Sunday 16 June 2013

BIHAR KE RAJNITIK NIHITARTH

Akhir jo hona tha hua.B.J.P.-J.D.U. gathbandhan tut gaya.bechare sharad yadav ki kuch nahi chali.acha hi hua.gathbandhan banate hi hain tutane ke liye.gathbandhan ki rajniti ka arth hi hota hai tod-fod ki rajniti.Lekin yah tutan yek byakti ke nam par hua.wah na hai Narendra Modi ka.pata nahi kyon logo ke man main modi ke nam ka itana khaouf hai ki log apana astitwa hi bachane main lag gaye.mulayam kah rahe ki u.p. main modiko koyi nahi janata.nitish kah rahe ki modi ke nam ki koyi andhi thode hi chal raha ki n.d.a. ko 272 seaten mil jayengi.kayi dal alpsankhyakvad chalane lage.lagata hai ki druwikaran ka khatara hai.j.d.u. ne jaldibaji main kadam uthaya hai.isaka use nukasan hoga.nitish ke ahankar ne tut kiya.main nitish ko 20 varasho se janata houn.we thode se safalata ain ahankari ho jate hain.unhe lagata hai ki we ab lalu ko khatam kar chuke hain..Bihar main ab do hi dal rahenge.j.d.u. aour b.j.p..nitish manate hain ki congress unaka hi anusaran karegi.we itana chate the ki b.j.p. unake adesh par chle.koyi dal dusare ko hastkshep kyon karane dega?nitish ko modi ke kad se chidh hai.we nahi chahte ki modi Bihar main n.d.a. ka prachar Karen.kya modi ko Bihar ane se roka ja sakata hai?nitish ko dar tha ki modi ke sath rahane se muslim voye sarak jayega.lekin modi-modi itana Bihar main ho gaya hai ki modi jab bhi Bihar jayenge hiro sabit honge.bihar ki janata ne is tutan ko apana apaman man liya to kya karenge nitish?b.j.p. ko ab labh yah hoga ki wah mukhya vipakshi dal rahega.lok sabha main wah apane 39 ummidawar utarega.nitish ke sath use kewal 12-15 seaten hi milati thi.modi factor ne agar kam kiya to b.j.p. ko adhik seaten mil sakati hain.nukasan nitish ka hi hona hai.kaise jtenge ab sharad yadav? b.j.p. ne apana kadam sahi uthaya.use loksabha dekhana hai .Bihar ki satta ka abhi koyi matalab nahi hai.lok sabha main 200 ka ankada pana b.j.p. ka lakshya hai.cong.sarakar ki girati stithi se labh kisako hoga?madhyam varg ka yua modi ke liye pagal hai.wahi is bar nirnayak bhumika main hai.agar modi ka jadu chala to kya hoga?dar asal yah rajniti igo ki ladayi ki rajniti hai.isame janata ko tay karana hai ki kya wah gathbandhan chahti hai ki nirnayak bahumat.chahe congress ko de ya b.j.p. ko.desh gathbandhan ki rajniti se ub chuki hai.

No comments:

Post a Comment