Monday 1 July 2013

DESH KE LIYE KURBAN HOTE SENA KE JAWAN

Bharatiya sena ke jawan isliye apni jan kurban kar dete hain ki unake desh ke log khushahal jivan byatitkar saken.we apada mai desh ke logo ko rahat pahuchachte hain,unaki suraksha karate hain.sema par koyidushaman desh ke upar ankh na utha sake usake liye kuraban honeko tatpar rahate hain.kya koyi yah sochata hai ki we kaise jeete hain?hajaro jawan hamare desh ki azadi aour izzat bachane ke liye  jan ki baji laga deten hain.uttarakhand main sena ke jawano ne apni niswarth seva bhav ko dikhya.unake jajbe ko desh ne salam kiya.apani jan de kar bhi unhone logo ko marane nahi diya.sarakaron ki asfalata ke bawjood bhi unhone apane dayitwa ka purn nirwah kiya..lekin jo we tyag apane desh ,aour usake vasiyon ke liye karate hain kya usaki keemat koyi samajhata hai?sena we jawan hamare hi ghar ke bête hain.kahi bahar se ayat nahi kiye gaye hain.jab koyi jawan shaheed hota hai to usaki vedana usake ghar wale hi janate hain.usake mata.pita,bahan,bhayi,aour patni ya usaki santan hi janate hain.kya hum unake ansu poch pate hain?we jawan jo china,pakistan,ya atankvad se ladate shaheed huye,lekin apani bharat mata ka gourav kam nahi hone diya,we jawan jo kargil ki unchi pahadiyon barf ki chadar main dafan ho gaye,unhe sarkar aour desh ki janata kya de rahi?aj agar hum in jawano ki chinta nahi karenge to kya hum samvedanheen nahi mane jayenge?desh ke bhrast neta apane ko amar banana ke liye kya-kya chonchale karate hain.pakhandvad main ky kya natak rachate hain, samman pane ke liye fir bhi hame wah samman nahi milata.sena ke jawano ko desh itana samman aour suvidha de ki we apane ke liye sab kuch karane ka utsah pa sake.kayi log yah kahate sune jate hain chunki yahi unaki noukari hai isliye unhe yah sab karana hi padega.jo yah kahate hain we desh ke liye kya kurban hone ko taiyar hain?kya koyi neta seema par goli khane ja sakega?kya koyi udyogpati desh ke liye apana sab kuch kurban kar sakane ki himmat juta payega?kadapi nahi.sena main jane se aj ke yuwa parhej kyon kar rahe?kya desh ka yuwa veerata chod kar napunsakata ka jama hi pahanana chahta hai?desh main logo ke manovritti badalane ki jarurat hai.

No comments:

Post a Comment