Monday 29 April 2013

sambhawanayen 2014 ki

kya 2014 ka chunav 2013 main hi hoga?yah sawal aaj kal jor pakad raha.samajvadi party ke azam khan ka bosten main apaman  aour unaka salman khurshid ko jimmedar thaharane ke bad mulayam singh ji par samarthan wapasi ka dabav ban chuka hai.azam yadi naraj ho jayenge to mulayam ki mushkile badh jayengi.aj kal azam thoda naraj chal rahe mulayam singh se.isiliye  ramgopal yadav ko bayan dena pada ki chunav oct.-nov. main ho sakate hain.cong, ki mushkile badhati ja rahi.lekin vipakshi b.j.p. ko apana ghar thik se sanbhalana hoga.apasi gutbaji se parahej karana padegahoga.karyakratawon main abhi utsah nahi hai.u.p. jo sabase adhik seat dene wala rajya hai kya waha b.j.p 30 seaten jitane ki sthti main hai?yahi bada na kam thik se nahi kar raha.u.p. main pitenge to satta main wapasi mushkil hogi.

No comments:

Post a Comment