Thursday 25 July 2013

KRPAYA GAREEBON KA MAJAK UDANA BAND KAREN

Desh main gareebi rekha par bahas ho rahi.Tendulakar committee ne kaha pichale 9 sal main desh main 17 karod gareebi rekha se upar aa gaye hain.yani U.P.A.sarakar ne desh  main gareebi hatane ka kam kiya hai.mujhe lagata hai ki ankado ki bajigari se cong.vote kamane ke jugad main lagi hai.kya desh ka gareeb in ankadon ko samajh payega?jise do joon ki roti bhi thik se nahi milati.kya badhati mangayi se gareebi ka koyi rista nahi hai?shahar main 33 rupaye kamane wala aour ganv main 28 rupaye kamane wala ameer ban gaya?akhir gareebi ka majak kkyn udaya ja raha?kya congg. cahati hai ki deshse gareebon ko hi samudra main baha diya jaye?isi ke sath cong. ne gareebi ke sath yek aour mjak udaya.Cong. ke prawakta Raj babbar ne kaha ki kaha hai gareebi?we to aj bhi Mumbai main 12 rupaye main bhar pet khana dal chawal sabji sahit khate hain.unase bhi age badhkar yek aour prawakta Rashid masood ne kah diya ki delhi mai jama masjid ilake main aj bhi 5 rupaye main bhar pet khana mil jata hai.we isase bhi kam main bhar pet kha lete hain.kya apako nahi lagata ki desh ki rajniti manasik diwaliyepan ka shikar ho chuki hai.raj babbar to balatakari abhineta rahe hain.balatkar karana unaka abhnaya hai.we gareebon ki asmita ke sath bhi balatkar kar sakate hain.lekin rasheed masood sahaeb kya 5 rupaye main yek boti bhi kha sakate hain?akhir kisako khush karane ke liye jhuth aour fareb ka sahara le rahe?kya soniya ji bhi chahti hain ki desh main greebon ka majak udata rahe?desh main gareebon ka koyi swabhman hai ki nahi?unake swabhman se khelane ka haq in congressiyon ko kisane diya?noutanki baj prawakatawon ki fouj khadi karane se kya satta mil jayegi?Indira ji ke jamane se hi gareebon ke sath majak kiya jata raha.greebi hatawo ka nara majak ke siva kuch nahi tha.Rajeev Gandhi ne bhi gareebon ka majak udaya tha.ab soniya aour Rahul ki congress bhi gaeebon ka majak udane main lag gayi hai.mahgayi se trast janta ko usase nijatdilane ki jagah sarakar geebi ko paribhashit karane par juti huyi hai.33 rupaye roj pane wala tathakathit ameerkya apane bachon ko thik se shiksha bhi dila payega?thik se usaka ilaj bhi kar payega?jab 5 rupaye main bhojan mil hi raha to khadya suraksha ke liye itana mara mari kyon?

No comments:

Post a Comment