j.p. main ab anushasan nahi raha?b.j.p. ke sare karykarta modi ko chate hain adawani ko nahi.bj.p. ke karyakarta adawani se yah bhi apple karate hain ke we turant bina shart apana itifa wapas len.b.j.p. ki kirkiri hone bachaye.adawani o chahiye ki we baristata ke roop main party ko yek jut rakhe.use age badhane de.

Sunday 9 June 2013

B.J.P. KA NAYA AWATAR

Modi ko B.J.P.ne 2014 ke lok sabha chunav ki bagdor kya dedi midia main toofan khada ho gaya.b.j.p. kya apane yek karayakarta ko chunav abhiyan ki bagdor nahi de sakati?Modi b.j.p. ke kayayakarta hain,we Gujarat ke c.m. hain,unhone sangathan main varson kam kiya hai.desh ki janata modi chahati hai,party ke karakarta modi ko chunav ka Kaman dene ki mang kar rahe the,b.j.p. pariwar ke sabhi sanghthan isaka samarathan kar rahe the,isame aparadh kya hai?modi atal-adawani-joshi ka samman karate hain,wastawa main we unhi ke dwara poshit karayakarata hain.tab kyon kaha ja raha ki b.j.p. main atal adawani ka yug khatam ho gaya?abhi to chunav jitane ki taiyari chal rahi,p.m. to chunav bad hi na taya hoga.modi ke nam par cong,ki hawa kyon karab ho rahi?kyo nahi we bhi Rahul Gandhi ko age kar chunav ki ghoshana kar rahe?na modi Rahul Gandhi hain,na Rahul Gandhi modi ho sakate hai.modi varson ki sadhana aour tapasya ke pratifal hain.Rahul ji yek hi parwar ke virasat ke pratifal hain.modi ne bibrent Gujarat karke kikhaya,kya Rahul ne bhi koyi bibrent kar ke dikhaya hai?ab modi shayad bibrent bharat karane ka sapana dekhate hain.yah sahi nahi to galat hai kya?bharat bibrent bane,duniya usaka loha mane agar modi isaka sapana dekhate hain to kya harj hai?modi ko nayi jimmedar dene se b.j.p. karyakaratawon main utsah aya hai to galat kya hai?loktantra main modi ko janata pasad karati hai,we lokpriya hai to b.j.p. ne lokpriya karaykarata par viswas kiya.Goa ki meeting mainb.j.p. ne nayi pidhi ko chunav ki bagdor deke yua bharat ka kya samman nahi kiya?kya b.j.p. ko atal- adawani ke sath hi khatm hone ki bat log soch rahe the?log ayenge jayenge,pidhi ayegi jayegi desh aour b.j.p. to chalati hi rahegi.yah sahi hai ki b.j.p. ka naya awatar ho raha.b.j.p. ko satta pane ka haq hai.wah si liye rajniti kar rahi.kya satta pana keval cong. ke bap ki bapouti hai?jase cong.apani rajniti kar rahi waise hi b.j.p. bhi.to kyon diggi ke pet main dard ho raha.pura desh ab modi ke abha mandal se prabhawit ho raha,to congress use namolytis kah rahe.wastawa main cong. hi bimar pad gayi modi ke ade ane se.use hi namolytis ho raha,use ab modi ka antidoge khojana hoga.Rahul to yah nahi ho sakate.soniya ji ab puarani pad gayi manmohan kabhi desh ki nabj the hi nahi.modi ke kudane 2014 ka chunav dilchasp hoga yah taya hai.Modi ne naya nara de bhi diya'Desh ko congress se mukta karana hi rashtravad hai'.kya yah nara sahi hoga yahi dekhana hai.

Monday 3 June 2013

LOK TANTRA KA DAL

Lal Krishna Adawani ne Shingh ki prsansa ky kar di midia ne ise tufan bana diya.adawani  b.jp. ke bade neta hain.b.j.p. ke niraman karatawon main se yek hain.unaki bat ko batangad banana ka adhikar kisane diya midia ko?adawani apani party ke c.m. ki prasansa kar rahe to isame aparadh kya hai?isase na modi chote ho jate hain,na Raman singh.na goa ke c.m. Parikkar. sabhi c.m. apane state ke neta hain.sabhi b.j.p. ke neta aour karyakarta hain. sabhi c.m. apane rajya main acha kam kar rahe.janata unase khush hai.sabhi sushasan ke rol model hain.yah sahi hai ki modi is samaya desh ke lokpriya neta hain.lekin isaka arth yah nahi ki anya b.j.p. ke c.m. a-lokpriya hain.wastawa main midia b.j.p. ke c.m.'s main mahatwakancha ki takarahat karana chahati hai.taki cong. ko labh mil sake.janata yah ranniti janati hai.b.j.p. ka koun p.m. banega yah abh kahana jaldbaji hogi.Adawani ke samane b.j.p. ke sabhi c.m.'s bache hain.unake samane hi unaka uthan hua.sabhi ko c.m. banana main unaki bhumika hai.isame bada chota hone ka sawal nahi hai.sabhi saman hai.Adawani ne apane sabhi c.m. ki prasansa ki hai.log isaka arth yah laga rahe ki shivraj singh ki prasansa kar adwani modi ke kad ko chota kar rahe.unaka modi se igo ka takaraw chal raha.adawani se in c.m.'s ka kya igo? log yah bhi kayas laga rahe ki modi aour shivraj main takaraw kar adawani khud p.m. bnana chahte hai.agar b.j.p. sansdiya dal adwani ko neta chunegi ya shushama ko chunegi to koyi kaise rok lega?b.j.p. main upar se neta nahi thopa jata.sab kuch loktantriya dhang se hota hai.jise karyakarata chahega wahi p.m. banega.b,j,p, kisi yek parwar ki party nahi hai.kyakaratwon ki party hai.isame koyi pariwar vad upari satah pe nahi hai.yah vichardhara ki party hai,keval sattavadi party nahi hai.b.j.p. ki rajaniti parwar ko samridhi karane ke liye nahi hoti,desh ko aour desh ki sabhi janata ko samridhi dilane ke liye hoti hai.pahale b.j.p. ko samajhiye tab usaki rajniti main padiye,to acha.

B.J.P. MAIN GRIH YUDH HAI KYA?

Adawani ne M.P. ke C.M. ki prashans kya kar di midia ne halla gulla shuru kar diya.are adawani b.j.p. ke bade neta hain.unake liye kya modi?kya raman singh?kya shivaraj?kya parikkar?sab unake samane bache hi to hain.adawani b.j.p. ke nayak hain.atal ji ke sath ke hain.unki bat par kyon halla macha rahe?unhe to is bat ki khushi hai ki b.j.p. ke 4-4 c.m. bahut acha kam kar rahe.janata unase khush hai.we apane rajya ka vikas teji se kar rahe.rol model ban rahe.isase koyi chota ya bada thode hi ho jata hai.congress chillane lagi ki b.j.p. main grih yudh hai.jab ki congress wale hi congress walon ki hatya kara rahe,ise koun sa yudh mana jaye?b.j.p main satta ka sangharsh hai yah to dikhayi hi padata.satta kaha hai ki sanghrash hoga?9 sal se jisake pas satta hogi usi main na sangharsh hoga?congress main sab yek dusare ko mar rahe marawa rahe,yah to aise hi hai jase gita main Krishna ne kaha ki main hi mar raha,main hi marawa raha,main hi sab kar raha.byarth sab chilla rahe.kya congress krishan hai?andhra main kya ho raha?sabhi congress chod rahe.sankat main to congress hi hai.b.j.p. kyon sankat main rahegi?state main usake koyi sankat nahi.karanatak ka sankat paida kar ydurappa bhog rahe.b.j.p. ko satta nahi mili yahi na,lekin 2014 main waha kya congrees jit jayegi?yadurappa ab b.j.p. main aane ko tadapada rahe.kalyan singh ka hasra dekh hi gaya.kaha b.j.p. main grih yudh?is sabhi rajanitik uthapatak main Rahul baba kaha gum hain?unhe koyi puch hi nahi raha,na nam le raha.manmohan aour soniya ka sangharsh sabake samane aa gaya.congress safai deti fir rahi.khadya suraksha bill sansad main pass kaise hoga is par mathapach ho rahi.pas hone main dar hai isliye adhyades lane ki bat ho rahi.matalab desh main sab gdamgadd hi hai.kuch bhi anushasit nahi.kya loktantra main rajnitik anushasan ka koyi mahatwa nahi hai?

Sunday 2 June 2013

JANATA KE MUDDE UTHAYE JAY TO ACHA

Aj kal cricket par bahut bahas ho rahi.jitana bahas sriniwasan par midia kar raha utani bahas bhukh mari par karata to log bhukhe na marate.cricket to aj kal stardom ka pratk bana hua hai.jahan stardom hoga waha brastachar bhi hoga hi.soniya,rahul,modi, sabhi fail hain is samaya srniwasan ke age.bahas keval yahi ho rahi ki we istifa denge ki nahi.pawan bansal  ke bhanje ne rail main chori ki,unake istife main to itani bahas nahi huyi?rajiv shukla ne istifa diya unake liye to bahs nahi huyi.to ye srinawasan kis khet ki muli hain ki unake liye iteni bahs midia kar rahi.shayad isliye ki unake pas apar paisa hai.midia to unhi ko age badhati hai jinake pas paisa hota hai.kisi gareeb kisan,majdoor ko age nahi badhata jinake pas futi koudi bhi nahi.aj kal naya samantwad chal raha.samajwadi samantwad ise kah sakate hain.jinake pas paisa hai we nalayak hote huye bhi age badh rahe.budhi ki puja nahi keval paise ki hi puja hai.desh ka koyi midiya ghrana  kya jhopadi aour rajmahal ko barabar manae ko taiyar hai? kisi desh ke fakir aour punjipati ko saman adar dene ko taiyar hai?kishi bhikhmange aour punjipati ko yek sath samman dene ko taiyar hai?kisi film bade star aour yek chote tv ke kalakar ko sath bithane ko taiyar hai?isaka uttar nahi hai.to midia kyon barabari ki bat karti hai?usaka dhakosala aam adami samajhata hai.sriniwasan isliye jaruri hain ki midia ko khel ka labh chahiye.kya matalab hai  bhukh se marate huye bharat ke aam adami ka sriniwasan se?we istifa den ya chulhe bhad main jaye,usase bhukh,ya am adami ki samasya hal hone wali to nahi?aam adami cricket nahi jivan ki awasyakata puri karane ka awasr chahiye.dal roti chahiye.pine ko pani chahiye.rog ke liye ilaj chahiye.usake bachon ko siksha aour rojgar chahiye.chamachamati gadi se istifa dene aour na dene ke khel se na desh ka koyi matalab hona chahiye na desh ke aam logon ka.midia ko chahiye ki wah aam logon ki jaruri samasyawon par khoob bahs kare.ho sakata hai isase T.R.P. na badhe,lekin isase desh ki aam janata ko sukun jarur milega.

Saturday 1 June 2013

DESH MAIN ARAJAKATA KA YUG

Desh main arthik vikas ki rafter itani dhimi ho gayi ki companies bank ka karj utarane se katara rahe.3lakh karod ka karj hai.mandi se yah karj bankon ko samaya se mil nahi pa raha.kya ammerica ki tarah bharat ke bank bhi band hone lagenge?jab bank ka paisa hi wapas nahi ayega to nayi companyiyon ke liye karj kaise milega?tab arthik vikas kaise hoga?lagata hai bharat main arthik arajakata ka samay aa gaya hai.petrol mahanga.desel mahanga,bijali manhagi,pani mahanga,khana pina manhaga log kaise jiyenge?kya yahi arthik vikas ka arthsastra hai?bhukh se log mar rahe.yek taraf apar samridhi dusari taraf apar gareebi yah koun sa samajik nyaya ka vikas hai?charo tarf loot hi loot.khel main loot,rail main loot,tel main loot,ab atank vadiyon ko chodne ke nirnaya se jail main loot.kya yahi good-gavernance hai?ab sarakar apani chavi sudharane ke liye mantrimandal main fer badal karane ja rahi.kaha se adami layegi?wahi adami hain jo har taraf loot main hissedar hain.inhi logon ke bal par chavi sudharenge.manmohan itane bade arthsastri hai lekin hatas aour udas hain.desh fail ho raha.sarakar fail ho rahi.unaka arthsastra fail ho raha.82 sal ke huye desh ki barbadi ka kalank leke marenge kya?kyon satta ke monh main pade hain?apani ijjat bachane ke liye satta unhe chod deni chahiye,jab unase desh chal hi nahi raha.kya sarakar chalane ke liye unhe kisi ne bandhak bana liya hai?desh ke itihas ki yah sabase failed sarakar lag rahi.sabase nikammi sarakar lag rahi.sabase bhrast sarkar lag rahi.kya p.m. ji yah sochate hain ki janata unke bare main kya soch rahi?budhape main satta ke prati itana diwanapan,bap re soch kar hi man kanp ja raha.abhi we tisari bar p.m.banae ke liye bhi taiyar dikh rahe.desh ke arajakata ke maoul main bhi unhe ummid hai ki tesari bar bhi u.p.a. ki sarakar banegi?ho bhi sakata hai.kya pata?lekin tesari bar unake p.m. banae ka kya arth hoga samajhana kathin hai.kya bharat ko arab sagar main dubo kar hi manenge?

Friday 31 May 2013

KENDRA MAIN SATTA KE DO KENDRON MAIN TAKARAW

Aj kal U.P.A. ki president soniya ji ki adhyakshata wali rastriya salahkar parishad vivad main hai.yah parisha soniya ji ki manpasand hai.unake pasandida log isame sadasya hain.lekin soniya ki pasandida samajik karyakarti ARUNA ROY ke istife se yah bat jor pakad rahi soniya aour manmohan ke bech darar badh rahi.Desh main is samay two power center hai.desh kisarakar chalane wale log isi main bante hain.manmohan ke log manmohan ke sath hain,soniya ke log soniya ke sath.matalab yah banti huyi sarakar hai.aruna roy ne sidhe manmohan par hamala kiya.kaha ki manmohan aj kal soniya ki yekdam nahi sunate.aruna roy ne kaha ki manrega main nuntam majaduri par soniya ki salah ko manmohan ne ansuni kar diya.wastawa main manmohan ab apni girati sakh ko bachane main lag gaye hain.we arthsashtri hain .desh ki badhati samasyawon ke liye we hi jimmedar mane ja rahe.soniya ji apani asafalata ka thikara manmohan ke sir par fodana chahti thi.manmohan ise samjh gaye.unhe pata hai ki 2014 tak unhe hataya nahi ja sakata.usake bad unhe koyi ummid nahi hai.we apane arthik agende ko thik dhang se lagu karana chah rahe.ab unhe soniya ki parwah bhi nahi.unhe pata hai ki RAHUL abhi p.m. ke yogya nahi hain.chdambaram hanth panv mar rahe hain.soniya ab p.m. banengi ki nahi is par sanshya hai.so Kendra main netritwa sanghrash chal raha.khadya surksha biil se cong.ummid pale huye hai.lekin kath ki handi kya bar bar chadhati hai?cash subsidi se mamala banata na dekh kar cong. chahti hai ki janata ke voton  ko kis tarah khareed liya jaye.usake liye anek yojanawon par kam ho raha.vipakshi dalon ko bhi manya ja raha.sansad ka vishesh adhivesan bulane par bat ho rahi.lekin in sab se kya fyada?ab bahut der ho chuki hai.janata ne jo man bana liya use 1 sal main badal dena kathin hai.cong. game changer plan chahti hai.lekin game kaise change hoga?game cong.ke hanth se dur jata dekh bechaini badh rahi.bhrastchar ka unake pas koyi jabab nahi hai.kamjor sarakar ka mulamma lag chukka hai.berojgari mahgayi pe janata naraj hai. modi ka kad badhata hi ja raha.b.j.p. apas main lad to rahi,lekin usaka koyi fayada cong. ko milega khana kathin hai.satta ke do kendron se desh ka ahit hi ho raha.
 

Thursday 30 May 2013

NAXALVADI BYAWASTHA PARIWARTAN HINSA SE CHAHTE HAIN,VIKAS NAHI CHAHTE

Conggress ke kanti lal bhuriya ne kaha ki jaha jaha B.J.P.ka shashan hai waha naxalvad badh raha hai.kyon ki waha vikas nahi ho raha.kitana behuda tark dete hain anpadh neta.kya odisa main b.j.p. ki sarakar hai?jharkhand main b.j.p. ki sarakar hai?bihar main b.j.p. ki sarakar hai?maharashtra main b.j.p. ki sarakar hai?u.p. main b.j.p. ki sarakar hai?kya in rajyon main naxalvad nahi hai?naxalvad kya party dekh apani barbarata kar rahi?inaka vikas se kya matalab hai?naxalvadi c.p.i. maovadi hain.we bartaman rajy byawastha ko hinsatmak tarike se badalana chahte hai.we bartman main chal rahi byawastha ko punjivadi manate hain.we globalization ke khilaf hain.we desh ki byawastha ko judiciary,excutive,sansad ko punjiwadiyon ka jamghat manate hain.we chahte hain ki puri byawastha unake hanth aa jaye.kyonki we hi sarwahara varg ki numaindagi karate hain.naxalvadi apane ko sarwaharavarg ka manate hain.we puri byawastha ka sarwaharakaran chahte hain.punjivad ka khatma chahate hain.we marx ke sampurn sidhant ko lagu karana chahte hain.desh main maovadi kranti lana chahte hain.in sabmain vikas aour party kaha hai?we loktantra ke khilf hain.unake janvad ka arth hai hinsa.jo janwad ka virodh kare usaka khatama,b.j.p. aour congress dono hi unake liye punjivadi hain.ab batayiye kaha hai vikas?chahe ap gareebi hatao kar lijiye,chahe ap adiwasiyon ko sari suvidha de dijiye we karenge hinsa hi.aduwasiyon ka vikas hona hi chahiye.unhe roji rojgar,shiksha milani chahiye.unhe bhukh se nijat milani chahiye.lekin naxalvadi to unaki ad main state ke khilaf vidroh kar rahe.lokatantra ka khatama karane pe tule huye hain.naxalvad teji se isliye badh raha ki sarakar unaka daman karane ki jagah unhe pal kar chunav main unaka upayog kar rahi.ye naxalvadi ya marxvadi nahi atankvadi aour desh drohi hain.inhe puchakarana khatarnak hai.inhe kuchalana hi rasta hai.agr abhi bhi nahi chete to halat aour badatar hogi.vinayak sen jaise,arundhati roy jaise naxalvadi samarthakon ko agar satta ka such milega,unhe byawastha main shamil kiya jayega to yahi hoga.aj kaha hainmanawadhikarvadi?bolati band kyon hai?

Wednesday 29 May 2013

SAMVEDANSHUNYATA KA MAHOUL

Sarakar ki samvedanheenata dekhiye,sukama main congressiyon ka naxaliyon ne narsanhar kiya.soniya ji aour Rahul ji waha pahuche.kuch ansu bahayi,lekin ye sabhi samvaidhanik pad par to hain nahi.bharat ke grihmantri ammerica chuttiyan manane gaye hain.unhe furasat hi nahi ki we is barbar ghatana par dhyan den.P.M.. ghatana ke turant bad japan chale gaye,farji dukh byakt karke.digvijaya singh ki bolati band hai.kayi congress sattebaji main nam na aa jaye isake liye guna ganit kar rahe.Jabki Britain main jab sainikon ki hatya huyi to waha ke p.m. sab kam chodkar desh lout aye.janata ke sath khade dikhe.desh ka manobal badhaya.bharat main jisako marana ho mare,jise marana ho mare hume keval khana purati karani hai ki rajniti chal rahi.sarakari samvedana ka hal yah hai.congess ka chattisgadh ka pura sanghatan hi chala gaya.congress balidani hone ka halla bhar kar rahe.jinake ghar maout huyi unaka hal chal.rakh rakhaw ki chunta karane ki furasat hi nahi.naxaliyon ne karama ke pariwar walon ko chetawani de di hai ki we 24 ghante main apana ganv chod den,is par bhi cong.sarakar ki koyi chinta nahi.kya yah desh samvedan shunya ho chukka hai?

NAXALVADIYON KE KHILAF AB TAK KYA KADAM UTHAYA GAYA?

Naxalvadiyon ko sarakar se koyi bhya nahi hai.unhone khuleaam hatya ki jimmedari le li hai.apani barbarata ko jayaj thaharaya hai.besharmon ki tarah pumplet chipakaye hain.b.j.p. aour cong dono ke netawon ki hatya ki fir dhamaki di hai.c.m. ko bhi sabak sikhane ki ghoshana ki hai.kya sarakar itani kamjor hai ki naxalvadiyon ko koyi dar nahi hai?kya sarakar ke bhitar se naxalvad ko samarathan mil raha?unhe sarakar ki taiyariyon ki suchana kaise mil rahi?5 din ho gaye htyakand ke sarakar ko to jaise lakawa mar chuka hai wah abhi bhi kuch karane ko taiyar nahi dikhati.sarakar ne ab tak jababi karywahi kya ki?salawa judum ke samarthakon ko to mita diya ab kise mitayenge?kise marenge?yah bhaya janata main fail raha.nxalvadiyon ke housale is kand ke bad buland huye hai.sarakar aour suraksha bal ke manobal gire huye hain.is sthiti main kaise hoga naxalvad ke khilaf ladayi?sarakar ke pas abhi tak koyi yojana nahi hai.rajanitik bayanbaji se kuch nahi hone wala.yek dusare ke khilaf jahar ugalane se kya naxalvad khatam hoga?in desh drohiyon se rajanitik taor par nahi nipata ja sakata.inake sath'kante se kanta' nikalane ki niti par chalana padega.mujhe dar hai ki kahi kisi anya rajya main bhi isase bada narsanhar na ho jaye?naxlvadiyon ko abhi tak dabaw main nahi laya ja saka hai.unake pas state se ladane ke liye bhari hathyar bhi hain.unaka suchana tantra sarakar se majboot hai.we jo chahe kar rahe.sarakare vote bank ke lalach main jababi kadam nahi utha pa rahi.desh chahiye ki vote bank yah tay karana padega.na s.p. bol rahi na b.s.p. na koyi anya dal.b.j.p. aour cong. bhi isake khilaf dabangayi se nahi bol rahe.lagata hai sab dare huye hain.bampanthyon kikoyi awaj abhi tak nahi ayi.kya we hatyakand ke samarthan main hain?vivekanand ke desh main marx aour lenin ka raj kaise chalega?kya china inaki madad kar raha?ab tak naxaliyon par jababi kayawahi ho jni chahiye tha.jitani der hogi utani hi sarakar ki kamjori samane ayegi.pahale inhe tatkal atankavadi ghoshit karana chahiye.desh ke khilaf vidroh karane saja ine milani chahie.bina kathor dand ke desh nahi chal sakata. nahi chal sakata.

Tuesday 28 May 2013

NAXALVAD DESH KE KHILAF VIDROH HAI.ISE KUCHALANA JARURI.

Chattisgadh main naxaliyon ne jo tandav machaya wah dil dahalane wala hai.chattisgadh ki puri cong.saf ho gayi.salawajudum ke karndhar bhi mare gaye.jis tarah yah hatyakand hua usase lagata hai ki naxali ki hatasha ke shikar hain.police aour suraksha balon par hamale se unaki mansa puri nahi ho pa rahi.ab we rajnitik dalon ke netawon par hamale ranniti par kam kar rahe.unake liye b.j.p. aour cong. main koyi antar nahi.keval we bampanthi netawon ko nahi chuenge.unhe is hatyakand ke bad bahut adhik midia main hype mil rahi.yah ghatana babbar khalasa aour bhindarawale ke ranniti ki taraha hai,we bhi Punjab main ugravadi andolan main rajnitiknetawon ko mar rahe the.kahi aisa to nahi ki desh ke sbhi atankvadi sangathanon ne hanth mila liye hain?chunav ke thik pahale is tarah ki ghinouni ghatana ka matalab kya hai?kya yah koyi sajish to nahi?atyadhunik hathiyar naxaliyon ko kaha se mil rahe?sarakar sena ki niyukti karane se kyon bach rahi?kendra sarakar rajya sarakaron se naxal mudde par samanwaya kyo nahi bitha rahi?kendra suraksha balon ko rajyon ki mang par kyon nahi bhej rahi?naxalvad ko atankvad ke saman kyon nahi mana ja raha?naxalvad ko samarathan de rahe boudhik varg ki pahachan kar unhe deshdrohi kyon nahi bataya ja raha?naxalvad par dhulmul rawaiye se kam nahi chalega.desh ko naxalvadi hinsa se bachane ke liye sabhi dalon ko apani rajnitik mahatwakancha chod kar thos kadam uthana padega.loktantra main kisi tarah ki hinsa jayaj nahi hai.naxalwadiyon se kisi tarah ka samjhouta thik nahi.unhe kuchala hi sahi upaya hai.usake liye sena ka upayog galat kaise ho sakata hai?naxalvadi hinsa ka byapar karate hain.unhe dhan chahiye.yah unhe kaha se mil raha.is par dhyan dene ki jarurat hai.isame videshi hanth bhi sambhav hai.yah desh ke khilaf vidroh hai.yak antarik sangharsh hai.naxalvad ko boudhik samarathan dene wale bhi deshdrohi hain.naxalvadiyon ke munh main khoon lag chukka hai,unake liye koyi sarakari yojana kargar nahi hogi.kripaya desh bachayiye.

Monday 20 May 2013

JANATA KI MANSHA KYA HAI?

Paschim ko hum apane desh ke lihaj se sahi nahi manate.paschim ke rajnitik aour anya sanskar hamase mail bhi nahi khate.lekin paschimi loktantra main naitikata ka agrah humare desh ki tulana main acha hai.waha ki sarakaren naitik agrah ko swikar karati hain.brastachar main lipt hone par bhi hum apane rajnetawon ko janch hone tak bhrastachari nahi mante.janch main hum lipa poti kara dete hain.fir janata un bhrstachariyon ko chun bhi leti hai.burayi ghatane ki jagah badhane lagata hai.bharat main anaitikata ko hi naitikata man liya jata hai.bharat vttiya anaitikata main Africa se bhi kharab halat main hai.kya bharatya byawastha charmara chuki hai?karj ke sankat se paschim jujh raha hai.unhone kale dhan ke khilaf abhiyan hi chala rakha hai.bharat main kale dhan ko samane lane ke liye andolan chal raha.sarakar is par kan hi nahi nahi de rahi.jitana kala dhan humara videsh main hai wah aa jaye to desh ki disha hi badal jaye.chunki isame rajnitik shamil hain isaliye yah ho hi nahi pa raha.hamare yaha desh se bada byaktigat dhan ho gaya hai.yah khtaranak sanket hai.kya u.p.a. sarakar apani asafaltawon main bhrastachar ko ginegi?manmohan sarakar is par bat karane ko taiyar nahi.kya janata ise bhulane ko taiyar hai?