Wednesday 2 October 2013

DAGI ADHYADESH PAR YEK NATAK KA PATAKSHEP HUA,JITI TO JANATA

Aj cabinet ne peples represetation bill wap[as lene ki ghoshana kar di.cong. ne rahul ko age kar ke itana natak karawaya.unhe hero banane ki koshis ki.cong. is tarah ka kam hamesha karati rahi hai.indira gandhi ke samaya main minarwa mill wala case,previparse wala case,rajiv gandhi ke samay postal bill wala case isaka udaharan hai.har p.m. sidhe tour par isase jude the.aisa kabhi nahi hua ki kisi ne p.m. ko dabaw dal kar unhe apmanit karake kisi bill ko wapas karawaya gaya ho. hamare p.m. bhi aise hain ki apaman sah kar bhi unhone pappu ki bat man li.desh yah samajh raha tha ki p.m. itane ahata honge ki apane swabhiman ki raksha ke liye apana pad chod denge.lekin unhe to apane swabhiman ki koyi chinta nahi.we to gandhi pariwar ke sevak ki bhati jo kaha gaya wahi kar rahe the.desh ka samman p.m. ke sath juda hota hai.agar rahul ne p.m. ko apamanit kiya ko kya isase desh apamanit nahi hua?samvidhan aour kanoon apamanit nahi hua?kalapana kariye ki agar pranav mukharjee bill par dastkhat kar dete to kya tab bhi rahul yah natak karate?cong. ko yah samajh aa gaya tha ki rastrapati bill par dasrkhat nahi karenge.tab ja kar apani ijjat bachane aour rahul ko hiro banane ke liye yah natak khela gaya.janata yah natak nahi samajh rahi?is natak se kya cong. ki wapasi ho jayegi?cong. ke sab pap dhul jayenge?log kahate hain ki ki rahul ki antratma jagi tab aisa hua.jab bill  cabinet main rakha ja raha tha tab kyon nahi antratma jagi?jo galat tha wah tab bhi galat hi tha.B.J.P. ne isaka virodh kiya.pahale B.J.P. bhi bill ke muddo ke sath thi.lekin jab lalu ko bachane kasawal aya to b.j.p. ne apane kadam piche khich liye.wah rastrapati ke pas tak pahuch gayi.modi ne is mudde ko utha diya.desh ki janata ne muddo par bahas shuru kar di.b.j.p. ko isaka sreya na mile isliye yah sab natak kiya gaya.isase koyi vote bank nahi taiyar hoga.lekin cong. ke sahyogi naraj honge.lalu ki r.j.d. ne cong.par hamala shuru kar diya.kyonki lalu ki loksabha ki sadasyata ab nahi rah payegi.lalu ke hatane se cong. ab nitish ko sath lene ka prayas karegi.natish kah hi rahe ki bill ko wapas lene se cong. ki pratistha nahi jayegi.yani nitish aour rahul main jugalbandi shuru ho gayi.lekin isase na bihar main nitish ko fayada hoga na cong. ko.cong. itani hadabadi main hai ki kis tarah 2014 main use fir se satta mil jaye.agar rahul hero ho gaye to cong.ko ab rahul p.m. ka apana ummidawar ghoshit kar dena chahiye.

No comments:

Post a Comment