Friday 31 May 2013

KENDRA MAIN SATTA KE DO KENDRON MAIN TAKARAW

Aj kal U.P.A. ki president soniya ji ki adhyakshata wali rastriya salahkar parishad vivad main hai.yah parisha soniya ji ki manpasand hai.unake pasandida log isame sadasya hain.lekin soniya ki pasandida samajik karyakarti ARUNA ROY ke istife se yah bat jor pakad rahi soniya aour manmohan ke bech darar badh rahi.Desh main is samay two power center hai.desh kisarakar chalane wale log isi main bante hain.manmohan ke log manmohan ke sath hain,soniya ke log soniya ke sath.matalab yah banti huyi sarakar hai.aruna roy ne sidhe manmohan par hamala kiya.kaha ki manmohan aj kal soniya ki yekdam nahi sunate.aruna roy ne kaha ki manrega main nuntam majaduri par soniya ki salah ko manmohan ne ansuni kar diya.wastawa main manmohan ab apni girati sakh ko bachane main lag gaye hain.we arthsashtri hain .desh ki badhati samasyawon ke liye we hi jimmedar mane ja rahe.soniya ji apani asafalata ka thikara manmohan ke sir par fodana chahti thi.manmohan ise samjh gaye.unhe pata hai ki 2014 tak unhe hataya nahi ja sakata.usake bad unhe koyi ummid nahi hai.we apane arthik agende ko thik dhang se lagu karana chah rahe.ab unhe soniya ki parwah bhi nahi.unhe pata hai ki RAHUL abhi p.m. ke yogya nahi hain.chdambaram hanth panv mar rahe hain.soniya ab p.m. banengi ki nahi is par sanshya hai.so Kendra main netritwa sanghrash chal raha.khadya surksha biil se cong.ummid pale huye hai.lekin kath ki handi kya bar bar chadhati hai?cash subsidi se mamala banata na dekh kar cong. chahti hai ki janata ke voton  ko kis tarah khareed liya jaye.usake liye anek yojanawon par kam ho raha.vipakshi dalon ko bhi manya ja raha.sansad ka vishesh adhivesan bulane par bat ho rahi.lekin in sab se kya fyada?ab bahut der ho chuki hai.janata ne jo man bana liya use 1 sal main badal dena kathin hai.cong. game changer plan chahti hai.lekin game kaise change hoga?game cong.ke hanth se dur jata dekh bechaini badh rahi.bhrastchar ka unake pas koyi jabab nahi hai.kamjor sarakar ka mulamma lag chukka hai.berojgari mahgayi pe janata naraj hai. modi ka kad badhata hi ja raha.b.j.p. apas main lad to rahi,lekin usaka koyi fayada cong. ko milega khana kathin hai.satta ke do kendron se desh ka ahit hi ho raha.
 

Thursday 30 May 2013

NAXALVADI BYAWASTHA PARIWARTAN HINSA SE CHAHTE HAIN,VIKAS NAHI CHAHTE

Conggress ke kanti lal bhuriya ne kaha ki jaha jaha B.J.P.ka shashan hai waha naxalvad badh raha hai.kyon ki waha vikas nahi ho raha.kitana behuda tark dete hain anpadh neta.kya odisa main b.j.p. ki sarakar hai?jharkhand main b.j.p. ki sarakar hai?bihar main b.j.p. ki sarakar hai?maharashtra main b.j.p. ki sarakar hai?u.p. main b.j.p. ki sarakar hai?kya in rajyon main naxalvad nahi hai?naxalvad kya party dekh apani barbarata kar rahi?inaka vikas se kya matalab hai?naxalvadi c.p.i. maovadi hain.we bartaman rajy byawastha ko hinsatmak tarike se badalana chahte hai.we bartman main chal rahi byawastha ko punjivadi manate hain.we globalization ke khilaf hain.we desh ki byawastha ko judiciary,excutive,sansad ko punjiwadiyon ka jamghat manate hain.we chahte hain ki puri byawastha unake hanth aa jaye.kyonki we hi sarwahara varg ki numaindagi karate hain.naxalvadi apane ko sarwaharavarg ka manate hain.we puri byawastha ka sarwaharakaran chahte hain.punjivad ka khatma chahate hain.we marx ke sampurn sidhant ko lagu karana chahte hain.desh main maovadi kranti lana chahte hain.in sabmain vikas aour party kaha hai?we loktantra ke khilf hain.unake janvad ka arth hai hinsa.jo janwad ka virodh kare usaka khatama,b.j.p. aour congress dono hi unake liye punjivadi hain.ab batayiye kaha hai vikas?chahe ap gareebi hatao kar lijiye,chahe ap adiwasiyon ko sari suvidha de dijiye we karenge hinsa hi.aduwasiyon ka vikas hona hi chahiye.unhe roji rojgar,shiksha milani chahiye.unhe bhukh se nijat milani chahiye.lekin naxalvadi to unaki ad main state ke khilaf vidroh kar rahe.lokatantra ka khatama karane pe tule huye hain.naxalvad teji se isliye badh raha ki sarakar unaka daman karane ki jagah unhe pal kar chunav main unaka upayog kar rahi.ye naxalvadi ya marxvadi nahi atankvadi aour desh drohi hain.inhe puchakarana khatarnak hai.inhe kuchalana hi rasta hai.agr abhi bhi nahi chete to halat aour badatar hogi.vinayak sen jaise,arundhati roy jaise naxalvadi samarthakon ko agar satta ka such milega,unhe byawastha main shamil kiya jayega to yahi hoga.aj kaha hainmanawadhikarvadi?bolati band kyon hai?

Wednesday 29 May 2013

SAMVEDANSHUNYATA KA MAHOUL

Sarakar ki samvedanheenata dekhiye,sukama main congressiyon ka naxaliyon ne narsanhar kiya.soniya ji aour Rahul ji waha pahuche.kuch ansu bahayi,lekin ye sabhi samvaidhanik pad par to hain nahi.bharat ke grihmantri ammerica chuttiyan manane gaye hain.unhe furasat hi nahi ki we is barbar ghatana par dhyan den.P.M.. ghatana ke turant bad japan chale gaye,farji dukh byakt karke.digvijaya singh ki bolati band hai.kayi congress sattebaji main nam na aa jaye isake liye guna ganit kar rahe.Jabki Britain main jab sainikon ki hatya huyi to waha ke p.m. sab kam chodkar desh lout aye.janata ke sath khade dikhe.desh ka manobal badhaya.bharat main jisako marana ho mare,jise marana ho mare hume keval khana purati karani hai ki rajniti chal rahi.sarakari samvedana ka hal yah hai.congess ka chattisgadh ka pura sanghatan hi chala gaya.congress balidani hone ka halla bhar kar rahe.jinake ghar maout huyi unaka hal chal.rakh rakhaw ki chunta karane ki furasat hi nahi.naxaliyon ne karama ke pariwar walon ko chetawani de di hai ki we 24 ghante main apana ganv chod den,is par bhi cong.sarakar ki koyi chinta nahi.kya yah desh samvedan shunya ho chukka hai?

NAXALVADIYON KE KHILAF AB TAK KYA KADAM UTHAYA GAYA?

Naxalvadiyon ko sarakar se koyi bhya nahi hai.unhone khuleaam hatya ki jimmedari le li hai.apani barbarata ko jayaj thaharaya hai.besharmon ki tarah pumplet chipakaye hain.b.j.p. aour cong dono ke netawon ki hatya ki fir dhamaki di hai.c.m. ko bhi sabak sikhane ki ghoshana ki hai.kya sarakar itani kamjor hai ki naxalvadiyon ko koyi dar nahi hai?kya sarakar ke bhitar se naxalvad ko samarathan mil raha?unhe sarakar ki taiyariyon ki suchana kaise mil rahi?5 din ho gaye htyakand ke sarakar ko to jaise lakawa mar chuka hai wah abhi bhi kuch karane ko taiyar nahi dikhati.sarakar ne ab tak jababi karywahi kya ki?salawa judum ke samarthakon ko to mita diya ab kise mitayenge?kise marenge?yah bhaya janata main fail raha.nxalvadiyon ke housale is kand ke bad buland huye hai.sarakar aour suraksha bal ke manobal gire huye hain.is sthiti main kaise hoga naxalvad ke khilaf ladayi?sarakar ke pas abhi tak koyi yojana nahi hai.rajanitik bayanbaji se kuch nahi hone wala.yek dusare ke khilaf jahar ugalane se kya naxalvad khatam hoga?in desh drohiyon se rajanitik taor par nahi nipata ja sakata.inake sath'kante se kanta' nikalane ki niti par chalana padega.mujhe dar hai ki kahi kisi anya rajya main bhi isase bada narsanhar na ho jaye?naxlvadiyon ko abhi tak dabaw main nahi laya ja saka hai.unake pas state se ladane ke liye bhari hathyar bhi hain.unaka suchana tantra sarakar se majboot hai.we jo chahe kar rahe.sarakare vote bank ke lalach main jababi kadam nahi utha pa rahi.desh chahiye ki vote bank yah tay karana padega.na s.p. bol rahi na b.s.p. na koyi anya dal.b.j.p. aour cong. bhi isake khilaf dabangayi se nahi bol rahe.lagata hai sab dare huye hain.bampanthyon kikoyi awaj abhi tak nahi ayi.kya we hatyakand ke samarthan main hain?vivekanand ke desh main marx aour lenin ka raj kaise chalega?kya china inaki madad kar raha?ab tak naxaliyon par jababi kayawahi ho jni chahiye tha.jitani der hogi utani hi sarakar ki kamjori samane ayegi.pahale inhe tatkal atankavadi ghoshit karana chahiye.desh ke khilaf vidroh karane saja ine milani chahie.bina kathor dand ke desh nahi chal sakata. nahi chal sakata.

Tuesday 28 May 2013

NAXALVAD DESH KE KHILAF VIDROH HAI.ISE KUCHALANA JARURI.

Chattisgadh main naxaliyon ne jo tandav machaya wah dil dahalane wala hai.chattisgadh ki puri cong.saf ho gayi.salawajudum ke karndhar bhi mare gaye.jis tarah yah hatyakand hua usase lagata hai ki naxali ki hatasha ke shikar hain.police aour suraksha balon par hamale se unaki mansa puri nahi ho pa rahi.ab we rajnitik dalon ke netawon par hamale ranniti par kam kar rahe.unake liye b.j.p. aour cong. main koyi antar nahi.keval we bampanthi netawon ko nahi chuenge.unhe is hatyakand ke bad bahut adhik midia main hype mil rahi.yah ghatana babbar khalasa aour bhindarawale ke ranniti ki taraha hai,we bhi Punjab main ugravadi andolan main rajnitiknetawon ko mar rahe the.kahi aisa to nahi ki desh ke sbhi atankvadi sangathanon ne hanth mila liye hain?chunav ke thik pahale is tarah ki ghinouni ghatana ka matalab kya hai?kya yah koyi sajish to nahi?atyadhunik hathiyar naxaliyon ko kaha se mil rahe?sarakar sena ki niyukti karane se kyon bach rahi?kendra sarakar rajya sarakaron se naxal mudde par samanwaya kyo nahi bitha rahi?kendra suraksha balon ko rajyon ki mang par kyon nahi bhej rahi?naxalvad ko atankvad ke saman kyon nahi mana ja raha?naxalvad ko samarathan de rahe boudhik varg ki pahachan kar unhe deshdrohi kyon nahi bataya ja raha?naxalvad par dhulmul rawaiye se kam nahi chalega.desh ko naxalvadi hinsa se bachane ke liye sabhi dalon ko apani rajnitik mahatwakancha chod kar thos kadam uthana padega.loktantra main kisi tarah ki hinsa jayaj nahi hai.naxalwadiyon se kisi tarah ka samjhouta thik nahi.unhe kuchala hi sahi upaya hai.usake liye sena ka upayog galat kaise ho sakata hai?naxalvadi hinsa ka byapar karate hain.unhe dhan chahiye.yah unhe kaha se mil raha.is par dhyan dene ki jarurat hai.isame videshi hanth bhi sambhav hai.yah desh ke khilaf vidroh hai.yak antarik sangharsh hai.naxalvad ko boudhik samarathan dene wale bhi deshdrohi hain.naxalvadiyon ke munh main khoon lag chukka hai,unake liye koyi sarakari yojana kargar nahi hogi.kripaya desh bachayiye.

Monday 20 May 2013

JANATA KI MANSHA KYA HAI?

Paschim ko hum apane desh ke lihaj se sahi nahi manate.paschim ke rajnitik aour anya sanskar hamase mail bhi nahi khate.lekin paschimi loktantra main naitikata ka agrah humare desh ki tulana main acha hai.waha ki sarakaren naitik agrah ko swikar karati hain.brastachar main lipt hone par bhi hum apane rajnetawon ko janch hone tak bhrastachari nahi mante.janch main hum lipa poti kara dete hain.fir janata un bhrstachariyon ko chun bhi leti hai.burayi ghatane ki jagah badhane lagata hai.bharat main anaitikata ko hi naitikata man liya jata hai.bharat vttiya anaitikata main Africa se bhi kharab halat main hai.kya bharatya byawastha charmara chuki hai?karj ke sankat se paschim jujh raha hai.unhone kale dhan ke khilaf abhiyan hi chala rakha hai.bharat main kale dhan ko samane lane ke liye andolan chal raha.sarakar is par kan hi nahi nahi de rahi.jitana kala dhan humara videsh main hai wah aa jaye to desh ki disha hi badal jaye.chunki isame rajnitik shamil hain isaliye yah ho hi nahi pa raha.hamare yaha desh se bada byaktigat dhan ho gaya hai.yah khtaranak sanket hai.kya u.p.a. sarakar apani asafaltawon main bhrastachar ko ginegi?manmohan sarakar is par bat karane ko taiyar nahi.kya janata ise bhulane ko taiyar hai?

Sunday 19 May 2013

U.P. MAIN B.J.P. KA HAL.KAISE HOGA UDDHAR?

Gujarat ke Amit Shah ko u.p. b.j.p. ki bagdor di gayi hai.chunouti hai b.j.p. ko u.p. main ubarana.isaka matalab yah hai ki u.p. ko Modi ke prabhav kshetra main lane ki koshish hai.Varun Gandhi ko u.p. main sakriya kar pahale hi b.j.p. ne apani mansha jata di hai.Lagata hai b.j.p. ke kendriya netritwa ko ab ja ke u.p. ki chinta satane lagi hai.yah sahi hai ki u.p. ko jite bina b.j.p.kendra ki satta nahi hasil kar payegi.u.p. main loksabha ki 40 seaten jitana jaruri hai.lekin aj ke mahoul main kaise jitegi?u.p. ke purine netawon main ab wah charm raha kya?naye netawon ki viswasaniyata sthapit ho gayi kya?u.p. main b.j.p. sangathan main purani wali jan hai kya?kyon karaykarata hatash aour nirash hai?usame utsah ki girawat kyon hai?b.j.p. sadakon par kah dikhati hai?b.j.p. to sadak aour karyakaratawon ke tapasya ki party hai.karyakaratawon ka viswas u.p. ke netawon main kyon ghata hai?chatukar kism ke log,ganesh parkrama karake sangathan main sthan pa ja rahe.we karyakaratawon ka man bhi nahi jit pa rahe,sanghrashsheel karyakaratawon ko jagah kyon nahi mil pa rahi?pradseh main janata ko khakjhoranewale mudde kyon nahi talashe ja rahe?jab neta A/C camare se nikalenge nahi,tapati dhup main khoon sukhayenge hi nahi to karyakaratawon ka viswas kaise loutega?kya sangharsh karana,lathi khana,jail jana,bahaduri se ladana bhul gaye?jab bahaduri bhulenge.kurabani bhulenge to kaise b.j.p. khadi hogi?jatigat samikarano ko bithane kya milega?jativadi dal pahale se hi moujood hain.rashtravad ke mudde kyon bhula diye gaye?jab tak b.j.p. aour anya dalon main antar nahi dikhega b.j.p. ke prati logo ka rujhan kaise badhega?sangthan ki susti b.j.p. ko barbad kar rahi.s.p. ,b.s.p. cong. b.j.p. se u.p. main kahi bhyabhit hain kya?rajanitik sangharsh main b.j.p. kahi nahi dikhayi pad rahi.kaise 40 seateen jitegi b.j.p.?ye sabhi mahatwapurn sawal hain Amit Shsah ke samane.kya ise unhe bataya ja sakega?sach bolana aour sach swikar karana b.j.p. ka charitra raha.kya b.j.p. sach ko swikar kar age badh sakegi?samya ibarat likhega.

KISANON KE KHILAF U.P. SARAKAR

U.P.sarakar ne ab punjivadi rasta akhatiyar kar liya.kheti main usane contract forming ki ijajat dedi.isaka arth yah hua ki ab kheti main niji kshetron  ki bhage dar badhegi.kisano ki bhumi niji kshetron ko patte par di ja sakati hai.batayidaron ko bhi bhumidharak kisano ki tarah hi adhikar diye ja sakate hain.yah kisano ki bhumi ko lootane ka naya hathyar hai.real state ke log to pahale hi kisano ko bhumi loot rahe,ab niji companiyan bhi kisano ki bhumi lootengi.kisano ko kitana labh hoga yah to batana kathin hai,lekin kisan paison ki lalach mai apane bhumi se hanth dho lenge,yag sahi hai.mulayam singh ka naya samajvad hai.jise punjivadi samajvad kah sakate hai.mulayam singh ji aour akhilesh yadav ji samajvadi nahi rahe,baniya aour byapari ban gaye,unhe keval ab labh dikhayi pad raha.kisan mare unase kya matalab?kisan apani jmeen garvi rakh de unase matalab.u.p. main ap kisani ko khatm karane ki sajish rach di gayi.up. main kisan mare jayenge.atmhatyawon ka dour shuru ho jayega.jameen na rahane se kisano ki pidhyan barbad ho jayengi.niji companiyon ko labh kamane kisano ka shosan karane ke raste khul jayega.jameen ka shoshn labh kamane ke liye hoga.ganv aour ganv ki sanskriti hi nast ho jayegi.I.P.L.ki tarah waha bhi spot fixing hogi.kya kare vipakshi dal?is kisan virodhi faisale ka ka virodh kyon nahi ho raha?kisan sangthan chup kyon hai?u.p. kisan bahul state hai.yaha ab kiasano ko hi mitane main sarakar tuli huyi.b.s.p. chup hai.b.j.p. to sansad se lekar sadak tak ladane ka yelan kar chuki.communist dal isake khilaf khade hain.is atmghati faisale ke khialf bhshan sangharsh ki jarurat hai.yah krishipradhan desh ke ijjat ka sawal hai.jo dal isame kisano ka sath dega wah labh payega.janta bhi contract forming ke paksh main nahi.isase annke dam badh jayege.bhukhmari aour badhegi.lanat hai is samajvadi sarakar par.

Saturday 18 May 2013

BHRASTATA JIVAN KA ANG BAN GAYI BHARAT MAIN

Cricket ka khel khoobsurat khel hai.Duniya main isake karodo fan hain.Bharat mai to yah yuwaon ki dhadakan hai.Sachin ne isi khel ke madyam se Bhagawan ka daraja paya.Bharat main rashtravad ka darshan cricket se hota hai.Desh main aj kal I.P.L.chal raha.Pura desh diwanagi ke star par khada hai.Lekin sreesanth aour usake sathiyon ne jo kiya wah is khel par kalank ke saman hai.Bharat ki chavi dhumil ho gay hai.I.P.L.main satte ki ghatana ka asar global pada hai.Yah mana ja raha ki jivan ke har kshetra main bhartiya paisa pane ke liye kuch bhi anaitikata kar sakate hain.Bharat ab naitik desh nahi rah gaya hai.Budha,Gandhi,Vivekanand ka desh ab duniya ka sabase bada bhrast desh ban gaya hai.Yaha bhrastachar jivan ka avashyak ang ban chukka hai.Kya yah globalization ka prabhav hai?Kya yah hamare girate charitra ka prabhav hai?Paisa humari kamjori kab ban gayi yah pata hi nahi chala?pase ki chat ne sare rishton ko tat-tar kar diya.Paisa kamane ki hod ne hame itana niche gira diya ki ab hum khade hone ke layak hi nahi.Age kya hoga is desh ka?Age ki humari pidhi kya aour bhrast ho jayegi?kisaki galati hai yah?Kahan chuk huyi hamase?Kya desh se,sanskar se,pariwar se,naitikata se bada paisa ho gaya?Cricket ke is ghotale ne anek sawal ko janm diya hai.Humari rajaniti bhrast hai,humari sansthayen bhrast hain,humare dharmik karmkand bhrast ho rahe,siksha main bhrastata byapt hai,pryavaran main bhrstata bhar gayi hai.kaise hum is bhanwar jal se nikalenge?is par gambhirata se sochane ki jarurat hai.nahi to hum khatam ho jayenge.

Thursday 16 May 2013

'MILON ABHI JANA HAI'-BHARAT NIRMAN KI JAI HO

congress ne desh ke liye yek theem song tayar kiya hai.jisaka nam hai'BHRAT NIRMAN'. isame gana hai 'MILON HUM AA GAYE HAIN,MILON ABHI JANA HAI'.maine isaka arth samajha aj.pichale 9 salon se kaha kaha hum milon aye hain.Baltkar main milon aye hain,Jhuth bolane main hum milon aye hai,Pakhandi banae main hum milon aye hain,Chatukarita karane main hum milon age aye hain,Napunsak banana main hum milon age aye hain,Apani atma bechane main hum milon age aye hain,Jivan ke har kshetra main bhrstachar badhane main hum milon age aye hain,Desh ke sansadhan lootane main hum milon age aye hain,Muslim tustikaran karane main hum milon age aye hain,Byawastha ko arajakata main dhakelane main milon hum age aye hain,Andhanukaran karane main hum milon age aye hain,China jase dushamano se darane hum milon age aye hain,Apane sainikon ka pakistaniyon dwara sir katane par munh chupa ke rone main hum milon age aye hain,Htyaron ki fouj khadi karane main milon hum age aye hain,Abetiyon ki hatya karane main hum milon age aye hain,Pariwarvad badhane main hum milon age aye hain,Lpktantra ko badanam karane main hum milon age aye hain,Sansadiya byawastha ko nestanabut karane main milon age aye hain,Desh main naitikata aour charitra ka patan karane main milon age aye hain,Bharat par nakali shiksha byawastha ladane main milon age aye hain,Mata-pita-bhayi-bahan ke pawitra rishton ko kalankit karane main milon age aye hain,Jativad,sampradayikata,swarthvad,bhashavad,kshetravad ko age badhane main milon age aye hain,kaha kaha ginaye kitana hum milon age aye hain.Ab bache khuche Bharat ko yek dam mitane ke liye hame abhi milon age jana hai.kya bat hai?sir ji.

Besharamon ka Desh ban gaya hai Bharat

Bharat ke khiladiyon ne I.P.L.main bharatiya cricket ke munh par kalikh pot diya.wah re sreesanth paise ke liye Desh ko badanam kar dala.i.p.l. main bhrastachar ki jade kitani gahari hain,yah samajh main ane laga hai.pahale lalit modi ne i.p.l. ko badanam kiya,ab sreesanth ne.sawal yah hai ki isame Rajeev shukla ki kya bhoomika hai?rajeev shukla to pahale se hi rajniti main madyasth ki boomika main rahe hain.patarakarita se dalali ke madyam sewe soniya ke khsamkhas bane,ab i.p.l ke madyam  se mach nahi fix kara rahe?sabaki janch ho rahi to unase bhi puchtach kyon nahi ho raha?i.p.l. ka yah mamala ab c.b.i. ko de dena chahiye.jisase desh ki ijjat bache.ab dekhiye.rail main bhrastachar,tel main bhrsatachar aour ab khel main bhrastachar.jivan ka ya desh ka koyi ang bhrastachar se bachana nahi chahiye.puri duniya hamare upar hans rahi.paise ke liye Hindustani kitana girenge?kya karenge paise juta ke?kab mar jayenge koun janata hai?paise ki lipsa ne desh ko heen bana diya.swarathi darapok bana diya.itana kayar bana diya ki chote chote desh bhi hame ankh dikha rahe.hum napunsak ki tarah tamasha dekh rahe.pichale 5 salon main desh ka charitra itana gira hai ki sharm ati hai.lekin desh ke besharmon ko koyi sharm nahi ati.chahe we rajniti main hon ya khel main.besharamon ka desh bana gaya hai yah desh.keval lutana,cori karana,dhokha dena hi yaha ka charitra ban gaya hai.ab dekhiye manmohan singh desh ke p.m. hain we janata ko face hi nahi karana chahte.karan munh main to bhrastachar ki kalikh puti hai,janata puchegi to kya jabab denge?yah bhi pata lagana chahiye ki kya sreesanth congress se to nahi jude hain?kyon ki pichale 5 varshon se cong. ne desh ko bhrast banana sikhaya hai.desh par balidan hona nahi.

Monday 13 May 2013

Diggi ke bayan ka arth?

Aj Digvijay singh ne kaha ki 'agar cong. ko bahumat mila to abaki Rahul Gandhi P.M. honge'.yah yek mahatwapurn bayan hai.yek to cong.karnatak ki jit se ati utsahi hai.dusare cong. yah man chuki hai hai ki usake pichale 5 sal ke kam se janata khush hai.brastachar aour arajakata koyi mudda 2014 ke chunav main nahi hai.kranatak main cong.B.J.P. ke khilaf bhrastachar ke mudde par hi chunav lad rahi thi.cong. ko laga hai ki chunav ke parinam ne cong. ko imandar bataya hai,B.J.P.ko bhrast.apane ko imandar dikhane ke liye cong. ne ashwani kumar aour bansal ki bali le li.lekin kya yah cong. soch sahi hai?wastwa main karanatak main na B.J.P. hari hai na cong. jiti hai.B.J.P.ka apasi bataware ne b.j.p. ko waha hara diya.yadurappa ka 10% VOTE PANA CONG. KO BAHUMAT DILA DIYA.yadurappa ka mission hi tha b.j.p. harawo.we safal rahe.ab b.j.p. ko kranatak main yadurappa ke bina hi loksabha ka chunav ladana padega.lekin loksabha chunav main bhi cong ko bhari safalata milegi yah kahana kathin hai.yadurappa ko to kuch nahi milanewala.abhi 4 states main chunav hone hain.waha kya brsatachar mudda nahi rahega?kya waha bhi cong.brstachar ko mudda banayegi?shayad nahi.agar 4 states main bhi cong. karanatak jaisi jitati hai to diggi raja ki bat sahi hogi.agar waha fir cong.ki Gujarat jaisi sthiti hoti hai to cong.ko bahumat kaise milega?agar cong. ko bahumat nahi milega to Rahul Gandhi p.m. nahi honge.cong. agar jod tod kar fir satta main ati hai to kya fir manmohan hi p.m. honge?b.j.p to apasi ladayi main hi byast hai. waha to sarakar banana ke liye,bahumat jutane ke liye nahi,keval p.m. banane ke  liye ladayi chal rahi.diggi raja shayad isliye bayan de rahe ki 'na nou man tel hoga,na radha nachegi'.
 
 
 
Aj Digvijay singh ne kaha ki 'agar cong. ko bahumat mila to abaki Rahul Gandhi P.M. honge'.yah yek mahatwapurn bayan hai.yek to cong.karnatak ki jit se ati utsahi hai.dusare cong. yah man chuki hai hai ki usake pichale  5 sal ke kam se janata khush hai.brastachar aour arajakata koyi mudda 2014 ke chunav main nahi hai.kranatak main cong.B.J.P.par

Thursday 2 May 2013

bharat sarakar jabab kyon nahi deti?

Pakistan dwara sabarjit ki jail main hatya ne desh main kayi sawal chode hain.agar ammerica Pakistan main ghuskar Laden ko apane desh main kiye gaye aparadh ke liye dandit kar sakata hai to bharat main kya itani himmat nahi ki wah bhi kuch kar sake?pakistan ki jail main band bharat ke logon ke prati Pakistan ka byawahar amanyiya hai.to bharat ki jailon main band pakistaniyon ke sath manviya byawahar kyon?jab bharat ke khilaf Pakistan main itani ghrina ka bhav hai to Pakistan ke sath bar-bar dosti ka hanth kyon badhaya jata hai?pakistan  ne 3 bharatya sainikon ka garden kat liya tab bhi bharat sarakar ki ankh kyon nahi khuli?sarakar kya pakistaniyon dwara bharatiya nagrikon  marawane ka keval theka le liya hai?kya bharat is mamale par kutnitik tour se asfal nahi hua?kya bharat aour Pakistan ke riston ki nayi paribhasha taya karane ka samay nahi aa gaya hai?bharat ke logon par Pakistan julm dhata rahe,sarakar keval arthik madad ke nam par apana palla jhadati rhe?kya bharat sarkar yah samajh pa rahi ki sabarjit ki hatya bhi Islamic atankvad ka hi yek roop hai?bharat ki vipakshi party bhi sabajit ke mamale main asafal huyi hai,kya wah desh main Pakistan ke khilaf janata ko jagrit karane ka koyi kam karegi?sabarjit ki rihayi na ho sake isliye hi usaki hatya i.s.i. nae jail main karawayi.fir use sahi ilaj nahi diya gaya.waha ke intenational human rightist ne sabarjit ke pariwar se usako chudane ke liye karodo rupaye mange.kya international human rightist human right ke nam par dhandha nahi kar rahe?kya bharat sarkar in par ankush lagayegi?china aour Pakistan main milibhagat hai.china seema par bharat ki jameen hadap raha,pakistan bharatiyon ki hatya kar raha.kyasarakar is gathbandhan ki sajish ko samajh pa rahi?isaka jabab janata sarakar se mang rahi.

Rajaniti main girawat ka dour

Bharatiya rajaniti main lagatar girawat ka dour jari hai.isaka karan yah hai kijin netawon ko janata chun rahi wesabhidesh ko nahi janate.unaki samajh khokhali hai.we apane ko midia main bane rahane ke liye sari haden par kar rahe.ya yon kahiye ki midia unhe aisa karane ke liye majaboor kar rahi.apani T.R.P. dhane ke liye.ab lohiya,vajpeyee,madhu limaye, ya boudhik netawon ka desh main akal hai.jo neta hain we lagabhag anpdh aour janawaron ki sanskriti ka parchaya de rahe.arop pratyarop main neta yek dusare se badala lene aour yek dusare ko neecha dikhane main lage huye hain.rajnitik dalon ke prawakata ko bhi itani samjh nahi ki kya bole.unaki bhasha ashobhaniya hai,rajanitik dal se yah apeksha ki jati hai ki we desh ke logon ko prashikshit karenge,janata unaki bhasha sharmsar ho rahi. janata ab netawon ke bayano ko dhyan hi nahi deti.use lagata hai ki sabhi jhuth bolate hain.rajaniti keveal snsetion faial kar nahi ki jati,wah tikau nahi hoti.s baton par hi janta viswas kar payegi.desh ke bade dal congress ke mukhiya soniya aour Rahul to kuch khas bolate hi nahi.unhe jo sikhaya jata hai wahi bolate hai.unake pas desh ko samjhane ka madda nahi.bina desh ko samajhe apki bat koun sunega?isiliye rajniti main anubhav ki bat mahatwapurn ho jati hai.nousikhuwon se rajniti dur tak nahi ja sakati.is sansad main jitane bhi yua sansad de unka sansad main record kaisa tha?yah samajhana padega.lagata hai ki sabhi lagabhag asafal hi rahe hain.unhone na to yuwawon ko prerit kiya,na koyi kargar sandesh hi de paye.tab yua yua chillane ka kya matalab?yuawon ko kathin training ki jarurat hai.tab ja kar acha netritwa banega.bharat main rajniti dhan kamane ka madhyam nahi hai,seva aour vikas tatha desh ko majaboot karane ka madhyam hai.kya aisa ho pa raha?

sarakar kayar

mulayam singh ji ne sarakar ko kayar aour napunsak kaha.china ke mamale unhone kaha ki yadi desh ki seema ki suraksha ke liye yudh karana bhi pade to karana chahiye.mulayam ji bat to achi kar rahe.lekin keval bat hi bat.we sarakar ke samarthak hain.unake bina sarakar chal nahi sakati.kya we sarakar par dabaw dalane ki sthiti main bhi nahi hain?sarakar kya unaki sun bhi nahi rahi?

Bharatiya loktantra khatarnak sthiti main

Bharat main koyala ghotale ko lekar supreme court ki tippani se loktantra khatare main padata dikhayi pad raha/nyayapalika karyapalika par kathor tippani kar raha lagatar.vidhayika kayapalika ka chatukar bana hua hai.koyale ki kalikh se c.b.i. aour sarakar dono ka munh kala hua hai.janch main nispakshata par sawal uth rahe.court ki tippani se lagata hai ki c.b.i. nispaksh nahi hai.mayavati ke mamale main court ne c.b.i. ko janch ke liye swatantra ghoshit kiya hai.sarakar bachane ke liye cong.mayavati ko apana asan huhara bana sakati hai.c.b.i. ka dar dikhar cong.mayavati ka samarthan pa sakati hai.mayavati ki himmat nahi wah sarakar ke khilaf ja sake.yahi halat mulayam ki bhi hai.kya desh ki sarakar ab c.b.i. chalayegi?isiliye court ne kaha ki c.b.i. ko rajnitik dakhalandaji se mukt hona jaruri hai.court ne kaha ki c.b.i. ne mantra se nirdesh lekar court ke viswas ko toda hai.sarakar ki lagatar fajihat supreme court kar raha.lekin sarakar court ki bhawanawon ka dhyan nahi rakh rahi.jab karyapalika hi nyayapalika ki bhawanawon ka dhyan nahi rakhegi to nyaya kaise hoga?lokastantra ka kya hoga?sikh dange par nranya ke bad Sikh samaj chilla chilla kar kah raha ki hame nyaya par se viswas uth gaya.kya waha bhi dakhalndaji huyi?yah sawal sabhi utha rahe.sajjan kumar ke khiaf gawahi huyi,court ne unhe aparadhi nahi mana.sawal yah ki kya sansadiya sansthawon par se logo ka viswas uth raha?agar aisa hai to desh khatarnak mod par khada hai.sansad thik se chal nahi rahi.vipaksha aour sarakar main rachanatmak sahyog ki jagah khatarnak sanghrash hai.yah sthiti desh ko nark bana dega.janata ko is vishaya par sochana chahiye.kyonki janata hi desh ki malik hai.janata ko apana nirnaya ab desh ko bachane main hi karana hoga.