Wednesday 19 June 2013

UTTARAKHAND KI TABAHI

Uttarakhand main varsha aour prakriti ke prakop se bhari tabahi huyi hai.saikado log mare gaye hain.hajaro ghar bah gaye hain.janjivan astbyast hai.Uttarakhand is samay puri taah sankat main hai, yah dev bhumi dev ke prakop ke age lachar hai.KEDAR ji ko prakriti ne bas bacha diya hai.sabhi rajya apani taraf se madad ke liye khade huye hain.kendra sarakar ne bhi madad ki ghoshana ki hai.lekin kya apko nahi lagata prakriti ke sath ched chad ka yah natija hai.Agar kahi tihari bnadh ko sankat hua to kya hoga?nadiyon ke sath khilawad thik nahi hai.HUM UTTARAKHAND KE SANKATGRAST PARIWARON KE SATH PURI SANJIDAGI SE KHADE HAIN.JO HO SAKEGA MADAD BHI KARENGE/desh ki janata se apele hai ki we abhi sab chod kar uttarakhand ki janta ki madad Karen.itana bhayawah manjar is pidhi ne nahi dekha hai.uttarakhand ko fir s khada karane main hanth batayen.sarakar ko yah yek chetawani bhi prakriti ne diya hai.hum mritak ki atama ki shanti ki prarthana bhi karate hain.

No comments:

Post a Comment