Monday 29 April 2013

sambhawanayen 2014 ki

kya 2014 ka chunav 2013 main hi hoga?yah sawal aaj kal jor pakad raha.samajvadi party ke azam khan ka bosten main apaman  aour unaka salman khurshid ko jimmedar thaharane ke bad mulayam singh ji par samarthan wapasi ka dabav ban chuka hai.azam yadi naraj ho jayenge to mulayam ki mushkile badh jayengi.aj kal azam thoda naraj chal rahe mulayam singh se.isiliye  ramgopal yadav ko bayan dena pada ki chunav oct.-nov. main ho sakate hain.cong, ki mushkile badhati ja rahi.lekin vipakshi b.j.p. ko apana ghar thik se sanbhalana hoga.apasi gutbaji se parahej karana padegahoga.karyakratawon main abhi utsah nahi hai.u.p. jo sabase adhik seat dene wala rajya hai kya waha b.j.p 30 seaten jitane ki sthti main hai?yahi bada na kam thik se nahi kar raha.u.p. main pitenge to satta main wapasi mushkil hogi.

charitrasheelata ki anivaryata

'guyuktoapi adho yati riktah kupe yatha ghatah,nirgunonapi bhritah pashyah janai shirashi dharyate.' arthat-gunwan byakti bhi yadi charitra ki dristi se khali ho,towah gun arthat rassi se yukt khali ghade ke kunyen utarane ke saman patit hota hai,par gun arthat rassi se rahit hote huye bhi yadi bhare huye ghade ke saman charitrawan ho,to dekho log kaise use sir par dharan karate hain.matalab charitra jivan ka awashyak ang hai.charitra ke bina adami patit hai.lekin aj kal charitra ka koyi arth nahi charitraheenata bhi professionalism hai.har adami professional banana chahta hai.

satya bachan

'gachatah skhalanam kwapi bhawatyewa pramadatah,hasanti durjanastatra samadayati sadhavah'-arathatchalate huye byakti ka kabhi asavadhanivash panv fisalkar patan ho jaye,to dust log hansi udate hain,parantu sajjan log use dilasa diya karate hain.aj kal hansi udane wale log bahut mil jayenge,lekin dilasa dilane wale log bahut kam milenge.aj kal duston ka yug hai.sajjan agar mil jaye to jivan dhanya ho jata hai.

Sunday 28 April 2013

keval cricket desh jaye bhad main

aj kal pura desh keval  ipl dekhane main mast hai.china 19km.bharat ki bhumi hadap raha,ammeican bharat ke bĂȘte azam khan ko apamanit kar rahe.sansad main ho halla ho raha.p.m. mouni baba bane huye hain.desh ki betiyan asurakshit hain,bhrastacha ki parate khul rahi.kya cricket desh ki samasya ka koyi samadhan hai?
Vranasi main wiswa prasidh shastriya sankat mochan sangeet samaroh 29 april se shuru hoga.varanasi ke prasidh snkat mochan mandir main yah samaroh pichale 96 sal se ho raha.Mahanth Prof. Veer Bhadra Mishra ne is samaroh ko unchaiyon par pahuchaya.Desh ke sabhi bade sashtriya sangeet kalakar yaha bina paisa liye apani kala ka pradarshan karate hain.hajaron ki sankhya main srota rat bhar sangeet ka anand lete hain.isame kisi se kuch nahi liya jata.sab kuch muft hota hai.kalakar yaha snkat mochan hnuman ji ko apani kala ka suman chadhane ate hain.5 dino ka yah samaroh rat bhar chalata rahata hai.bharii sankhya main pariwar apana khana pina liye desh ke bade kalakaron ka sangeet sunate hain.5 dino tak log rat bhar jagate hain din bhar sote hain,shstriya sangeet ke rasikon ko koyi dekhana chahe to yaha dekh sakata hai.vartman main Prof.viswabmbar nath Mishra isake karta dharta hain.duniya ke bahar ke log bhi yaha sunane ate hain.wiswa sanskritik manavatavad ka yah mahatwapurn udaharan hai.waise is sangit ki parampara kasha main Tulasi das ji ne shuru ki thi.
Bharat main is samaya charo taraf arajakata ki isthiti hai.samaj main anaitikata hai,rajniti main,swarth hai.sanskriti main khchadipan hai.kaise bharat main anushasan sthapit hoga?