Tuesday 25 June 2013

UTTARANCHAL MAIN RAHAT KE LIYE SANGHARSH

Uttarakhand main aj 10 din bad bhi hajaron log fanse huye hain.sena ke athak parisram ke bad bhi logon ki jindigiyan sankat main hain.vrasha ne rahat kam ki gati dhimi kar di hai.sena ke jawan logo ko bachane main shaheed ho rahe.lekin sena ke jajbe ko salam karata houn. we'surya hope; ke mission par kam kar rahe.fanse huye log bimari aour bhojan ki samapti ke sankat se jujh rahe.kayi to bhukhe mar rahe.kayi jagah abhi bhi rahar kam naho ho saka hai.uttarakhan lagabhag tabah ho cuka hai.use fir se khada hone main bahut samaya lagega.waha ka parytan is bar lagabhag khatam hai.dharmik ytrayen nahi hongi.raja sarkar ab pura samay punarnirman main hi lagayegi.vikas ki gati dhimi hogi.pryvaran par fir se vichar ki awashyakata hogi.yah to sabak mila hi ki prakriti se ched chad khatarnak hai.Kasmir main soniya ne isaka sanket diya.vikas ke sath sath prakriti sarankshan ki jarurat hai.rahat par rajniti bhi tej hai.sabhi dal chunav ko madde najar badh chadh kar bate bol rahe.Keval Mayavati hi yek aisi neta hain jo ab tak is apada par munh nahi khola hai.shayad unake vote bank par is apada ko koyi asr nahi hai.uttaranchal ki lagabhag adhikansh sadake tut chuki hain.kam chalau raste se hi kam chalaya ja raha.vikas ke nam par pahado ko visfoton se todane par pahad kam jor ho chuke hain,sankat hamesha hi bana rahega,nadiyon ko bandhane nadiyyan ab apana rasta talash rahi hain.unaka veg sab kuch baha sakata hai.ganga nadi ko rokana aour kahtara hai.Tihari par bhi kam sankat nahi hai.tihar bandh main pani bharane se jab usaki nikasi ki jayegi to desh ke anya bhagon main badh ka khatara badhega.bilali se dhan kamane ki lalach se pryavaran nast karana kitana jayaj hai?bijali ki bhi jarurat hai,usake anya upaya kiye jane chahiye.keval bijali niraman se bhi kam to nahi chalega.logon ki jndagi bhi jaruri hai.akhir bijali ka upabhog koun karega?jab log hi nahi rahenge.sabhi rajnitik dalon ko paryavaran ke muddon par gambhir hon hi hoga.yah samay ab aa gaya hai.

No comments:

Post a Comment