Monday 3 June 2013

LOK TANTRA KA DAL

Lal Krishna Adawani ne Shingh ki prsansa ky kar di midia ne ise tufan bana diya.adawani  b.jp. ke bade neta hain.b.j.p. ke niraman karatawon main se yek hain.unaki bat ko batangad banana ka adhikar kisane diya midia ko?adawani apani party ke c.m. ki prasansa kar rahe to isame aparadh kya hai?isase na modi chote ho jate hain,na Raman singh.na goa ke c.m. Parikkar. sabhi c.m. apane state ke neta hain.sabhi b.j.p. ke neta aour karyakarta hain. sabhi c.m. apane rajya main acha kam kar rahe.janata unase khush hai.sabhi sushasan ke rol model hain.yah sahi hai ki modi is samaya desh ke lokpriya neta hain.lekin isaka arth yah nahi ki anya b.j.p. ke c.m. a-lokpriya hain.wastawa main midia b.j.p. ke c.m.'s main mahatwakancha ki takarahat karana chahati hai.taki cong. ko labh mil sake.janata yah ranniti janati hai.b.j.p. ka koun p.m. banega yah abh kahana jaldbaji hogi.Adawani ke samane b.j.p. ke sabhi c.m.'s bache hain.unake samane hi unaka uthan hua.sabhi ko c.m. banana main unaki bhumika hai.isame bada chota hone ka sawal nahi hai.sabhi saman hai.Adawani ne apane sabhi c.m. ki prasansa ki hai.log isaka arth yah laga rahe ki shivraj singh ki prasansa kar adwani modi ke kad ko chota kar rahe.unaka modi se igo ka takaraw chal raha.adawani se in c.m.'s ka kya igo? log yah bhi kayas laga rahe ki modi aour shivraj main takaraw kar adawani khud p.m. bnana chahte hai.agar b.j.p. sansdiya dal adwani ko neta chunegi ya shushama ko chunegi to koyi kaise rok lega?b.j.p. main upar se neta nahi thopa jata.sab kuch loktantriya dhang se hota hai.jise karyakarata chahega wahi p.m. banega.b,j,p, kisi yek parwar ki party nahi hai.kyakaratwon ki party hai.isame koyi pariwar vad upari satah pe nahi hai.yah vichardhara ki party hai,keval sattavadi party nahi hai.b.j.p. ki rajaniti parwar ko samridhi karane ke liye nahi hoti,desh ko aour desh ki sabhi janata ko samridhi dilane ke liye hoti hai.pahale b.j.p. ko samajhiye tab usaki rajniti main padiye,to acha.

No comments:

Post a Comment