Sunday, 19 May 2013

U.P. MAIN B.J.P. KA HAL.KAISE HOGA UDDHAR?

Gujarat ke Amit Shah ko u.p. b.j.p. ki bagdor di gayi hai.chunouti hai b.j.p. ko u.p. main ubarana.isaka matalab yah hai ki u.p. ko Modi ke prabhav kshetra main lane ki koshish hai.Varun Gandhi ko u.p. main sakriya kar pahale hi b.j.p. ne apani mansha jata di hai.Lagata hai b.j.p. ke kendriya netritwa ko ab ja ke u.p. ki chinta satane lagi hai.yah sahi hai ki u.p. ko jite bina b.j.p.kendra ki satta nahi hasil kar payegi.u.p. main loksabha ki 40 seaten jitana jaruri hai.lekin aj ke mahoul main kaise jitegi?u.p. ke purine netawon main ab wah charm raha kya?naye netawon ki viswasaniyata sthapit ho gayi kya?u.p. main b.j.p. sangathan main purani wali jan hai kya?kyon karaykarata hatash aour nirash hai?usame utsah ki girawat kyon hai?b.j.p. sadakon par kah dikhati hai?b.j.p. to sadak aour karyakaratawon ke tapasya ki party hai.karyakaratawon ka viswas u.p. ke netawon main kyon ghata hai?chatukar kism ke log,ganesh parkrama karake sangathan main sthan pa ja rahe.we karyakaratawon ka man bhi nahi jit pa rahe,sanghrashsheel karyakaratawon ko jagah kyon nahi mil pa rahi?pradseh main janata ko khakjhoranewale mudde kyon nahi talashe ja rahe?jab neta A/C camare se nikalenge nahi,tapati dhup main khoon sukhayenge hi nahi to karyakaratawon ka viswas kaise loutega?kya sangharsh karana,lathi khana,jail jana,bahaduri se ladana bhul gaye?jab bahaduri bhulenge.kurabani bhulenge to kaise b.j.p. khadi hogi?jatigat samikarano ko bithane kya milega?jativadi dal pahale se hi moujood hain.rashtravad ke mudde kyon bhula diye gaye?jab tak b.j.p. aour anya dalon main antar nahi dikhega b.j.p. ke prati logo ka rujhan kaise badhega?sangthan ki susti b.j.p. ko barbad kar rahi.s.p. ,b.s.p. cong. b.j.p. se u.p. main kahi bhyabhit hain kya?rajanitik sangharsh main b.j.p. kahi nahi dikhayi pad rahi.kaise 40 seateen jitegi b.j.p.?ye sabhi mahatwapurn sawal hain Amit Shsah ke samane.kya ise unhe bataya ja sakega?sach bolana aour sach swikar karana b.j.p. ka charitra raha.kya b.j.p. sach ko swikar kar age badh sakegi?samya ibarat likhega.

KISANON KE KHILAF U.P. SARAKAR

U.P.sarakar ne ab punjivadi rasta akhatiyar kar liya.kheti main usane contract forming ki ijajat dedi.isaka arth yah hua ki ab kheti main niji kshetron  ki bhage dar badhegi.kisano ki bhumi niji kshetron ko patte par di ja sakati hai.batayidaron ko bhi bhumidharak kisano ki tarah hi adhikar diye ja sakate hain.yah kisano ki bhumi ko lootane ka naya hathyar hai.real state ke log to pahale hi kisano ko bhumi loot rahe,ab niji companiyan bhi kisano ki bhumi lootengi.kisano ko kitana labh hoga yah to batana kathin hai,lekin kisan paison ki lalach mai apane bhumi se hanth dho lenge,yag sahi hai.mulayam singh ka naya samajvad hai.jise punjivadi samajvad kah sakate hai.mulayam singh ji aour akhilesh yadav ji samajvadi nahi rahe,baniya aour byapari ban gaye,unhe keval ab labh dikhayi pad raha.kisan mare unase kya matalab?kisan apani jmeen garvi rakh de unase matalab.u.p. main ap kisani ko khatm karane ki sajish rach di gayi.up. main kisan mare jayenge.atmhatyawon ka dour shuru ho jayega.jameen na rahane se kisano ki pidhyan barbad ho jayengi.niji companiyon ko labh kamane kisano ka shosan karane ke raste khul jayega.jameen ka shoshn labh kamane ke liye hoga.ganv aour ganv ki sanskriti hi nast ho jayegi.I.P.L.ki tarah waha bhi spot fixing hogi.kya kare vipakshi dal?is kisan virodhi faisale ka ka virodh kyon nahi ho raha?kisan sangthan chup kyon hai?u.p. kisan bahul state hai.yaha ab kiasano ko hi mitane main sarakar tuli huyi.b.s.p. chup hai.b.j.p. to sansad se lekar sadak tak ladane ka yelan kar chuki.communist dal isake khilaf khade hain.is atmghati faisale ke khialf bhshan sangharsh ki jarurat hai.yah krishipradhan desh ke ijjat ka sawal hai.jo dal isame kisano ka sath dega wah labh payega.janta bhi contract forming ke paksh main nahi.isase annke dam badh jayege.bhukhmari aour badhegi.lanat hai is samajvadi sarakar par.

Saturday, 18 May 2013

BHRASTATA JIVAN KA ANG BAN GAYI BHARAT MAIN

Cricket ka khel khoobsurat khel hai.Duniya main isake karodo fan hain.Bharat mai to yah yuwaon ki dhadakan hai.Sachin ne isi khel ke madyam se Bhagawan ka daraja paya.Bharat main rashtravad ka darshan cricket se hota hai.Desh main aj kal I.P.L.chal raha.Pura desh diwanagi ke star par khada hai.Lekin sreesanth aour usake sathiyon ne jo kiya wah is khel par kalank ke saman hai.Bharat ki chavi dhumil ho gay hai.I.P.L.main satte ki ghatana ka asar global pada hai.Yah mana ja raha ki jivan ke har kshetra main bhartiya paisa pane ke liye kuch bhi anaitikata kar sakate hain.Bharat ab naitik desh nahi rah gaya hai.Budha,Gandhi,Vivekanand ka desh ab duniya ka sabase bada bhrast desh ban gaya hai.Yaha bhrastachar jivan ka avashyak ang ban chukka hai.Kya yah globalization ka prabhav hai?Kya yah hamare girate charitra ka prabhav hai?Paisa humari kamjori kab ban gayi yah pata hi nahi chala?pase ki chat ne sare rishton ko tat-tar kar diya.Paisa kamane ki hod ne hame itana niche gira diya ki ab hum khade hone ke layak hi nahi.Age kya hoga is desh ka?Age ki humari pidhi kya aour bhrast ho jayegi?kisaki galati hai yah?Kahan chuk huyi hamase?Kya desh se,sanskar se,pariwar se,naitikata se bada paisa ho gaya?Cricket ke is ghotale ne anek sawal ko janm diya hai.Humari rajaniti bhrast hai,humari sansthayen bhrast hain,humare dharmik karmkand bhrast ho rahe,siksha main bhrastata byapt hai,pryavaran main bhrstata bhar gayi hai.kaise hum is bhanwar jal se nikalenge?is par gambhirata se sochane ki jarurat hai.nahi to hum khatam ho jayenge.

Thursday, 16 May 2013

'MILON ABHI JANA HAI'-BHARAT NIRMAN KI JAI HO

congress ne desh ke liye yek theem song tayar kiya hai.jisaka nam hai'BHRAT NIRMAN'. isame gana hai 'MILON HUM AA GAYE HAIN,MILON ABHI JANA HAI'.maine isaka arth samajha aj.pichale 9 salon se kaha kaha hum milon aye hain.Baltkar main milon aye hain,Jhuth bolane main hum milon aye hai,Pakhandi banae main hum milon aye hain,Chatukarita karane main hum milon age aye hain,Napunsak banana main hum milon age aye hain,Apani atma bechane main hum milon age aye hain,Jivan ke har kshetra main bhrstachar badhane main hum milon age aye hain,Desh ke sansadhan lootane main hum milon age aye hain,Muslim tustikaran karane main hum milon age aye hain,Byawastha ko arajakata main dhakelane main milon hum age aye hain,Andhanukaran karane main hum milon age aye hain,China jase dushamano se darane hum milon age aye hain,Apane sainikon ka pakistaniyon dwara sir katane par munh chupa ke rone main hum milon age aye hain,Htyaron ki fouj khadi karane main milon hum age aye hain,Abetiyon ki hatya karane main hum milon age aye hain,Pariwarvad badhane main hum milon age aye hain,Lpktantra ko badanam karane main hum milon age aye hain,Sansadiya byawastha ko nestanabut karane main milon age aye hain,Desh main naitikata aour charitra ka patan karane main milon age aye hain,Bharat par nakali shiksha byawastha ladane main milon age aye hain,Mata-pita-bhayi-bahan ke pawitra rishton ko kalankit karane main milon age aye hain,Jativad,sampradayikata,swarthvad,bhashavad,kshetravad ko age badhane main milon age aye hain,kaha kaha ginaye kitana hum milon age aye hain.Ab bache khuche Bharat ko yek dam mitane ke liye hame abhi milon age jana hai.kya bat hai?sir ji.

Besharamon ka Desh ban gaya hai Bharat

Bharat ke khiladiyon ne I.P.L.main bharatiya cricket ke munh par kalikh pot diya.wah re sreesanth paise ke liye Desh ko badanam kar dala.i.p.l. main bhrastachar ki jade kitani gahari hain,yah samajh main ane laga hai.pahale lalit modi ne i.p.l. ko badanam kiya,ab sreesanth ne.sawal yah hai ki isame Rajeev shukla ki kya bhoomika hai?rajeev shukla to pahale se hi rajniti main madyasth ki boomika main rahe hain.patarakarita se dalali ke madyam sewe soniya ke khsamkhas bane,ab i.p.l ke madyam  se mach nahi fix kara rahe?sabaki janch ho rahi to unase bhi puchtach kyon nahi ho raha?i.p.l. ka yah mamala ab c.b.i. ko de dena chahiye.jisase desh ki ijjat bache.ab dekhiye.rail main bhrastachar,tel main bhrsatachar aour ab khel main bhrastachar.jivan ka ya desh ka koyi ang bhrastachar se bachana nahi chahiye.puri duniya hamare upar hans rahi.paise ke liye Hindustani kitana girenge?kya karenge paise juta ke?kab mar jayenge koun janata hai?paise ki lipsa ne desh ko heen bana diya.swarathi darapok bana diya.itana kayar bana diya ki chote chote desh bhi hame ankh dikha rahe.hum napunsak ki tarah tamasha dekh rahe.pichale 5 salon main desh ka charitra itana gira hai ki sharm ati hai.lekin desh ke besharmon ko koyi sharm nahi ati.chahe we rajniti main hon ya khel main.besharamon ka desh bana gaya hai yah desh.keval lutana,cori karana,dhokha dena hi yaha ka charitra ban gaya hai.ab dekhiye manmohan singh desh ke p.m. hain we janata ko face hi nahi karana chahte.karan munh main to bhrastachar ki kalikh puti hai,janata puchegi to kya jabab denge?yah bhi pata lagana chahiye ki kya sreesanth congress se to nahi jude hain?kyon ki pichale 5 varshon se cong. ne desh ko bhrast banana sikhaya hai.desh par balidan hona nahi.

Monday, 13 May 2013

Diggi ke bayan ka arth?

Aj Digvijay singh ne kaha ki 'agar cong. ko bahumat mila to abaki Rahul Gandhi P.M. honge'.yah yek mahatwapurn bayan hai.yek to cong.karnatak ki jit se ati utsahi hai.dusare cong. yah man chuki hai hai ki usake pichale 5 sal ke kam se janata khush hai.brastachar aour arajakata koyi mudda 2014 ke chunav main nahi hai.kranatak main cong.B.J.P. ke khilaf bhrastachar ke mudde par hi chunav lad rahi thi.cong. ko laga hai ki chunav ke parinam ne cong. ko imandar bataya hai,B.J.P.ko bhrast.apane ko imandar dikhane ke liye cong. ne ashwani kumar aour bansal ki bali le li.lekin kya yah cong. soch sahi hai?wastwa main karanatak main na B.J.P. hari hai na cong. jiti hai.B.J.P.ka apasi bataware ne b.j.p. ko waha hara diya.yadurappa ka 10% VOTE PANA CONG. KO BAHUMAT DILA DIYA.yadurappa ka mission hi tha b.j.p. harawo.we safal rahe.ab b.j.p. ko kranatak main yadurappa ke bina hi loksabha ka chunav ladana padega.lekin loksabha chunav main bhi cong ko bhari safalata milegi yah kahana kathin hai.yadurappa ko to kuch nahi milanewala.abhi 4 states main chunav hone hain.waha kya brsatachar mudda nahi rahega?kya waha bhi cong.brstachar ko mudda banayegi?shayad nahi.agar 4 states main bhi cong. karanatak jaisi jitati hai to diggi raja ki bat sahi hogi.agar waha fir cong.ki Gujarat jaisi sthiti hoti hai to cong.ko bahumat kaise milega?agar cong. ko bahumat nahi milega to Rahul Gandhi p.m. nahi honge.cong. agar jod tod kar fir satta main ati hai to kya fir manmohan hi p.m. honge?b.j.p to apasi ladayi main hi byast hai. waha to sarakar banana ke liye,bahumat jutane ke liye nahi,keval p.m. banane ke  liye ladayi chal rahi.diggi raja shayad isliye bayan de rahe ki 'na nou man tel hoga,na radha nachegi'.
 
 
 
Aj Digvijay singh ne kaha ki 'agar cong. ko bahumat mila to abaki Rahul Gandhi P.M. honge'.yah yek mahatwapurn bayan hai.yek to cong.karnatak ki jit se ati utsahi hai.dusare cong. yah man chuki hai hai ki usake pichale  5 sal ke kam se janata khush hai.brastachar aour arajakata koyi mudda 2014 ke chunav main nahi hai.kranatak main cong.B.J.P.par