Monday 10 June 2013

COAL SCAM MAIN NAYA MOD

Coal scam main naya mod aa gaya.cong.M.P. Navin Jindal ke upar f.i.r. lodge huyi hai.matalab coal scam main cong. ka hanth taya ho gaya.udhar b.j.p. main ghamasan idhar coal scam main tufan.lekin dekhiyega.ise midia nahi uchalegi.kyon ki isase t.r.p. nahi badhegi.wah abh adawani prakaran main hi ulajhi rahegi.jindal Rahul ganghi ke yua team ke sadasya hai.yua rajniti ka bhrastachar khul raha ab.kya f.i.r. lodge karane ke bad c.b.i. unhe giraftar bhi karegi.jab chattisgadh ke naxali hatyakand main congress ke hi logo ka nam aya,to midia khamosh ho gayi.kya ab coal scam main Jindal ka nam ane ke bad midia fir khamosh ho jayegi?jindal to bahut bade udyogpati hai.kya ab sriprakash jaisawal ke khilaf bhi karywahi ki taiyari chal rahi?coal ke gande khel main kisaka kisaka hanth hai yah to ujagar hona hi chahiye.isame kya rajniti huyi isaka pata chalana hi chahiye.maheena nahi bit raha ghotale ki parat khulane lag rahi.

No comments:

Post a Comment