Bhagirathi ke tat par prasidh Dhari Devi ka aitihasik mandir tha.14-15 jun ko Bhagirathi hidro-project ke liye mandir aour pratima ko sthantrit karane ka faisal hua. Dhari Devi ki pratima ko wha se hata kar anyatra le jaya gaya.16-17 june ko Uttaranchal main pralya aya.Dhari Devi ki pratima aour pralaya ka kya samandh hai?yah janana avashyak hai.Dhari Devi ki pratima ki sthapana 800 sal pahale adi shankarachaya ne ki thi.kedar nath ji jate samay unhe swapn hua tha ki kedar nath ki yatra ka punya tabi hoga jab Shakti aour shiv ka sanyog hoga.Dhari Devi kali ka roop hain.Kali Shiv ki Shakti hain.skandh puran main kaha gaya hai ki shiv tabhi prasann hote hain jab kali ki aradhana ki jati hai.dono yek dusre ke bina adhure hain.kali bhi khappdwali hain.shiv bhi khappad wale hain.skandh puran main Dhari Devi ka varanan aya hai.Adi shankarcharya ne is pratima ki sthapana isliye ki thi ki pahado ki raksha ho.charo dhmki rsha ho. jo bhakt charo dham ki yatra Karen,devi unaki raksha Karen.kyon yah yatra tab bahut kathin thi.tab se aj tak dhari devi ki bagut manyata rahi.uttranchal sarakar ne Bhagirathi hidro pariyojana ke liye bina salah mashvera kiye mandir aour pratima ko sthanantrit karane ka faisala kiya.sadhu santo.,bhakat jano,shankarachaya ne isaka virodh kiya.lekin sarakar ki nirankusata ne yek na suni.wastatv main yah daivi prakop tha.dhari devi ki pratima ko sthanantarit karane se shiv ki narajagi swabhawik hai.yah parlay shiv ka hi prakop hai.ise ab desh ki pragaisheel midia aour sthaniya log bhi mukhar ho kahane lage hain.dhari devi ki ratima ko hatane ka krodh badh raha.hajaron logo ki jan gayi. sara ka sara kedar ghati tabah ho gaya.keval bachi shiv ki jyotirling aour Nandi ki pratima. yaha tak ki pandawon ki pratima bhi bah gayi.dev bhumi main devi ka apaman shiv nahi sahan kar sake.vigyan aour adhyatmikata main kabh kabhi vigyan purn asfal ho jata hai.vigyan tabhi tak safal hai jab tak devata aprasanna nahi hote.daiv Shakti vigyan se bhi badi sakti hai.vigyan jaha samapt hota hai daiv Shakti waha se shuru hoti hai.dhari devi bhi vgyan hi hain.we apada se Uttaranchal ki hamesha raksha karti rahi.aj se 130 sal pahale yek raja ne bhi dhari devi e mandir ki chat banawana chaha tha.devi ko chunouti di thi,us samaya bhi yahi hua tha.hum itihas ko nahi dekhate.itihas ki ghatanaon se sabak nahi lete.vikas ki andhi doud main hum adhyatmik shaktiyon ko bhul jate hain. parnam sabake samane hai.ab bhi cheen. dhari devi ki pratima jaha thi wahi sthapit kare.abhi puri barasat baki hai.kahi yah sthiti agar fir duharayi gayi to kya hoga.bharat adhyatmikata se alag hat kar vinash ko hi nimantran dega.
No comments:
Post a Comment