Sunday 27 October 2013

BIHAR MAIN BAM VISFOT KI GHATANA SWARTHVAD KA PARINAM; LOKTANTRA KHATRE MAIN

Aj patana ke gandhi maidan main jo ghtana ghati wah bharat ke rajnitik itihas main kabhi nahi ghati.B.J.P. ke P.M. pad ke ummidawar Narendra Modi ki Hunkar rallyi thi.Nitish ke ghar main modi pahali bar hunkar karane ja rahe the.J.D.U se B.J.P. ka sath chutane ke bad b.j.p. ki yah pahali rajnitik show tha.3 mahene se isaki taiyari chal rahi thi.B.J.P. bihar main jansamarthan dikhane ko utawali thi.Gandhi maidan main 5 lakh se upar logon ke ane ka anuman tha.is rally ko b.j.p. aitihasik banana chahati thi.gandhi maidan main isase pahale bhi badi badi ralliyan huyi hain.1974 main j.p. ki sampurn kranti rally aour lalu ki sabase pahali pariwartan rally tatha ram janm bhumi andolan ki rally vishal rally main gini jati thi.b.j.p. in ralliyon ka record todana chahati thi hunkar rally ke madhyam se.b.j.p. ki ummid ke anusar wah rally huyi bhi.lagabhag 5 se 7 lakh log aye.is rally se desh ki rajnitik disha badalane ki ummid b.j.p. ne ki thi.lekin rally ke pahale aour rally main kul 9 bam dhamake huye.6 logo ki jan gayi. 80 log ghayal huye.is ghatana ke bad bhi rally huyi.modi khoob bole.nitish par rajnitik hamala kiya.cong. par shbdon ke teer chalaye. lekin kisi rajnitik rally main bam visfot ki ghatana pahali bar hua.sawal yah utha ki kya modi ki rally ko flop karane ki yah suniyojit sajish thi?kya yah modi ko marane ke liye atankvadi ghatana thi?kya desh main dahsat failane ke liye is ghatana ko anjam diya gaya?kya is ghatana ke liye cong.aour j.d.u. jimmedar hai? 1 din pahale cong. ke janardan dwiwedi ne modi ko shahjada kahne par dhamaki di thi.kya yah muslim tusti karan ka parinam tha?is ghatana ne desh ki rajnitik sthiti ko badal diya.kya loktantra itana kamjor ho gaya ki satta ki prapti ke liye hnsatmak upayon ka sahara liya jane laga?yah to sach hai ki bhart main loktantra ki jaden kamjor pad rahi hain.muddon ki jagah swarthvad aa gaya hai.unmad faila kar satta hathyane ki hod chal padi hai.alpsankhyak-bahusankhyak main desh ki janata ko bant kar vote ka jugad kiya ja raha.NItish ke good goernence ki pol is ghatana khol di.akhir kyon b.j.p. ke satta se hatane ke bad bihar main atankvadi ghatanayen ghat rahi.kya bihar vote ke chakkar main atankvadiyon ka adda ban raha?desh main 4 rajyon main vidhan sabha ke chunav chal rahe.is ghatana ka is par kya prabhav padega?desh ki janata pariwartan chahti hai.b.j.p. virodhi janata ke pariwartan ke bhav ko hinsatmak gatividhiyon se rokane ka prayas kar rahe.modi agar p.m. ban hi jate hain to kya ho jayega?akhir modi se dar kin logon ko hai?modi koyi videshi nahi hain.isi desh ke saput hain.bihar ki ghatana ne desh ki janata ko sochane ko majboor kiya hai ki apane vote ka sahi upayog kare.jativad ya samoradayvad ki jagah rashtravad ko age badhaye.nahi to yah desh gahare sankat main fansane ja raha.

No comments:

Post a Comment