Sunday 29 September 2013

DESH KI RAJNITI MAIN HASYASPAD STHITI:KYA YAHI SARAKAR HAI?

Rahul Gandhi ne desh main rajnitik naitik aour kanooni sankat paida kar diya. unhone dagi netawon ko bachane wale adhyadesh ko nonsence aour use fadane ka bayan de kar puri sanmvaidhanik sarakar ko kathghare main khada kar diya.unake bayan ka arth yah hai ki adhyadesh ke sath sath puri cabinet nonsence ki jamat hai usame p.m. bhi shamil hain.maja dekhiye jo cabinet mantri cabinet ki baithak main adhyadesh ke samarthan main muhar laga ke aye the rahul ke bayan ke bad sabhi apane hi nirnaya ke virodhi ho gaye.jab loksabha main dagiyon ko bachane wala vidheyak ayatha to usake paksh main rahul aour soniya ne bhi vote kiya tha.soniya aour rahul ki jankari main hi adhyadesh aour vidheyak aya.fir rahul ne virodh kyon kiya?president ne is adyadesh ke bare main jab sibbal se puchtach ki aour is par apani asahahmati byakt ki cong. ke kan khade huye.anan fanan main main rahul ko hero banane ke liye yah natak khela gaya. nadan congressiyon ko yah samajh hi nahi aya ki is natak se sarakar ke chahre par kya asr padega?rahul sarkar main kuch nahi hain.lekin we apani hi sarakar ke khilaf bagawat karate najar aye.sandesh yah gaya ki rahul soniya ke chatukaron se nakhush hain.ab cong. soniya aour rahul ke do gut ban gaye hain.cong. ko samajh hi nahi aa raha ki adhyadesh ko kya karen.wapas lete hain to puri sarkar ki chavi kharab hoti hai. nahi lete to rahul ki bat katati hai. Delhi main modi ne kaha ki rahul p.m. ki pagadi uchal di hai.sarakar main p.m. ki nahi chalati rahul ki chalati. hai.waise p.m. ne pahale kah diya ki we rahul ke netritwa main kam karana chahate hain.kya rahul ne p.m. ka apaman nahi kiya?jab we ammerica se loutenge to apani ijjat bachane ke liye istifa dene ke atirikt kya rasta bachega?nahi denge to kya unaki sthiti aour kamjor nahi hogi?yek kamjor p.m. ka tohamat unake upar pahale hi hai.kya isase yah nahi sidh hoga ki wastawa main we bahut kamjor hain?we p.m. nahi soniya aour rahul ke robote hain. asali p.m. to to rahul hi hain?manmohan ki koyi sthiti nahi hai?kya itani kamjor sarakar desh ko age le ja payegi?pakostan aour chaina ko jabab de payegi?desh ki arth byawawstha ko sankat se nikal payegi?desh ki rajniti main hasyaspad sthiti ban chuki hai.naye chunav se hi sthiti main badalawa aa payega.

Sunday 8 September 2013

u.p. sarakar puri tarah asafal

u.p. ke mujaffar nagar ke dange ne tathakathit dharmnirpekshata ki pol khol di.yah samradarik danga dharmnirpekshahvadiyon ki suniyojit chal hai.taki yek sampradaya ka vote bantane na paye.24 logo ka akhir kya gunah tha ki unhe anayas hi mout ke ghat utar diya gaya.u.p. ki sarakar danga rokane main puri btarah nakam rahi.ap andaja lagayiye kidanga kitana bhishan tha ki 10000 jawano ko ise rokane ke liye lagana pada.danga kaise shuru hua yah alag kahani hai.lekin isame krurata bahut huyi yah sach hai.yek patrakar ko bhi apane jan se hanth dhona pada.u.p. main sarakar ne kanoon byawastha ko puri tarah se barbad kar diya hai. log puri tarah asurakshit hai.sarakar keval laptop bant kar vote chah rahi.u.p. main danga,badh,kubyawastha ka bolbala hai.s.p. sarakar kendra maincong. ka samarthan kar rahi.to kya u.p. main hone walw pap ka bhagi cong. nahi hogi?yuwa c.m. ki shuru main khoob prashansha ki ja rahi thi.yuwa c.m. to'bandar kae hanth main ustara jaise hi dikhe'.yaisa lag hi nahi raha ki u.p. maim
n koyi c.m. hai.u.p. ko yek pita pita mulayam singh 3 chacha ram gopal,shiv pal aour azam khan mil kar chala rahe.puri sarakar kuntha ki shikar hai.use samajh hi nahi aa raha ki u.p. ko kaise chalaye.akhir jati ke gathbandhan par adharit sarakar to aisi hi hogi na....