Saturday, 18 May 2013

BHRASTATA JIVAN KA ANG BAN GAYI BHARAT MAIN

Cricket ka khel khoobsurat khel hai.Duniya main isake karodo fan hain.Bharat mai to yah yuwaon ki dhadakan hai.Sachin ne isi khel ke madyam se Bhagawan ka daraja paya.Bharat main rashtravad ka darshan cricket se hota hai.Desh main aj kal I.P.L.chal raha.Pura desh diwanagi ke star par khada hai.Lekin sreesanth aour usake sathiyon ne jo kiya wah is khel par kalank ke saman hai.Bharat ki chavi dhumil ho gay hai.I.P.L.main satte ki ghatana ka asar global pada hai.Yah mana ja raha ki jivan ke har kshetra main bhartiya paisa pane ke liye kuch bhi anaitikata kar sakate hain.Bharat ab naitik desh nahi rah gaya hai.Budha,Gandhi,Vivekanand ka desh ab duniya ka sabase bada bhrast desh ban gaya hai.Yaha bhrastachar jivan ka avashyak ang ban chukka hai.Kya yah globalization ka prabhav hai?Kya yah hamare girate charitra ka prabhav hai?Paisa humari kamjori kab ban gayi yah pata hi nahi chala?pase ki chat ne sare rishton ko tat-tar kar diya.Paisa kamane ki hod ne hame itana niche gira diya ki ab hum khade hone ke layak hi nahi.Age kya hoga is desh ka?Age ki humari pidhi kya aour bhrast ho jayegi?kisaki galati hai yah?Kahan chuk huyi hamase?Kya desh se,sanskar se,pariwar se,naitikata se bada paisa ho gaya?Cricket ke is ghotale ne anek sawal ko janm diya hai.Humari rajaniti bhrast hai,humari sansthayen bhrast hain,humare dharmik karmkand bhrast ho rahe,siksha main bhrastata byapt hai,pryavaran main bhrstata bhar gayi hai.kaise hum is bhanwar jal se nikalenge?is par gambhirata se sochane ki jarurat hai.nahi to hum khatam ho jayenge.

No comments:

Post a Comment