Secular shabd ab koyi sidhant nahi rah gaya.yah rajnitik swarthvad ka parinam ban gaya.Bharat Dharmik desh hain yaha adhikansh log Apane Dharm ke prati kattar hain. kya hindu,kya muslim,,kya Sikh,,kya isayi,kya jain,,kya boudh, sabhi apne dharm ko manate hain.isi main jab dharm pariwartan hota hai to vivad paida hota hai.inhi dharmom ke log sarakar aour rajnitik sansthaye chelate hain.kya rajnitik hone aour sarakar main hone matra se sab dharm se nirpeksh ho jate hain?Rajya sabhi Dharm ka samman kare kisi dharm ko age na badhaye,dharm nahi kanoon ke adhar bar byawastha chale yahi secular ka arth hai.Lekin jab B.J.P. se J.D.U. alag hua to P.M. ne Nitish ko secular hone ka certificate de diya.isaka matalab aj tak nitish secular nahi the,jab b.j.p. se alag huye tab secular huye.yah secularvad ka pakhandikaran hai.jo congress ke syh rahe wah secular jo na rahe wah communal.yah nayi paribhasha ayi hai.kya secular ab satta ki parbhasha se chalegi?tab to P.M. kud hi nahi secular hain kyon ki we Sikh dharm ka palan karate hain.soniya ji khud secular nahi hain kyonki we isayi dharm ka palan karati hain.kya ab lalu ydav secular nahi rahe?bharatya samvidhan ne secular ko paribhasit kiya hai.kya bhartiya samvidhan ka palan ho raha?secularism kya tustikaran bhi hai?nitish ne secular p.m. ke kahane par unhe dhanyvad diya.lagata hai ki unhe bahut badi safalata mil gayi.kya natak hai yah?kya janata ise samajh nahi rahi?ab secular shabd vote-bank ka adhar hai.koyi pawitra bhav nahi.bharatiya rajniti main jati aour secular itana mi gaye hain ki inka shudh roop ana kathin hai.
No comments:
Post a Comment