Wednesday 12 June 2013

NITISH ASAMANJAS MAIN KYA KARE?

Agar B.J.P.-J.D.U. gathbandhan tutata hai to kya hoga- - - - - J.D.U. ke 118 vidhayak hain,B.J.P. ke 91 vidhayak hain.22 lalu ke hain.4 cong. ke hain. 6 nirdaliya hain.kul vidhan sabha 243 ki hai.nitish ko nirdaliyon ko milana padega.jisame sabhi bahubali hain.tan nitish ke saf sudhare chavi ka kya hoga?agar cong. ko milate hain to lalu aour nitish yek sath honge.tab  sharad ydav ka kya hoga.b.j.p. to har kimat par vipakshi dal rahegi hi.lok sabha main kya lalu-nitish-cong.ka gathbandhan hoga?agar bj.p. apani seat 122 karana chahegi to nitish ke party main jo virodhi hai wah kya karenge?nitish jise bhi milayenge use mantra banana padega.agar lalu sath dete hain to janata main lalu virodhi janmat ka kya hoga?abhi to Bihar sarkar bahut majboot hai.lekin gathbandhan tutane par awasaevadita badhegi.nitish sarakar bachane ke liye bargen ke shikar honge.tab Bihar ki chavi ka kya hoga?kul ankada 122 ka hai.sarkar bachane ke liye wah jaruri hai.maharajganj harane se nitish dabav main hain.lalu ka manobal badha hai.lalu nitish ke sath kyon jana chahege?cong.kuch karane ki sthiti main nahi.ho sakata hai ki cong. ke sare vidhayak satta ke lobh main nitish ki party main mil jaye.tab cong.ki sthiti kya hogi?lagata hai nitish asamanjas main pade huye hain.adawani se bat jo huyi hai usaka kya parnam hoga yah kahana mushkil hai.nitish navin patnayak nahi hain.yah to sahi hai.mamata kitana sath dengi yah kuch nahi kaha ja sakata.tutan hone par b.j.p. ko hi labh hoga yah to sahi hai loksabha main.n.d.a. ko todane ka kuchakra chal raha.lekin modi ke badhate deshbyapi samarthan se cong.ko koyi labh nahi hoga.ho sakata hai ki desh ki janata gathbandhan ki rajniti se ub kar koyi chamatkarik parinam de de.

No comments:

Post a Comment