Sunday 9 June 2013

B.J.P. KA NAYA AWATAR

Modi ko B.J.P.ne 2014 ke lok sabha chunav ki bagdor kya dedi midia main toofan khada ho gaya.b.j.p. kya apane yek karayakarta ko chunav abhiyan ki bagdor nahi de sakati?Modi b.j.p. ke kayayakarta hain,we Gujarat ke c.m. hain,unhone sangathan main varson kam kiya hai.desh ki janata modi chahati hai,party ke karakarta modi ko chunav ka Kaman dene ki mang kar rahe the,b.j.p. pariwar ke sabhi sanghthan isaka samarathan kar rahe the,isame aparadh kya hai?modi atal-adawani-joshi ka samman karate hain,wastawa main we unhi ke dwara poshit karayakarata hain.tab kyon kaha ja raha ki b.j.p. main atal adawani ka yug khatam ho gaya?abhi to chunav jitane ki taiyari chal rahi,p.m. to chunav bad hi na taya hoga.modi ke nam par cong,ki hawa kyon karab ho rahi?kyo nahi we bhi Rahul Gandhi ko age kar chunav ki ghoshana kar rahe?na modi Rahul Gandhi hain,na Rahul Gandhi modi ho sakate hai.modi varson ki sadhana aour tapasya ke pratifal hain.Rahul ji yek hi parwar ke virasat ke pratifal hain.modi ne bibrent Gujarat karke kikhaya,kya Rahul ne bhi koyi bibrent kar ke dikhaya hai?ab modi shayad bibrent bharat karane ka sapana dekhate hain.yah sahi nahi to galat hai kya?bharat bibrent bane,duniya usaka loha mane agar modi isaka sapana dekhate hain to kya harj hai?modi ko nayi jimmedar dene se b.j.p. karyakaratawon main utsah aya hai to galat kya hai?loktantra main modi ko janata pasad karati hai,we lokpriya hai to b.j.p. ne lokpriya karaykarata par viswas kiya.Goa ki meeting mainb.j.p. ne nayi pidhi ko chunav ki bagdor deke yua bharat ka kya samman nahi kiya?kya b.j.p. ko atal- adawani ke sath hi khatm hone ki bat log soch rahe the?log ayenge jayenge,pidhi ayegi jayegi desh aour b.j.p. to chalati hi rahegi.yah sahi hai ki b.j.p. ka naya awatar ho raha.b.j.p. ko satta pane ka haq hai.wah si liye rajniti kar rahi.kya satta pana keval cong. ke bap ki bapouti hai?jase cong.apani rajniti kar rahi waise hi b.j.p. bhi.to kyon diggi ke pet main dard ho raha.pura desh ab modi ke abha mandal se prabhawit ho raha,to congress use namolytis kah rahe.wastawa main cong. hi bimar pad gayi modi ke ade ane se.use hi namolytis ho raha,use ab modi ka antidoge khojana hoga.Rahul to yah nahi ho sakate.soniya ji ab puarani pad gayi manmohan kabhi desh ki nabj the hi nahi.modi ke kudane 2014 ka chunav dilchasp hoga yah taya hai.Modi ne naya nara de bhi diya'Desh ko congress se mukta karana hi rashtravad hai'.kya yah nara sahi hoga yahi dekhana hai.

No comments:

Post a Comment