Thursday 25 July 2013

KRPAYA GAREEBON KA MAJAK UDANA BAND KAREN

Desh main gareebi rekha par bahas ho rahi.Tendulakar committee ne kaha pichale 9 sal main desh main 17 karod gareebi rekha se upar aa gaye hain.yani U.P.A.sarakar ne desh  main gareebi hatane ka kam kiya hai.mujhe lagata hai ki ankado ki bajigari se cong.vote kamane ke jugad main lagi hai.kya desh ka gareeb in ankadon ko samajh payega?jise do joon ki roti bhi thik se nahi milati.kya badhati mangayi se gareebi ka koyi rista nahi hai?shahar main 33 rupaye kamane wala aour ganv main 28 rupaye kamane wala ameer ban gaya?akhir gareebi ka majak kkyn udaya ja raha?kya congg. cahati hai ki deshse gareebon ko hi samudra main baha diya jaye?isi ke sath cong. ne gareebi ke sath yek aour mjak udaya.Cong. ke prawakta Raj babbar ne kaha ki kaha hai gareebi?we to aj bhi Mumbai main 12 rupaye main bhar pet khana dal chawal sabji sahit khate hain.unase bhi age badhkar yek aour prawakta Rashid masood ne kah diya ki delhi mai jama masjid ilake main aj bhi 5 rupaye main bhar pet khana mil jata hai.we isase bhi kam main bhar pet kha lete hain.kya apako nahi lagata ki desh ki rajniti manasik diwaliyepan ka shikar ho chuki hai.raj babbar to balatakari abhineta rahe hain.balatkar karana unaka abhnaya hai.we gareebon ki asmita ke sath bhi balatkar kar sakate hain.lekin rasheed masood sahaeb kya 5 rupaye main yek boti bhi kha sakate hain?akhir kisako khush karane ke liye jhuth aour fareb ka sahara le rahe?kya soniya ji bhi chahti hain ki desh main greebon ka majak udata rahe?desh main gareebon ka koyi swabhman hai ki nahi?unake swabhman se khelane ka haq in congressiyon ko kisane diya?noutanki baj prawakatawon ki fouj khadi karane se kya satta mil jayegi?Indira ji ke jamane se hi gareebon ke sath majak kiya jata raha.greebi hatawo ka nara majak ke siva kuch nahi tha.Rajeev Gandhi ne bhi gareebon ka majak udaya tha.ab soniya aour Rahul ki congress bhi gaeebon ka majak udane main lag gayi hai.mahgayi se trast janta ko usase nijatdilane ki jagah sarakar geebi ko paribhashit karane par juti huyi hai.33 rupaye roj pane wala tathakathit ameerkya apane bachon ko thik se shiksha bhi dila payega?thik se usaka ilaj bhi kar payega?jab 5 rupaye main bhojan mil hi raha to khadya suraksha ke liye itana mara mari kyon?

Wednesday 17 July 2013

BIHAR KE BACHO KA KYA DOS THA?

Bihar main kitana dardnak hua.Mid day meal kha ke 30 bache mar gaye.19 ki halat bahut kharab hai.kya pata unaka kya hoga?khane main jahar milane se ghtana ghati..24 ghanta nahi bita ki madhubani main bhi mid day meal kha kar 50 bache bimar ho gaye.Bihar main jab se purn secular sarakar ayi hai tab se sushasan ka kushasan dikhayi padane laga.itani jaldi Bihar ki gati kyon badal rahi?kya Bihar main sushaan B.J.P. ke karan tha?usake hatate hi bodh gaya main atankvadi ghatana hoti hai,kuch hi din bad bechare garrebon ke bache marane lagate hain.yekayek apa radh badh jata hai.jo nitish danke ki chot par chillate the bhigi billi bane patane main dubake huye hain.unaki himmat bhi midia ke samane ane ki nahi ho rahi.koyi aparadhi pakada nahi ja raha.chapar,patana ki sadakon par hinsa ka tandav hone laga.janata sadak par utarane lagi.congress wale jo nitish ka secularism par unaki prasansa karate the unhe hi dosi karar dene lage.jis lalu ki arajakata ke khilaf we satta main aye the,nitish swayam bhi arajakata ke shikar ho gaye.kitana dukhad hai ki 30 bache marate hain c.m. ki himmat nahi ki bacho ke pariwarwalon se mil sake unake ansu poch sake.kitani kayarata aour samvedanheenata hai yah.kya nitish itane krur hain?kya nitish ab bhi modi ko gali denge?wastawa main desh.kal,patra,mulya aour byawahar ka fark padata hi hai.jab se Bihar sarakar congress ke jal main fansi waha kaliyug ka agaman shuru ho gaya.congress to khud hi desh ke liye kaliyug ke roop main khadi hai.sat yug lane ke liye pariwaetan karana hoga.janata pariwartan chahati hai.wah isake liye taiyar bhi hai.ab kya hoga nitish ke 2014 ke mission ka?ye bache unhe mar dalenge.tab we kaise secular sarakar banawayenge?rajniti main ahankar ghatak hota hai.jidd khatarnak hota hai.viswas agar tutata hai to sab kuch khatam ho jata hai.KYA NITISH KO NAHI LAGATA KI WE HI AKELE BIHAR KE NIRDOSH BACHO KI HATYA KE JIMMEDAR HAIN?

Tuesday 16 July 2013

MULAYAM KI BADALATI RAJNITI

Nehru-Gandhi ke vanshvad ke khilafniti shuru karane wale lohiawadi mulayam ssingh yadav ab dewsh ke sabase bade rajnitik dal ke mukhiya hain.Beta C.M. hai,khud P.M. banana ki chat hai.Lohiya to kahi gum ho gaye. pariwar ke kam se kam adha darjan sadasya sansad main hain.jo paida ho rahe we bhi sansad main jane ki chah lekar paida ho rahe.bharat ke rajnitik itihas main itana bada rajnitik pariwar koyi nahi hai.lagata is pariwar ka udyog hi rajniti hai.ghar ki mahilayen bhi rajniti main hain.jo koyi bacha hai wah 2014 ke chunav main sansad banana ka sapana pal rakha hai.Yadav biradari ke logo ke liye yah pariwarvad koyi mayane nahi rakhata. unaka parwarvad sangharsh ka pariwarvad hai.ab satta ka parwarvad ban chukka hai.pidhi dar pidhi rajniti main kud rahi.rajniti main vanshvad koyi naya nahi hai.wastawa main bharatiya loktantra hi vanshvadi lok tantra hai.Gandhi pariwar main keval 2 sansad hain.karunanidhi ke pariwar main1 ex c.m.,ex.dupity c.m.,ex.minister,saansad hain. badal pariwar main 3 sansad hain.amarindar ke pariwar mainex.c.m. sahit 2 sansad hain.abdulla pariwar main 2 neta hain.sindhia pariwar main 5 log rajniti main hain.veerbhadra ke kunabe main 2 log hain.iname se koyi bhi mulayam ko chunouti nahi de pa raha.mulayam ne apane parwar ke logo ko khoob age badhaya.usake bad bacha to karykarta age aye.yah samajhane ki jarurat hai ki janata kyon inhe samarthan deti hai.jativad ke samikaran ke adhar par rajniti karane wale mulayam o.b.c.- muslim gathjod ke adhar par age badhate hai.ab we hindu card bhi khelane lage.unhone ramjanm bhumi andolan main karyakartawon par jo golo chalawyi usake liye khed pragat kar rahe.kya we b.j.p. ke sath mil kar p.m. banana ka sapana pal rahe?adawani ki prasansa ko kya mana jaye?mulayam ko sarvoch shikhar par puchana hai.isake liye we kuch bhi kar sakate hain.ab we mulla mulayam bane rahana nahi chahte.we sarv manya neta banana banana chahte hain.isake liye sampradayikata koyi chij nahi hai.vote jaise mile wah wahi karana chahte hain.yah rajniti ki bidambana hai.

Monday 15 July 2013

MAYAVATI KA COURT PAR GUSSA KITANA JAYAJ?

Mayavati ne court dwara jatigat ralliyon par lagi rok ka virodh kiya hai.unhone kaha ki jati par rok nahi dharm par rok honi chahiye.isliye r.s.s. aour viswa hindu parishad par rok lage.lekin unhone islami sangathan par rok ki bat nahi ki.we chahati hain ki hindu dharm par rok lage islam dharm par nahi.kya yah vibhajankari bat nahi hai?hindu dhram par rok lag jaye lekin islam dharm ke log unhe vote dete rahe yahi na unaki samajh hai?kyon nahi boudh dharm par rok lage?agar rok lagana hi hai to sabhi dharm par rok lagawayiye mayavati ji.keval hinduwon se hi apaka virodh kyon hain?yek taraf ap brahamano se shankhbajawa kar natak karati hain,dusari taraf ap hindu dharm par rok ki bat karati hain.koun apaki bat sunega?ap jati ka samarthan isliye karati hain ki apaki sari rajniti jatiya gathjod par adharit hai.jatigat rally band hone se kaise bhayi-chara ke nam par rally karengi?jativadi rajniti atamkvad se bhi adhik khatarnak hai.jativad hi sampradayikata aour muddon ko bhatakane ka maouka dei hai.unaka janm hi jativad par hua.ap yad kariye jab B.S.P. ne nara diya tha-TILAK,TARAJU AOUR TALWAR INAKO MARO JUTE CHAR' tab kya yah jativadi nara nahi tha?apane nara diya-BRAHAMAN SHNAKH BAJAYEGA HANTHI DOUDA JAYEGA' tab kya tha yah.mayavati keval daliton ko murkh bana kar apana ullu siddha karati rahi.anya jatiyon ko jod kar social engeniaring ka nam diya.unhone jatigat pronnati ki bat ki.dalit utpidan ke nam par sawarno ko jail bhijawaya.ab we court ko bhi chunouti dene lagi.kya bharatiya loktantra jatigat hai?ab we sarv samaj rally karengi.usame kya sarv samaj ke log jayenge?kya waha ydava jayenge?kurmi jayenge?ab kya savarn jatiyan jayengi?kase hoga sarv samaj?keval dalit samudaya ke log hi shayad jayenge.lekin dalit bhi to hindu hi hai.wh bhi wahi dharm apanata hai jo anya log.sabhi dalit boudh ya ambedakarvadi to hain nahi.sarv samaj bhi to jativadi hi hoga.kyonki waha keval yek hi jati ke log rahenge.B.S.P.jati nirapeksha ho kar kaise chal sakati hai?jab ki usaka sara adhar hi jatigat hai.Mayavati ka court par gussa isiliye jayaj hai.mayavati ki sari rajniti hi gadbad ho jayegi.jatigat rally par rok laga kar court ne desh ke loktantra par bada upakar kiya hai.yah yek krantikari kadam hai.isase rajniti main shudhata ayegi.
Mayavati ne court dwara jatigat ralliyon par lagi rok ka virodh kiya hai.unhone kaha ki jati par rok nahi dharm par rok honi chahiye.isliye r.s.s. aour viswa hindu parishad par rok lage.lekin unhone islami sangathan par rok ki bat nahi ki.we chahati hain ki hindu dharm par rok lage islam dharm par nahi.kya yah vibhajankari bat nahi hai?hindu dhram par rok lag jaye lekin islam dharm ke log unhe vote dete rahe yahi na unaki samajh hai?kyon nahi boudh dharm par rok lage?agar rok lagana hi hai to sabhi dharm par rok lagawayiye mayavati ji.keval hinduwon se hi apaka virodh kyon hain?yek taraf ap brahamano se shankhbajawa kar natak karati hain,dusari taraf ap hindu dharm par rok ki bat karati hain.koun apaki bat sunega?ap jati ka samarthan isliye karati hain ki apaki sari rajniti jatiya gathjod par adharit hai.jatigat rally band hone se kaise bhayi-chara ke nam par rally karengi?jativadi rajniti atamkvad se bhi adhik khatarnak hai.jativad hi sampradayikata aour muddon ko bhatakane ka maouka dei hai.unaka janm hi jativad par hua.ap yad kariye jab B.S.P. ne nara diya tha-TILAK,TARAJU AOUR TALWAR INAKO MARO JUTE CHAR' tab kya yah jativadi nara nahi tha?apane nara diya-BRAHAMAN SHNAKH BAJAYEGA HANTHI DOUDA JAYEGA' tab kya tha yah.mayavati keval daliton ko murkh bana kar apana ullu siddha karati rahi.anya jatiyon ko jod kar social engeniaring ka nam diya.unhone jatigat pronnati ki bat ki.dalit utpidan ke nam par sawarno ko jail bhijawaya.ab we court ko bhi chunouti dene lagi.kya bharatiya loktantra jatigat hai?ab we sarv samaj rally karengi.usame kya sarv samaj ke log jayenge?kya waha ydava jayenge?kurmi jayenge?ab kya savarn jatiyan jayengi?kase hoga sarv samaj?keval dalit samudaya ke log hi shayad jayenge.lekin dalit bhi to hindu hi hai.wh bhi wahi dharm apanata hai jo anya log.sabhi dalit boudh ya ambedakarvadi to hain nahi.

Sunday 14 July 2013

DESH KI SURAKSHA KHATARE MAIN

Vote bank ki rajniti ne ab dseh ki antarik suraksha ko hi khatare main dal diya.Isharat jaha case mainI.B. adhikariyon ka nam ane se I.B. ne C.B.I. kosuchanaye dena band kar diya.dono ka samanwaya lagabhag tut gaya.ab atankvadi ghatanaon ki suchana agar i.b. c.b.i. ko nahi degi to kaise sarakar atankvadi ghatanawon se par payegi?desh ki antrik suraksha tabhi thik rahegi jab dono ka santulan rahega.dono hi Kendra sarakar ke adhin hai.ab dekhiye Kendra sarakar vote ke liye anrik suraksha se kitana khilawad kar rahi?desh ki antrik suraksha jaruri hai ki vot bank yah sawal kyon nahi uthaya ja raha?ishar kand ko desh se bada mana ja raha.abhi secular dal tathakathit ishar par to bol rahe lekin suraksha par moun hai.china lagatar ghuspaith kar raha is par chppi kyon hai?china ke jasus pakade ja rahe is par moun kyon hai?satta pane ki hod main desh ki suraksha byawastha se sarakar aour rajnitik dal sabhi khilwad kar rahe. Bihar ke bodh gaya main atankvadi ghatana huyi.abhi tak usak surag nahi mila.i.b. ne isase apana palla jhad liya.c.b.i. kuch kar nahi parahi.c.b.i. keval rajnaitik tour par hi sakriya ho pa rahi.grih mantrlaya ki itani arajak isthiti hogi to desh kaise surakshit rahega?chunav main isharat ko mudda banana ki kawayat chal rahi.lekin khataranak hoti desh ki suraksha ko mudda nahi banaya ja raha.jab tak desh surakshit nahi rahega tab tak rajniti ka kya matalab hoga?c.b.i. ne apane adhikariyon ko bachane ke liye i.b. ko hi vivad main dal diya hai.kya isaki jankari desh ke grihmantri ko nahi hai?p.m. is par hastaksep karane ki sthiti main nahi hain. kyonki unaki kuch nahi chalati.rahul aour soniya ko desh ki suraksha se matalab nahi,we game changer yojanawon ko le kar pareshan hain.unhe har hal main fir satta chahiye.satta ke liye we desh ki suraksha ko bhi danv par lagane ko taiyar hai.kya hoga desh ka?janata ko is par vichar karana chahiye.

SECULARSM KE LIYE SAF MAN CHAHIYE

Aj Narendra Modi ne yek vivad ko fir janm de diya.unhone 'BURAKA SECULARISM' ki bat pune main uthayi.Be-padhe likhe patrakar aour bina dimag ke neta ise mudda banana main jut gaye.Ab ap hi batayiye BURKA,PARDA,GHUNGHAT main kya antar hai?kya vote ke lalachi logon ke liye shabd bhi secularism aour non-secularism ki seema main ane lage?tab to pura sahitya hi non-cecular ho gaya.kyonki hindi aour sankrit shabd communal ho gaye Urdu shabd secular ho gaye.buraka to Urdu shabd hai.. tab?desh main kya majal chal raha.midia ke bina padhe likhe aj ke log agar tab hote to patel.nehru,gandhi,tilak,vivekanand,dayanand,arvind,malviya ji,koutilya,manu,adi sabhi unake liye communal ho chuke hote.apani t.r.p. badhane ke liye midia kya khel kar rahi?we to khud hi sampradayikata faila rahe?modi virodhi to khiud hi hindu-muslim ko bant rahe?modi kya bol rahe log arth ka kya anarth laga rahe?Desh ki janata in murkhatawon par hans rahi.T.V. main chaehara dikhane ko hod machi hai.kya t.v. se hi vote milenge?aam janata modi ke bhasano ko kaisa le rahi is par bhi to dhyan dena chahiye.vote keval midiawale ya t.v. par anewale neta hi nahi dete,desh ki karodo janata deti hai.isase koyi vote-bank bhi nahi an raha.janata masakharon ka tamasha dekh rahi.Modi yek maje huye nirnayak neta hain.unhe pata hai ki unake yek-yek shabd par tufan machaya jayega.unhe apani bat janta tak pahuchane main madad milegi.so we yek yek shabd dicsenory se koj kar la rahe use we janata main paros de rahe.midia aour modi virodhi chillane lag rahe.bina kisi mehanat ke we janata ke dilpahuchate ja rahe.Rajnitik prachar ki yah vidhi bharat main bahut purani hai.ise sastrarth kaha jata tha.pahale sastrarth vidwonon main hota tha.ab yahyek bharatya atma ko samajhanewale rajnitik byakti aour murkhon main ho raha.janata manoranjan ho raha.kitane sirfire log midia aour rajniti main aa gaye yah dikhayi padane laga.Modi ke kahane ka arth yah tha ki secularism koyi chupa hua darshan nahi hai.use burka,para ya ghunghat main nahi rakha ja sakata.secularism jine ki yek kala hai.use jiya jata hai.use keval vote bank ke roop main nahi samajha ja sakata.secularism ko samajhane ke liye sf man chahiye.

चुनाव में एक विवाद

Aj Narendra Modi ne yek vivad ko fir janm de diya.unhone 'BURAKA SECULARISM' ki bat pune main uthayi.Be-padhe likhe patrakar aour bina dimag ke neta ise mudda banana main jut gaye.Ab ap hi batayiye BURKA,PARDA,GHUNGHAT main kya antar hai?kya vote ke lalachi logon ke liye shabd bhi secularism aour non-secularism ki seema main ane lage?tab to pura sahitya hi non-cecular ho gaya.kyonki hindi aour sankrit shabd communal ho gaye Urdu shabd secular ho gaye.buraka to Urdu shabd hai.. tab?desh main kya majal chal raha.midia ke bina padhe likhe aj ke log agar tab hote to patel.nehru,gandhi,tilak,vivekanand,dayanand,arvind,malviya ji,koutilya,manu,adi sabhi unake liye communal ho chuke hote.apani t.r.p. badhane ke liye midia kya khel kar rahi?we to khud hi sampradayikata faila rahe?modi virodhi to khiud hi hindu-muslim ko bant rahe?modi kya bol rahe log arth ka kya anarth laga rahe?Desh ki janata in murkhatawon par hans rahi.T.V. main chaehara dikhane ko hod machi hai.kya t.v. se hi vote milenge?aam janata modi ke bhasano ko kaisa le rahi is par bhi to dhyan dena chahiye.vote keval midiawale ya t.v. par anewale neta hi nahi dete,desh ki karodo janata deti hai.isase koyi vote-bank bhi nahi an raha.janata masakharon ka tamasha dekh rahi.Modi yek maje huye nirnayak neta hain.unhe pata hai ki unake yek-yek shabd par tufan machaya jayega.unhe apani bat janta tak pahuchane main madad milegi.so we yek yek shabd dicsenory se koj kar la rahe use we janata main paros de rahe.midia aour modi virodhi chillane lag rahe.bina kisi mehanat ke we janata ke dilpahuchate ja rahe.Rajnitik prachar ki yah vidhi bharat main bahut purani hai.ise sastrarth kaha jata tha.pahale sastrarth vidwonon main hota tha.ab yahyek bharatya atma ko samajhanewale rajnitik byakti aour murkhon main ho raha.janata manoranjan ho raha.kitane sirfire log midia aour rajniti main aa gaye yah dikhayi padane laga.Modi ke kahane ka arth yah tha ki secularism koyi chupa hua darshan nahi hai

Thursday 4 July 2013

ISHARAT KE BAHANE RAJNITI

9 sal pahale ke isharat jaha muthbhed kand ka ab yekayek itana prachar kyon ho raha?desh main hajaron muthbhed hoti rahi hai.koyi farji to koyi sahi usaka itana prachar to kabhi nahi hua.jab koyi aparadhi ya atankvadi farji ya sahi muthbhed main mara jata hai to koyi ho halla nahi machata.ise kyon V.V.I.P.  muthbhed bataya ja raha?apako lagata nahi ki isake piche kuch pak raha ya paka hua rakha hai?kya is muthbhd ka rajnitik nihitarth hai?c.b.i. ne arop patra dakhil karane main 9 sal kyon laga diye? ishrat ke liye teesta jaisi manvadhiakarvadi kyon apni jan lagaye huye hain?itane logon ki hatya hoti hai kyon nahi teesta khadi hoti hain?kya isame c.b.i. ke durupayog ki bhi jhalak aa rahi?ishart agar atankvadi nahi thi to atankvadiyon ke sath kya kar rahi thi?kya atankvadiyon ke sath rahane wale bhi nirdos ho sakate hain?yek arop patra to dakhil ho gaya,dusare ko dakhil karne ki kya jarurat hai?yek hi main sab kuch kyon nahi?dusare main kya kusi aour ka nam bhi dala ja sakata hai?ye sabhi sawl hawa main tair rahe.gujarat ko har keemat par badanam karane ki purjor koshis ho rahi.is muthbhed se vote bank sadhane ki bhi koshis hai.gujarat ko muslim viroid karar dene ka bhi prayas hai.lekin isharat kand main muslim sangathan kyon chup hain?desh main I.B. aour police ka isase manobal nahi tutega?kyon koyi police adhikari atankavadi ya aparadhi se loha lega?desh main isharat kand ke bahane khoob rajniti ho rahi hai.yah thik nahi.yah yek tarah se aparadh ka rajnitikaran hai.desh bada hai ki isharat?is par vichar karne ki jarurat hai.'kante se kanta nikalana' rajya ki niti honi cahiye.isame koyi burayi nahi hai.kanoon bina bhaya se kam nahi kar sakata.agar ishrat atankvadiyon ke sath thi to wah nirdos kaise ho sakati hai? koyi aam adami ka deshdrohiyon ke sath kaise sambandh hoga?is tarah ki rajniti desh ke liye khatarnak sabit hoga.

Monday 1 July 2013

DESH KE LIYE KURBAN HOTE SENA KE JAWAN

Bharatiya sena ke jawan isliye apni jan kurban kar dete hain ki unake desh ke log khushahal jivan byatitkar saken.we apada mai desh ke logo ko rahat pahuchachte hain,unaki suraksha karate hain.sema par koyidushaman desh ke upar ankh na utha sake usake liye kuraban honeko tatpar rahate hain.kya koyi yah sochata hai ki we kaise jeete hain?hajaro jawan hamare desh ki azadi aour izzat bachane ke liye  jan ki baji laga deten hain.uttarakhand main sena ke jawano ne apni niswarth seva bhav ko dikhya.unake jajbe ko desh ne salam kiya.apani jan de kar bhi unhone logo ko marane nahi diya.sarakaron ki asfalata ke bawjood bhi unhone apane dayitwa ka purn nirwah kiya..lekin jo we tyag apane desh ,aour usake vasiyon ke liye karate hain kya usaki keemat koyi samajhata hai?sena we jawan hamare hi ghar ke bête hain.kahi bahar se ayat nahi kiye gaye hain.jab koyi jawan shaheed hota hai to usaki vedana usake ghar wale hi janate hain.usake mata.pita,bahan,bhayi,aour patni ya usaki santan hi janate hain.kya hum unake ansu poch pate hain?we jawan jo china,pakistan,ya atankvad se ladate shaheed huye,lekin apani bharat mata ka gourav kam nahi hone diya,we jawan jo kargil ki unchi pahadiyon barf ki chadar main dafan ho gaye,unhe sarkar aour desh ki janata kya de rahi?aj agar hum in jawano ki chinta nahi karenge to kya hum samvedanheen nahi mane jayenge?desh ke bhrast neta apane ko amar banana ke liye kya-kya chonchale karate hain.pakhandvad main ky kya natak rachate hain, samman pane ke liye fir bhi hame wah samman nahi milata.sena ke jawano ko desh itana samman aour suvidha de ki we apane ke liye sab kuch karane ka utsah pa sake.kayi log yah kahate sune jate hain chunki yahi unaki noukari hai isliye unhe yah sab karana hi padega.jo yah kahate hain we desh ke liye kya kurban hone ko taiyar hain?kya koyi neta seema par goli khane ja sakega?kya koyi udyogpati desh ke liye apana sab kuch kurban kar sakane ki himmat juta payega?kadapi nahi.sena main jane se aj ke yuwa parhej kyon kar rahe?kya desh ka yuwa veerata chod kar napunsakata ka jama hi pahanana chahta hai?desh main logo ke manovritti badalane ki jarurat hai.