Tuesday 16 July 2013

MULAYAM KI BADALATI RAJNITI

Nehru-Gandhi ke vanshvad ke khilafniti shuru karane wale lohiawadi mulayam ssingh yadav ab dewsh ke sabase bade rajnitik dal ke mukhiya hain.Beta C.M. hai,khud P.M. banana ki chat hai.Lohiya to kahi gum ho gaye. pariwar ke kam se kam adha darjan sadasya sansad main hain.jo paida ho rahe we bhi sansad main jane ki chah lekar paida ho rahe.bharat ke rajnitik itihas main itana bada rajnitik pariwar koyi nahi hai.lagata is pariwar ka udyog hi rajniti hai.ghar ki mahilayen bhi rajniti main hain.jo koyi bacha hai wah 2014 ke chunav main sansad banana ka sapana pal rakha hai.Yadav biradari ke logo ke liye yah pariwarvad koyi mayane nahi rakhata. unaka parwarvad sangharsh ka pariwarvad hai.ab satta ka parwarvad ban chukka hai.pidhi dar pidhi rajniti main kud rahi.rajniti main vanshvad koyi naya nahi hai.wastawa main bharatiya loktantra hi vanshvadi lok tantra hai.Gandhi pariwar main keval 2 sansad hain.karunanidhi ke pariwar main1 ex c.m.,ex.dupity c.m.,ex.minister,saansad hain. badal pariwar main 3 sansad hain.amarindar ke pariwar mainex.c.m. sahit 2 sansad hain.abdulla pariwar main 2 neta hain.sindhia pariwar main 5 log rajniti main hain.veerbhadra ke kunabe main 2 log hain.iname se koyi bhi mulayam ko chunouti nahi de pa raha.mulayam ne apane parwar ke logo ko khoob age badhaya.usake bad bacha to karykarta age aye.yah samajhane ki jarurat hai ki janata kyon inhe samarthan deti hai.jativad ke samikaran ke adhar par rajniti karane wale mulayam o.b.c.- muslim gathjod ke adhar par age badhate hai.ab we hindu card bhi khelane lage.unhone ramjanm bhumi andolan main karyakartawon par jo golo chalawyi usake liye khed pragat kar rahe.kya we b.j.p. ke sath mil kar p.m. banana ka sapana pal rahe?adawani ki prasansa ko kya mana jaye?mulayam ko sarvoch shikhar par puchana hai.isake liye we kuch bhi kar sakate hain.ab we mulla mulayam bane rahana nahi chahte.we sarv manya neta banana banana chahte hain.isake liye sampradayikata koyi chij nahi hai.vote jaise mile wah wahi karana chahte hain.yah rajniti ki bidambana hai.

No comments:

Post a Comment