Wednesday 26 June 2013

ARTHBYAWASTHA KA GIRATA DOUR; AB CHARWAK DARSHAN NAHI CHALEGA

Bharat ki economy main girawat ka dour jari hai.MANMONOMICS fail ho raha.Globalization ka bhram tut raha.Udarikaran ka ku-prabhav dikhayi dene laga.Bharat main vikas dar jise 10% karane ki kalpana ki gayi thi wah 4-5% tak simat gaya.aisa nahi lagata ki vikas dar itani jaldi gati pakad payega.Desh main lagbhag mandi ka dour hai.Bajar ki gati atyant dhimi hai.Rupaye ki record girawat ne desh ke manthe par chinta ki lakeeren khich di hain.Pichale 2 maheene se rupaye ki kimat girani shuru huyi,Doller ke mukabale rupaye ki keemat 60.72 rah gayi.1 doller ki keemar ab 60 rupaye ho gaya.Rupaye ka yah mano vaigyanik girawat hai.kya jaldi hi doller ki keemat kya 100 rupaye ho jayegi?Rupaya itana kamjor ho raha isaki chinta sarakar ko kitani hai?kya kadam uthaye ja rahe? sona manhaga ho chukka hai.vitta mantri ko kahana pad raha ki log sone ka prayog kam Karen.kya desh ho gaya? sarkari nitiyan asfal hone lagati hai to sarakar janata par hi niyantran lagane lagati hai.jaise janta hi sabhi rogon ki dawa aour karan hai.tab sarakar kyon hai?sarakar ka koyi dayitwa nahi hai kya?Berojgari badh rahi.banks ammerica ke banks ki tarj par chal pade.udyogpati bankon ka karj utarane main fail ho rahe. 'rinam kritwa gritam pivet' ka charwak darshan bharat main kitana chalega?yah bhoutikvad ka charm hai.bhrat ka vikas keval bhoutikvad se nahi hoga.Adhyatmikata ka niyantran bahut jaruri hai.Globalization ne desh main bhrastachar ko khoob badhaya. Anaitikata ko naitik bana diya.jhuth sach banana laga.Arthbyawastha nakal ka shikar ho rahi.Nijikaran se siksha byawastha nast ho rahi. Angutha chap log viswavidyalay khol shiksha de rahe.Siksha byawasay ho gaya.berojgaron ki fouj paida kar rahi.Yek samaya tha ki M.B.A. ke college behaya ki tarah ug rahe the.har yuwa m.b.a. karana chahta tha.sabhi sadak par gum rahe.unake pas hunar hi nahi.paise ke bal par hunar kaise paya ja sakata hai? yahi sthiti I.T. main bhi hai.sabhi log paise ke bal par enginniyar banana chahta hai.Hunar nahi hoga to kya karenge?sab kuch videshi nakal par ho raha.desh main sarakar arth byawastha ko sudharane ke har tareeke apana chuki.sankat ka samadhan nahi ho par raha?Apne moulik chintan se desh kabhi 'sone ki chidiya' thi.nakalchi chuntan se desh bhikh mangane ke kagar par khada hai.Duniya main globalization ki arth byawastha se bahar nikalane ka pryas ho raha. Bharat abhi bhi globalization ke moh pash main pada hai.Girate rupaye ko khada karane ke liye jis 'RAJNITIK ARTHSHASTRA' ki jarurat hai use khojana padega.nahi to desh ko tabah hone se koun rok payega?

1 comment:

  1. Dr saheb Desh ki arthvyawastha ki chinta kisko hai Neta to apni Arthvyawstha sudharne me lage hain,

    ReplyDelete