Rahul Gandhi ne desh main rajnitik naitik aour kanooni sankat paida kar diya. unhone dagi netawon ko bachane wale adhyadesh ko nonsence aour use fadane ka bayan de kar puri sanmvaidhanik sarakar ko kathghare main khada kar diya.unake bayan ka arth yah hai ki adhyadesh ke sath sath puri cabinet nonsence ki jamat hai usame p.m. bhi shamil hain.maja dekhiye jo cabinet mantri cabinet ki baithak main adhyadesh ke samarthan main muhar laga ke aye the rahul ke bayan ke bad sabhi apane hi nirnaya ke virodhi ho gaye.jab loksabha main dagiyon ko bachane wala vidheyak ayatha to usake paksh main rahul aour soniya ne bhi vote kiya tha.soniya aour rahul ki jankari main hi adhyadesh aour vidheyak aya.fir rahul ne virodh kyon kiya?president ne is adyadesh ke bare main jab sibbal se puchtach ki aour is par apani asahahmati byakt ki cong. ke kan khade huye.anan fanan main main rahul ko hero banane ke liye yah natak khela gaya. nadan congressiyon ko yah samajh hi nahi aya ki is natak se sarakar ke chahre par kya asr padega?rahul sarkar main kuch nahi hain.lekin we apani hi sarakar ke khilaf bagawat karate najar aye.sandesh yah gaya ki rahul soniya ke chatukaron se nakhush hain.ab cong. soniya aour rahul ke do gut ban gaye hain.cong. ko samajh hi nahi aa raha ki adhyadesh ko kya karen.wapas lete hain to puri sarkar ki chavi kharab hoti hai. nahi lete to rahul ki bat katati hai. Delhi main modi ne kaha ki rahul p.m. ki pagadi uchal di hai.sarakar main p.m. ki nahi chalati rahul ki chalati. hai.waise p.m. ne pahale kah diya ki we rahul ke netritwa main kam karana chahate hain.kya rahul ne p.m. ka apaman nahi kiya?jab we ammerica se loutenge to apani ijjat bachane ke liye istifa dene ke atirikt kya rasta bachega?nahi denge to kya unaki sthiti aour kamjor nahi hogi?yek kamjor p.m. ka tohamat unake upar pahale hi hai.kya isase yah nahi sidh hoga ki wastawa main we bahut kamjor hain?we p.m. nahi soniya aour rahul ke robote hain. asali p.m. to to rahul hi hain?manmohan ki koyi sthiti nahi hai?kya itani kamjor sarakar desh ko age le ja payegi?pakostan aour chaina ko jabab de payegi?desh ki arth byawawstha ko sankat se nikal payegi?desh ki rajniti main hasyaspad sthiti ban chuki hai.naye chunav se hi sthiti main badalawa aa payega.
This blog deals with social,political,cultural,and international issues.It is a window to my personal perspective.
Sunday, 29 September 2013
Sunday, 8 September 2013
u.p. sarakar puri tarah asafal
u.p. ke mujaffar nagar ke dange ne tathakathit dharmnirpekshata ki pol khol di.yah samradarik danga dharmnirpekshahvadiyon ki suniyojit chal hai.taki yek sampradaya ka vote bantane na paye.24 logo ka akhir kya gunah tha ki unhe anayas hi mout ke ghat utar diya gaya.u.p. ki sarakar danga rokane main puri btarah nakam rahi.ap andaja lagayiye kidanga kitana bhishan tha ki 10000 jawano ko ise rokane ke liye lagana pada.danga kaise shuru hua yah alag kahani hai.lekin isame krurata bahut huyi yah sach hai.yek patrakar ko bhi apane jan se hanth dhona pada.u.p. main sarakar ne kanoon byawastha ko puri tarah se barbad kar diya hai. log puri tarah asurakshit hai.sarakar keval laptop bant kar vote chah rahi.u.p. main danga,badh,kubyawastha ka bolbala hai.s.p. sarakar kendra maincong. ka samarthan kar rahi.to kya u.p. main hone walw pap ka bhagi cong. nahi hogi?yuwa c.m. ki shuru main khoob prashansha ki ja rahi thi.yuwa c.m. to'bandar kae hanth main ustara jaise hi dikhe'.yaisa lag hi nahi raha ki u.p. maim
n koyi c.m. hai.u.p. ko yek pita pita mulayam singh 3 chacha ram gopal,shiv pal aour azam khan mil kar chala rahe.puri sarakar kuntha ki shikar hai.use samajh hi nahi aa raha ki u.p. ko kaise chalaye.akhir jati ke gathbandhan par adharit sarakar to aisi hi hogi na....
n koyi c.m. hai.u.p. ko yek pita pita mulayam singh 3 chacha ram gopal,shiv pal aour azam khan mil kar chala rahe.puri sarakar kuntha ki shikar hai.use samajh hi nahi aa raha ki u.p. ko kaise chalaye.akhir jati ke gathbandhan par adharit sarakar to aisi hi hogi na....
Thursday, 25 July 2013
KRPAYA GAREEBON KA MAJAK UDANA BAND KAREN
Desh main gareebi rekha par bahas ho rahi.Tendulakar committee ne kaha pichale 9 sal main desh main 17 karod gareebi rekha se upar aa gaye hain.yani U.P.A.sarakar ne desh main gareebi hatane ka kam kiya hai.mujhe lagata hai ki ankado ki bajigari se cong.vote kamane ke jugad main lagi hai.kya desh ka gareeb in ankadon ko samajh payega?jise do joon ki roti bhi thik se nahi milati.kya badhati mangayi se gareebi ka koyi rista nahi hai?shahar main 33 rupaye kamane wala aour ganv main 28 rupaye kamane wala ameer ban gaya?akhir gareebi ka majak kkyn udaya ja raha?kya congg. cahati hai ki deshse gareebon ko hi samudra main baha diya jaye?isi ke sath cong. ne gareebi ke sath yek aour mjak udaya.Cong. ke prawakta Raj babbar ne kaha ki kaha hai gareebi?we to aj bhi Mumbai main 12 rupaye main bhar pet khana dal chawal sabji sahit khate hain.unase bhi age badhkar yek aour prawakta Rashid masood ne kah diya ki delhi mai jama masjid ilake main aj bhi 5 rupaye main bhar pet khana mil jata hai.we isase bhi kam main bhar pet kha lete hain.kya apako nahi lagata ki desh ki rajniti manasik diwaliyepan ka shikar ho chuki hai.raj babbar to balatakari abhineta rahe hain.balatkar karana unaka abhnaya hai.we gareebon ki asmita ke sath bhi balatkar kar sakate hain.lekin rasheed masood sahaeb kya 5 rupaye main yek boti bhi kha sakate hain?akhir kisako khush karane ke liye jhuth aour fareb ka sahara le rahe?kya soniya ji bhi chahti hain ki desh main greebon ka majak udata rahe?desh main gareebon ka koyi swabhman hai ki nahi?unake swabhman se khelane ka haq in congressiyon ko kisane diya?noutanki baj prawakatawon ki fouj khadi karane se kya satta mil jayegi?Indira ji ke jamane se hi gareebon ke sath majak kiya jata raha.greebi hatawo ka nara majak ke siva kuch nahi tha.Rajeev Gandhi ne bhi gareebon ka majak udaya tha.ab soniya aour Rahul ki congress bhi gaeebon ka majak udane main lag gayi hai.mahgayi se trast janta ko usase nijatdilane ki jagah sarakar geebi ko paribhashit karane par juti huyi hai.33 rupaye roj pane wala tathakathit ameerkya apane bachon ko thik se shiksha bhi dila payega?thik se usaka ilaj bhi kar payega?jab 5 rupaye main bhojan mil hi raha to khadya suraksha ke liye itana mara mari kyon?
Wednesday, 17 July 2013
BIHAR KE BACHO KA KYA DOS THA?
Bihar main kitana dardnak hua.Mid day meal kha ke 30 bache mar gaye.19 ki halat bahut kharab hai.kya pata unaka kya hoga?khane main jahar milane se ghtana ghati..24 ghanta nahi bita ki madhubani main bhi mid day meal kha kar 50 bache bimar ho gaye.Bihar main jab se purn secular sarakar ayi hai tab se sushasan ka kushasan dikhayi padane laga.itani jaldi Bihar ki gati kyon badal rahi?kya Bihar main sushaan B.J.P. ke karan tha?usake hatate hi bodh gaya main atankvadi ghatana hoti hai,kuch hi din bad bechare garrebon ke bache marane lagate hain.yekayek apa radh badh jata hai.jo nitish danke ki chot par chillate the bhigi billi bane patane main dubake huye hain.unaki himmat bhi midia ke samane ane ki nahi ho rahi.koyi aparadhi pakada nahi ja raha.chapar,patana ki sadakon par hinsa ka tandav hone laga.janata sadak par utarane lagi.congress wale jo nitish ka secularism par unaki prasansa karate the unhe hi dosi karar dene lage.jis lalu ki arajakata ke khilaf we satta main aye the,nitish swayam bhi arajakata ke shikar ho gaye.kitana dukhad hai ki 30 bache marate hain c.m. ki himmat nahi ki bacho ke pariwarwalon se mil sake unake ansu poch sake.kitani kayarata aour samvedanheenata hai yah.kya nitish itane krur hain?kya nitish ab bhi modi ko gali denge?wastawa main desh.kal,patra,mulya aour byawahar ka fark padata hi hai.jab se Bihar sarakar congress ke jal main fansi waha kaliyug ka agaman shuru ho gaya.congress to khud hi desh ke liye kaliyug ke roop main khadi hai.sat yug lane ke liye pariwaetan karana hoga.janata pariwartan chahati hai.wah isake liye taiyar bhi hai.ab kya hoga nitish ke 2014 ke mission ka?ye bache unhe mar dalenge.tab we kaise secular sarakar banawayenge?rajniti main ahankar ghatak hota hai.jidd khatarnak hota hai.viswas agar tutata hai to sab kuch khatam ho jata hai.KYA NITISH KO NAHI LAGATA KI WE HI AKELE BIHAR KE NIRDOSH BACHO KI HATYA KE JIMMEDAR HAIN?
Tuesday, 16 July 2013
MULAYAM KI BADALATI RAJNITI
Nehru-Gandhi ke vanshvad ke khilafniti shuru karane wale lohiawadi mulayam ssingh yadav ab dewsh ke sabase bade rajnitik dal ke mukhiya hain.Beta C.M. hai,khud P.M. banana ki chat hai.Lohiya to kahi gum ho gaye. pariwar ke kam se kam adha darjan sadasya sansad main hain.jo paida ho rahe we bhi sansad main jane ki chah lekar paida ho rahe.bharat ke rajnitik itihas main itana bada rajnitik pariwar koyi nahi hai.lagata is pariwar ka udyog hi rajniti hai.ghar ki mahilayen bhi rajniti main hain.jo koyi bacha hai wah 2014 ke chunav main sansad banana ka sapana pal rakha hai.Yadav biradari ke logo ke liye yah pariwarvad koyi mayane nahi rakhata. unaka parwarvad sangharsh ka pariwarvad hai.ab satta ka parwarvad ban chukka hai.pidhi dar pidhi rajniti main kud rahi.rajniti main vanshvad koyi naya nahi hai.wastawa main bharatiya loktantra hi vanshvadi lok tantra hai.Gandhi pariwar main keval 2 sansad hain.karunanidhi ke pariwar main1 ex c.m.,ex.dupity c.m.,ex.minister,saansad hain. badal pariwar main 3 sansad hain.amarindar ke pariwar mainex.c.m. sahit 2 sansad hain.abdulla pariwar main 2 neta hain.sindhia pariwar main 5 log rajniti main hain.veerbhadra ke kunabe main 2 log hain.iname se koyi bhi mulayam ko chunouti nahi de pa raha.mulayam ne apane parwar ke logo ko khoob age badhaya.usake bad bacha to karykarta age aye.yah samajhane ki jarurat hai ki janata kyon inhe samarthan deti hai.jativad ke samikaran ke adhar par rajniti karane wale mulayam o.b.c.- muslim gathjod ke adhar par age badhate hai.ab we hindu card bhi khelane lage.unhone ramjanm bhumi andolan main karyakartawon par jo golo chalawyi usake liye khed pragat kar rahe.kya we b.j.p. ke sath mil kar p.m. banana ka sapana pal rahe?adawani ki prasansa ko kya mana jaye?mulayam ko sarvoch shikhar par puchana hai.isake liye we kuch bhi kar sakate hain.ab we mulla mulayam bane rahana nahi chahte.we sarv manya neta banana banana chahte hain.isake liye sampradayikata koyi chij nahi hai.vote jaise mile wah wahi karana chahte hain.yah rajniti ki bidambana hai.
Monday, 15 July 2013
MAYAVATI KA COURT PAR GUSSA KITANA JAYAJ?
Mayavati ne court dwara jatigat ralliyon par lagi rok ka virodh kiya hai.unhone kaha ki jati par rok nahi dharm par rok honi chahiye.isliye r.s.s. aour viswa hindu parishad par rok lage.lekin unhone islami sangathan par rok ki bat nahi ki.we chahati hain ki hindu dharm par rok lage islam dharm par nahi.kya yah vibhajankari bat nahi hai?hindu dhram par rok lag jaye lekin islam dharm ke log unhe vote dete rahe yahi na unaki samajh hai?kyon nahi boudh dharm par rok lage?agar rok lagana hi hai to sabhi dharm par rok lagawayiye mayavati ji.keval hinduwon se hi apaka virodh kyon hain?yek taraf ap brahamano se shankhbajawa kar natak karati hain,dusari taraf ap hindu dharm par rok ki bat karati hain.koun apaki bat sunega?ap jati ka samarthan isliye karati hain ki apaki sari rajniti jatiya gathjod par adharit hai.jatigat rally band hone se kaise bhayi-chara ke nam par rally karengi?jativadi rajniti atamkvad se bhi adhik khatarnak hai.jativad hi sampradayikata aour muddon ko bhatakane ka maouka dei hai.unaka janm hi jativad par hua.ap yad kariye jab B.S.P. ne nara diya tha-TILAK,TARAJU AOUR TALWAR INAKO MARO JUTE CHAR' tab kya yah jativadi nara nahi tha?apane nara diya-BRAHAMAN SHNAKH BAJAYEGA HANTHI DOUDA JAYEGA' tab kya tha yah.mayavati keval daliton ko murkh bana kar apana ullu siddha karati rahi.anya jatiyon ko jod kar social engeniaring ka nam diya.unhone jatigat pronnati ki bat ki.dalit utpidan ke nam par sawarno ko jail bhijawaya.ab we court ko bhi chunouti dene lagi.kya bharatiya loktantra jatigat hai?ab we sarv samaj rally karengi.usame kya sarv samaj ke log jayenge?kya waha ydava jayenge?kurmi jayenge?ab kya savarn jatiyan jayengi?kase hoga sarv samaj?keval dalit samudaya ke log hi shayad jayenge.lekin dalit bhi to hindu hi hai.wh bhi wahi dharm apanata hai jo anya log.sabhi dalit boudh ya ambedakarvadi to hain nahi.sarv samaj bhi to jativadi hi hoga.kyonki waha keval yek hi jati ke log rahenge.B.S.P.jati nirapeksha ho kar kaise chal sakati hai?jab ki usaka sara adhar hi jatigat hai.Mayavati ka court par gussa isiliye jayaj hai.mayavati ki sari rajniti hi gadbad ho jayegi.jatigat rally par rok laga kar court ne desh ke loktantra par bada upakar kiya hai.yah yek krantikari kadam hai.isase rajniti main shudhata ayegi.
Mayavati ne court dwara jatigat ralliyon par lagi rok ka virodh kiya hai.unhone kaha ki jati par rok nahi dharm par rok honi chahiye.isliye r.s.s. aour viswa hindu parishad par rok lage.lekin unhone islami sangathan par rok ki bat nahi ki.we chahati hain ki hindu dharm par rok lage islam dharm par nahi.kya yah vibhajankari bat nahi hai?hindu dhram par rok lag jaye lekin islam dharm ke log unhe vote dete rahe yahi na unaki samajh hai?kyon nahi boudh dharm par rok lage?agar rok lagana hi hai to sabhi dharm par rok lagawayiye mayavati ji.keval hinduwon se hi apaka virodh kyon hain?yek taraf ap brahamano se shankhbajawa kar natak karati hain,dusari taraf ap hindu dharm par rok ki bat karati hain.koun apaki bat sunega?ap jati ka samarthan isliye karati hain ki apaki sari rajniti jatiya gathjod par adharit hai.jatigat rally band hone se kaise bhayi-chara ke nam par rally karengi?jativadi rajniti atamkvad se bhi adhik khatarnak hai.jativad hi sampradayikata aour muddon ko bhatakane ka maouka dei hai.unaka janm hi jativad par hua.ap yad kariye jab B.S.P. ne nara diya tha-TILAK,TARAJU AOUR TALWAR INAKO MARO JUTE CHAR' tab kya yah jativadi nara nahi tha?apane nara diya-BRAHAMAN SHNAKH BAJAYEGA HANTHI DOUDA JAYEGA' tab kya tha yah.mayavati keval daliton ko murkh bana kar apana ullu siddha karati rahi.anya jatiyon ko jod kar social engeniaring ka nam diya.unhone jatigat pronnati ki bat ki.dalit utpidan ke nam par sawarno ko jail bhijawaya.ab we court ko bhi chunouti dene lagi.kya bharatiya loktantra jatigat hai?ab we sarv samaj rally karengi.usame kya sarv samaj ke log jayenge?kya waha ydava jayenge?kurmi jayenge?ab kya savarn jatiyan jayengi?kase hoga sarv samaj?keval dalit samudaya ke log hi shayad jayenge.lekin dalit bhi to hindu hi hai.wh bhi wahi dharm apanata hai jo anya log.sabhi dalit boudh ya ambedakarvadi to hain nahi.
Subscribe to:
Posts (Atom)