Sunday, 14 July 2013

SECULARSM KE LIYE SAF MAN CHAHIYE

Aj Narendra Modi ne yek vivad ko fir janm de diya.unhone 'BURAKA SECULARISM' ki bat pune main uthayi.Be-padhe likhe patrakar aour bina dimag ke neta ise mudda banana main jut gaye.Ab ap hi batayiye BURKA,PARDA,GHUNGHAT main kya antar hai?kya vote ke lalachi logon ke liye shabd bhi secularism aour non-secularism ki seema main ane lage?tab to pura sahitya hi non-cecular ho gaya.kyonki hindi aour sankrit shabd communal ho gaye Urdu shabd secular ho gaye.buraka to Urdu shabd hai.. tab?desh main kya majal chal raha.midia ke bina padhe likhe aj ke log agar tab hote to patel.nehru,gandhi,tilak,vivekanand,dayanand,arvind,malviya ji,koutilya,manu,adi sabhi unake liye communal ho chuke hote.apani t.r.p. badhane ke liye midia kya khel kar rahi?we to khud hi sampradayikata faila rahe?modi virodhi to khiud hi hindu-muslim ko bant rahe?modi kya bol rahe log arth ka kya anarth laga rahe?Desh ki janata in murkhatawon par hans rahi.T.V. main chaehara dikhane ko hod machi hai.kya t.v. se hi vote milenge?aam janata modi ke bhasano ko kaisa le rahi is par bhi to dhyan dena chahiye.vote keval midiawale ya t.v. par anewale neta hi nahi dete,desh ki karodo janata deti hai.isase koyi vote-bank bhi nahi an raha.janata masakharon ka tamasha dekh rahi.Modi yek maje huye nirnayak neta hain.unhe pata hai ki unake yek-yek shabd par tufan machaya jayega.unhe apani bat janta tak pahuchane main madad milegi.so we yek yek shabd dicsenory se koj kar la rahe use we janata main paros de rahe.midia aour modi virodhi chillane lag rahe.bina kisi mehanat ke we janata ke dilpahuchate ja rahe.Rajnitik prachar ki yah vidhi bharat main bahut purani hai.ise sastrarth kaha jata tha.pahale sastrarth vidwonon main hota tha.ab yahyek bharatya atma ko samajhanewale rajnitik byakti aour murkhon main ho raha.janata manoranjan ho raha.kitane sirfire log midia aour rajniti main aa gaye yah dikhayi padane laga.Modi ke kahane ka arth yah tha ki secularism koyi chupa hua darshan nahi hai.use burka,para ya ghunghat main nahi rakha ja sakata.secularism jine ki yek kala hai.use jiya jata hai.use keval vote bank ke roop main nahi samajha ja sakata.secularism ko samajhane ke liye sf man chahiye.

No comments:

Post a Comment