Tuesday 18 June 2013

SECULAR YA PAKHAND

Secular shabd ab koyi sidhant nahi rah gaya.yah rajnitik swarthvad ka parinam ban gaya.Bharat Dharmik desh hain yaha adhikansh log Apane Dharm ke prati kattar hain. kya hindu,kya muslim,,kya Sikh,,kya isayi,kya jain,,kya boudh, sabhi apne dharm ko manate hain.isi main jab dharm pariwartan hota hai to vivad paida hota hai.inhi dharmom ke log sarakar aour rajnitik sansthaye chelate hain.kya rajnitik hone aour sarakar main hone matra se sab dharm se nirpeksh ho jate hain?Rajya sabhi Dharm ka samman kare kisi dharm ko age na badhaye,dharm nahi kanoon ke adhar bar byawastha chale yahi secular ka arth hai.Lekin jab B.J.P. se J.D.U. alag hua to P.M. ne Nitish ko secular hone ka certificate de diya.isaka matalab aj tak nitish secular nahi the,jab b.j.p. se alag huye tab secular huye.yah secularvad ka pakhandikaran hai.jo congress ke syh rahe wah secular jo na rahe wah communal.yah nayi paribhasha ayi hai.kya secular ab satta ki parbhasha se chalegi?tab to P.M. kud hi nahi secular hain kyon ki we Sikh dharm ka palan karate hain.soniya ji kaha secular hain kyon ki we isayi dharm ka palan karati hain.sabhi apane dharm ko age badhate hain.kya yek dhram ko neecha dikha kar dusare dharm ki bat karana secularity hai?vote ke liye to sahi ho sakata hai.jitani bhi tathakathit secular dal hain sabhi muslim dharm ko age badhate hain,hinduwon ki sampradayik kahate hain.jo hindu dharm ki bat karata hai wah communal ho jata hai.jo muslim ya isayi dharm ki bat karata hai wah secular ho jata hai.kya yahi secularvad hai?bharat ko secular ke nam par alagawavadi banaya ja raha.janta bhi is roop main bibhramka shikar ho jati hai.jati aour communalism hi rajnitik dalon ka vote prapt karane ka rasta hai.isase bhara ki rajniti gandi ho rahi.alagawa badh raha.samanwaya nahi ban pa raha.satark rahane ki jarurat.desh bachane ki jarurat.

No comments:

Post a Comment