Tuesday 28 May 2013

NAXALVAD DESH KE KHILAF VIDROH HAI.ISE KUCHALANA JARURI.

Chattisgadh main naxaliyon ne jo tandav machaya wah dil dahalane wala hai.chattisgadh ki puri cong.saf ho gayi.salawajudum ke karndhar bhi mare gaye.jis tarah yah hatyakand hua usase lagata hai ki naxali ki hatasha ke shikar hain.police aour suraksha balon par hamale se unaki mansa puri nahi ho pa rahi.ab we rajnitik dalon ke netawon par hamale ranniti par kam kar rahe.unake liye b.j.p. aour cong. main koyi antar nahi.keval we bampanthi netawon ko nahi chuenge.unhe is hatyakand ke bad bahut adhik midia main hype mil rahi.yah ghatana babbar khalasa aour bhindarawale ke ranniti ki taraha hai,we bhi Punjab main ugravadi andolan main rajnitiknetawon ko mar rahe the.kahi aisa to nahi ki desh ke sbhi atankvadi sangathanon ne hanth mila liye hain?chunav ke thik pahale is tarah ki ghinouni ghatana ka matalab kya hai?kya yah koyi sajish to nahi?atyadhunik hathiyar naxaliyon ko kaha se mil rahe?sarakar sena ki niyukti karane se kyon bach rahi?kendra sarakar rajya sarakaron se naxal mudde par samanwaya kyo nahi bitha rahi?kendra suraksha balon ko rajyon ki mang par kyon nahi bhej rahi?naxalvad ko atankvad ke saman kyon nahi mana ja raha?naxalvad ko samarathan de rahe boudhik varg ki pahachan kar unhe deshdrohi kyon nahi bataya ja raha?naxalvad par dhulmul rawaiye se kam nahi chalega.desh ko naxalvadi hinsa se bachane ke liye sabhi dalon ko apani rajnitik mahatwakancha chod kar thos kadam uthana padega.loktantra main kisi tarah ki hinsa jayaj nahi hai.naxalwadiyon se kisi tarah ka samjhouta thik nahi.unhe kuchala hi sahi upaya hai.usake liye sena ka upayog galat kaise ho sakata hai?naxalvadi hinsa ka byapar karate hain.unhe dhan chahiye.yah unhe kaha se mil raha.is par dhyan dene ki jarurat hai.isame videshi hanth bhi sambhav hai.yah desh ke khilaf vidroh hai.yak antarik sangharsh hai.naxalvad ko boudhik samarathan dene wale bhi deshdrohi hain.naxalvadiyon ke munh main khoon lag chukka hai,unake liye koyi sarakari yojana kargar nahi hogi.kripaya desh bachayiye.

No comments:

Post a Comment