Wednesday 17 July 2013

BIHAR KE BACHO KA KYA DOS THA?

Bihar main kitana dardnak hua.Mid day meal kha ke 30 bache mar gaye.19 ki halat bahut kharab hai.kya pata unaka kya hoga?khane main jahar milane se ghtana ghati..24 ghanta nahi bita ki madhubani main bhi mid day meal kha kar 50 bache bimar ho gaye.Bihar main jab se purn secular sarakar ayi hai tab se sushasan ka kushasan dikhayi padane laga.itani jaldi Bihar ki gati kyon badal rahi?kya Bihar main sushaan B.J.P. ke karan tha?usake hatate hi bodh gaya main atankvadi ghatana hoti hai,kuch hi din bad bechare garrebon ke bache marane lagate hain.yekayek apa radh badh jata hai.jo nitish danke ki chot par chillate the bhigi billi bane patane main dubake huye hain.unaki himmat bhi midia ke samane ane ki nahi ho rahi.koyi aparadhi pakada nahi ja raha.chapar,patana ki sadakon par hinsa ka tandav hone laga.janata sadak par utarane lagi.congress wale jo nitish ka secularism par unaki prasansa karate the unhe hi dosi karar dene lage.jis lalu ki arajakata ke khilaf we satta main aye the,nitish swayam bhi arajakata ke shikar ho gaye.kitana dukhad hai ki 30 bache marate hain c.m. ki himmat nahi ki bacho ke pariwarwalon se mil sake unake ansu poch sake.kitani kayarata aour samvedanheenata hai yah.kya nitish itane krur hain?kya nitish ab bhi modi ko gali denge?wastawa main desh.kal,patra,mulya aour byawahar ka fark padata hi hai.jab se Bihar sarakar congress ke jal main fansi waha kaliyug ka agaman shuru ho gaya.congress to khud hi desh ke liye kaliyug ke roop main khadi hai.sat yug lane ke liye pariwaetan karana hoga.janata pariwartan chahati hai.wah isake liye taiyar bhi hai.ab kya hoga nitish ke 2014 ke mission ka?ye bache unhe mar dalenge.tab we kaise secular sarakar banawayenge?rajniti main ahankar ghatak hota hai.jidd khatarnak hota hai.viswas agar tutata hai to sab kuch khatam ho jata hai.KYA NITISH KO NAHI LAGATA KI WE HI AKELE BIHAR KE NIRDOSH BACHO KI HATYA KE JIMMEDAR HAIN?

No comments:

Post a Comment