Sunday 28 April 2013

Vranasi main wiswa prasidh shastriya sankat mochan sangeet samaroh 29 april se shuru hoga.varanasi ke prasidh snkat mochan mandir main yah samaroh pichale 96 sal se ho raha.Mahanth Prof. Veer Bhadra Mishra ne is samaroh ko unchaiyon par pahuchaya.Desh ke sabhi bade sashtriya sangeet kalakar yaha bina paisa liye apani kala ka pradarshan karate hain.hajaron ki sankhya main srota rat bhar sangeet ka anand lete hain.isame kisi se kuch nahi liya jata.sab kuch muft hota hai.kalakar yaha snkat mochan hnuman ji ko apani kala ka suman chadhane ate hain.5 dino ka yah samaroh rat bhar chalata rahata hai.bharii sankhya main pariwar apana khana pina liye desh ke bade kalakaron ka sangeet sunate hain.5 dino tak log rat bhar jagate hain din bhar sote hain,shstriya sangeet ke rasikon ko koyi dekhana chahe to yaha dekh sakata hai.vartman main Prof.viswabmbar nath Mishra isake karta dharta hain.duniya ke bahar ke log bhi yaha sunane ate hain.wiswa sanskritik manavatavad ka yah mahatwapurn udaharan hai.waise is sangit ki parampara kasha main Tulasi das ji ne shuru ki thi.

No comments:

Post a Comment