Friday 14 June 2013

BIHAR MAIN BADALATI RAJNITI:DEKHE KYA HOTA HAI?

Pichale 3-4 din se Bihar mainJ.D.(U)-B.J.P.gathbandhan ke tutane khabar ko bade jor shor se chalayi ja rahi thi.Dono taraf se katutapurb bayan aa rahe the.lagbhag sabhi ne man liya tha ki yah gathbandhan tut jayega.cong.khush thi.lalu khush the.lekin aj lagata hai sabake ashawon par tusharapat ho gaya.B.J.P ne kaha ki- hum dua bhi dete hain dawa bhi dete hain,jisase dosti karate hain use daga nahi dete hain.nitish kumar ne apane sabhi mantriyon ko 17 jun ko baithak main bulaya hai.isame b.j.p. ke mantra bhi shamil hai.j.d.u. ki baithak 15-16 ko hai.matalab j.d.u. ki baithak main gathabandhan par abhi koyi faisala nahi hona hai.dono main sangharsh modi ko hi le kar nahi haiadawani ko lekar bhi hai.maharaj ganj chunav main j.d.u. isaliye hari ki b.j.p na sath nahi diya,yah kahana hai j.d.u. netawon ka.modi Bihar main j.d.u. ki shart par ayen.modi p.m. na bane.p.m. ka faisala n.d.a. ke sansado ki baithak main ho.lalu ke khilaf sajha abhyan chale.ye sabh prashn j.d.u. utha raha hai.matalab formula nikalane ki taiyari chal rahi hai.nitish ko pata ho gaya ki federal front ka koyi matalab nahi hai.s.p.-b.s.p. jaisi partiyan unaka sath nahi dengi. modi ki lahar tham nahi raha.desh modi ka diwana ho raha.sarvekshan bata rahe ki modi ke chunav prabhari banana ke bad b.j.p. ke paksh main 15 se 20 % ka swing ho raha.kahi gathbandhan se ubi janta nirnayak parinam na dede.midia gathbandhan ko todane par kyon tula hua?jaram Ramesh ne modi ko khatara kyon bataya?u.p. main amit shah ke ane se khalbali kyon mach rahi?ye sabhi sawal gathbandhan todanewalon ke dimag main aa gaya.astitwa to nitish ka fansa hua hai.b.j.p. ke astitwa ka kya sawal?wah satta main rahegi ya mukhya vipaksgi dal.cong. ko hatana keval b.j.p. ka hi dayitwa nahi sabhi congress virodhi dalon ka bhi dayitwa hai.jis tarah food security bill par cong. piche hati usase usaka bhaya samane aa gaya.cong. ko lag raha ki ab koyi loklubhawankadam use fayada dega kya?manarega jaise labh pane ki sthiti main wah kitana hai?.yah sabh sawal dono dalo ko sath rahane ko majboor kar sakate hai.dono ko dar hai ki kahi alag hone se lok sabha chunav main ghata na ho jaye.so dono ke sur naram pade hain.

No comments:

Post a Comment